SEARCH RESULTS
Showing search results for "numaa.ish-e-poshaak"
Ghazal MATCHES FOR "numaa.ish-e-poshaak"
Ghazal
jahaan-e-fikr-o-amal me.n ye meraa zom-e-vajuud
faqat numaa.ish-e-poshaak ke sivaa kyaa hai
Himayat Ali Shayar
Ghazal
numaa.ish to bajaa hai jalva-e-husn-e-mujassam kii
ye laazim hai nazar shaa.ista-e-diidaar ho jaa.e
Kanval M. A
Ghazal
poshaak na tuu pahniyo ai sarv-e-ravaa.n surKH
ho jaa.e na partav se tire kaun-o-makaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
numaa.ish-e-ruKH-e-rangiin-e-yaar rahne de
mujhe na chhe.D gul-e-nau-bahaar rahne de
Ahmar Gorakhpuri
Ghazal
har bazm kyuu.n numaa.ish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne dosto.n ke darmiyaa.n na khol
Saleem Shahid
Ghazal
hamaaraa 'baKHt' hai zabt-e-davaam kii tafsiir
yahaa.n numaa.ish-e-soz-e-daruu.n nahii.n hotii
Hasan Bakht
Ghazal
katba vahaa.n lagaa.iyo 'maahir' ke naam kaa
dillii me.n jab numaa.ish-e-ahl-e-hunar lage
Kailash Mahir
Ghazal
duniyaa ko zid numaa.ish-e-zaKHm-e-jigar se thii
fariyaad mai.n ne kii na zamaana KHafaa hu.aa
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
abhii to hosh me.n aa.e na the ye diivaane
vo phir numaa.ish-e-ruu-e-jamaal kar baiThe
Hairat Allahabadi
Ghazal
vo ab numaa.ish-e-sair-o-safar se baahar hai
ye mere saath magar rahguzar se baahar hai
Abul Hasanat Haqqi
Ghazal
phir hai numaa.ish-e-qad-o-gesuu kaa ehtimaam
shaayad junuun-o-shauq kaa phir imtihaa.n hai aaj
Salik Lakhnavi
Ghazal
jo izn-e-aam na thaa vaaliyaan-e-mai-KHaana
ye sab numaa.ish-e-paimaana-o-subuu kyaa thii
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Ghazal
jalva-e-fitrat numaayaa.n hai libaas-e-ra.ng me.n
husn har tahziib me.n minnat-kash-e-poshaak thaa
Mohammad Yaqoob Aamir
Ghazal
duniyaa nahii.n numaa.ish-e-mekaaniyaat hai
har aadmii machine kaa purza dikhaa.ii de
Zaheer Ahmad
Ghazal
tum aa.oge numaa.ish-e-saamaan dekh kar
kyo.n kaarobaar chho.D duu.n nuqsaan dekh kar
Himanshi Babra
Ghazal
raas aane lagaa pairahan-e-KHaak bhii ham ko
qudrat ke karishme pas-e-poshaak bahut the
Tauqeer Zaidi
Ghazal
ab bhii rivaaj-o-rasm vahii hai.n magar kahaa.n
uryaaniyat ke parda-e-poshaak kam hu.e
Qurban Aatish
Ghazal
puuchhaa jo us ne ahd-e-jaraahat kaa maajraa
dariyaa lahuu kaa har rag-e-poshaak se uThaa