SEARCH RESULTS
Showing search results for "asiiro.n"
Ghazal MATCHES FOR "asiiro.n"
Ghazal
ahl-e-chaman hame.n na asiiro.n kaa ta.an de.n
vo KHush hai.n apne haal me.n aham apnii chaal me.n
Seemab Akbarabadi
Ghazal
rihaa hu.e pa ajab haal hai asiiro.n kaa
ki ab vo apne paro.n ko talaash karte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ye bhii qaidii ho gayaa aaKHir kamand-e-zulf kaa
le asiiro.n me.n tire 'aazaad' shaamil ho gayaa
Abul Kalam Azad
Ghazal
chhu.Daa de qaid se ai barq ham asiiro.n ko
lagaa de aag qafas ko bhii aashiyaa.n kii tarah
Dagh Dehlvi
Ghazal
ik sazaa aur asiiro.n ko sunaa dii jaa.e
ya.anii ab jurm-e-asiirii kii sazaa dii jaa.e
Pirzada Qasim
Ghazal
ye sab na-aashnaa-e-lazzat-e-parvaaz hai.n shaayad
asiiro.n me.n abhii tak shikva-e-sayyaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Ghazal
sabz mausam kii KHabar le ke havaa aa.ii ho
kaam patjha.D ke asiiro.n kii du'aa aa.ii ho
Parveen Shakir
Ghazal
maut bhii duur bahut duur kahii.n phirtii hai
kaun ab aa ke asiiro.n ko rihaa.ii degaa
Mohammad Alvi
Ghazal
fikr kyaa unhe.n jab tuu saath hai asiiro.n ke
ai Gam-e-asiirii tuu KHud shikast-e-zindaa.n hai
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
aaj asiiro.n me.n vo ha.ngaama-e-fariyaad nahii.n
shaayad ab ko.ii gulistaa.n kaa sabaq yaad nahii.n
Yagana Changezi
Ghazal
kuchh na kuchh aaj asiiro.n ne kahaa to hai zaruur
ek ik gul se lipaTtii hai sabaa gulshan me.n
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
sitam ravaa hai asiiro.n pe is qadar sayyaad
chaman chaman kahii.n bulbul kii ab navaa bhii hai
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
gale par chhurii kyuu.n nahii.n pher dete
asiiro.n ko be-baal-o-par karne vaale