SEARCH RESULTS
Showing search results for "ارتقا"
Ghazal MATCHES FOR "ارتقا"
Ghazal
ye irtiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
puraane log na.e aadmii se Darte the
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
baavajuud-e-iddi.aa-e-ittiqaa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas kaa vo fasaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Ghazal
unhii.n pe band hu.aa irtiqaa kaa darvaaza
fanaa hu.e hai.n jo apnii baqaa se la.Dte hu.e
Zafar Moradabadi
Ghazal
kyaa irtiqaa-paziir hai insaan kaa zamiir
rishto.n ko chho.D-chhaa.D ke ashyaa tak aa gayaa
Kashif Husain Ghair
Ghazal
jadiid ahd me.n ulTaa hai irtiqaa kaa safar
ajab nahii.n hai phir insaan jaanvar ban jaa.e
Akhtar Usman
Ghazal
guzar chukaa hai jo lamha vo irtiqaa me.n hai
mirii baqaa kaa sabab to mirii fanaa me.n hai
Asim Wasti
Ghazal
irtiqaa kyaa tirii qismat me.n nahii.n likkhaa hai
ab tamannaa se guzar meraa muqaddar ho jaa
Irfan Sattar
Ghazal
mai.n insaa.n huu.n ye mere irtiqaa kii hai alaamat
ki mai.n insaaniyat ko be-labaada kar rahaa huu.n
Waqar Manvi
Ghazal
kuchh aur thaa mirii tashkiil o irtiqaa kaa sabab
madaar sirf havaa.o.n pe gar na thaa meraa
Akbar Hyderabadi
Ghazal
irtiqaa kii to himaayat me.n Gazal hai 'pinhaa.n'
bas rivaayat se baGaavat nahii.n karne detii
Pinhaan
Ghazal
samjhaa rahe ho mujh ko miraa irtiqaa magar
dekhaa nahii.n hai aadmii pahlaa banaa hu.aa
Asim Wasti
Ghazal
merii maut ai saaqii irtiqaa hai hastii kaa
ik 'salaam' jaataa hai ek aane vaalaa hai
Salam Machhli shahri
Ghazal
is daur-e-irtiqaa me.n 'munzir' qadam qadam par
paamaal ho rahe hai.n jazbaat aadmii ke
Basheer Munzir
Ghazal
hazaar miilo.n bichhii irtiqaa kii miTTii par
badan me.n ab bhii samundar sunaa.ii detaa hai
Riyaz Latif
Ghazal
teraa miraa qusuur kyaa ye to hai jabr-e-irtiqaa
bas vo jo rabt ho gayaa aap hii paa gayaa numuu
Jameeluddin Aali
Ghazal
arbaab-e-iqtidaar se meraa savaal hai
ye daur-e-irtiqaa hai ki daur-e-zavaal hai
Khaleequzzaman Nusrat
Ghazal
mere niyaaz par hai tang dair-o-haram kii zindagii
ab ise abtarii samajh yaa ise irtiqaa samajh