aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "naaqa"
hariim-e-mahmil me.n aa gayaa huu.n salaam le losalaam le lo ki mai.n tumhaaraa amiin-e-qaasid KHajil musaafir azaa kii vaadii se lauT aayaamai.n lauT aayaa magar saraasiima is tarah seki pichhle qadmo.n palaT ke dekhaa na guzre rasto.n ke faaslo.n kojahaa.n pe mere nishaan-e-paa ab thake thake se gire pa.De thehariim-e-mahmil me.n vo safiir-e-naved-parvarjise zamaane ke past o baalaa ne itne qisse pa.Dhaa diye thejo pahle qarno.n kii tiirgii ko ujaal detetumhe.n KHabar haiye meraa siina qadiim ahraam me.n akelaa vo ik haram thaaaziim raazo.n ke kohna taabuut jis kii ka.Diyo.n me.n bas rahe theunhii.n havaa.o.n kaa Dar nahii.n thaana sahraa-zaado.n ke naslii kaa hii un kii gird-e-KHabar ko pahu.nchehariim-e-mahmil me.n vo amaanat kaa paasbaa.n huu.njo charm-e-aahuu ke narm kaaGaz pe likkhe naame ko le ke niklaavahii ki jis ke savaar hone ko tum ne baKHshaa jahaaz-e-sahraataviil raaho.n me.n KHaalii mashko.n kaa baar le kar hazaar sadiyaa.n safar me.n gardaa.nkahii.n saraabo.n kii bahtii chaa.ndii kahii.n chaTaano.n kii saKHt qaashe.nmayaan-e-raah-e-safar kha.De the jaka.Dne vaale nazar ke lobhiimagar na bhaTkaa bhaTakne vaalaajo dam liyaa to azaa me.n jaa karhariim-e-mahmil suno fasaane jo sun sako tomai.n chalte chalte safar ke aaKHir pe aisii vaadii me.n jaa ke Thahraaaur us pe guzre hariis lamho.n ke un nishaano.n ko dekh aayaajahaa.n ke naqshe biga.D ga.e hai.njahaa.n ke tabqe ulaT ga.e hai.nvahaa.n kii fasle.n zaqquum kii hai.nhavaa.e.n kaalii hai.n raakh u.D kar kha.nDar me.n aise phunkaartii haiki jaise azhdar chahaar jaanib se jab.De khole Gadar machaatezamii.n pe kiina nikaalte ho.nkasiif zahro.n kii thailiyo.n ko Gazab se baahar uchhaalte ho.nmuhiib saa.e me.n devtaa.o.n kaa raqs jaarii thaaTuuTe haatho.n kii haDDiyo.n se vo dohl-e-baatil ko piiTte theza.iif kavvo.n ne ahl-e-qarya kii qabre.n khodii.ntuu un ke naaKHun nahiif panjo.n se jha.D ke aise bikhar rahe thechako.ndaro.n ne chabaa ke phe.nke ho.n jaise haDDii ke KHushk rezehariim-e-mahmil vahii vo manzil thii jis ke siine pe mai.n tumhaarii nazar se pahu.nchaa uThaa.e mehr o vafaa ke naamevahii.n pe baiThaa thaa sar-ba-zaanuu tumhaaraa mahramkha.nDar ke bosiida pattharo.n par haziin o Gamgii.nvahii.n pe baiThaa thaaqatl-naamo.n ke mahzaro.n ko vo pa.Dh rahaa thaajo pastiyo.n ke kotaah haatho.n ne us kii qismat me.n likh diye thehariim-e-mahmil mai.n apne naaqa se niiche utraa to mai.n ne dekhaa ki us kii aa.nkhe.n KHamosh o viiraa.nGubaar-e-sahraa mizha pe larzaa.n thaa ret diido.n me.n u.D rahii thiimagar sharaafat kii ek lau thii ki us ke chehre pe narm haala kiye hu.e thiivo mere lahje ko jaantaa thaahazaar manzil kii duuriyo.n ke sataa.e qaasid ke ukh.De qadmo.n kii chaap sunte hii uTh kha.Daa thaadayaar-e-vahshat me.n bas rahaa thaape terii saa.nso.n ke zer-o-bam se uThii haraarat se aashnaa thaavo kah rahaa thaa yahaa.n se jaa.o ki yaa.n KHaraabo.n ke kaar-KHaane hai.nroz o shab ke jo silsile hai.n khule KHasaaro.n kii manDiyaa.n hai.nvo Dar rahaa thaa tumhaaraa qaasid kahii.n KHasaaro.n me.n baT na jaa.ehariim-e-mahmil mai.n kyaa bataa.uu.n vahii.n pe khoyaa thaa meraa naaqafaqat KHaraabe ke chand lamhe hii us ke guude ko khaa ga.e theusii maqaam-e-tilism-gar me.n vo ustaKHvaano.n me.n Dhal gayaa thaajahaa.n pe bikhraa pa.Daa thaa pahle tumhaare mahram kaa asp-e-taaziiaur ab vo naaqa ke ustuKHvaa.n bhiitumhaare mahram ke asp-e-taazii ke ustaKHvaano.n me.n mil ga.e hai.nhariim-e-mahmil vahii vo patthar the jin pe rakkhe the mai.n ne mehr o vafaa ke naamejahaa.n pe zinda ruto.n me.n baa.ndhe the tum ne paimaan o ahd apnemagar vo patthar ki ab ajaa.ib kii kaargah hai.ntumhaare naame kii us ibaarat ko khaa ga.e hai.nshifaa ke haatho.n se jis ko tum ne raqam kiyaa thaaso ab na naaqa na ko.ii naama na le ke aayaa javaab-e-naamamai.n naa-muraad o KHajil musaafirmagar tumhaaraa amiin qaasid azaa kii vaadii se lauT aayaaaur us najiib o kariim mahram-e-vafaa ke paikar ko dekh aayaajo aane vaale dino.n kii gha.Diyaa.n abad kii saa.nso.n se gin rahaa hai
safiir-e-lailaa ye kyaa hu.aa haishabo.n ke chehre biga.D ga.e hai.ndilo.n ke dhaage ukha.D ga.e hai.nshafiiq aa.nsuu nahii.n bache hai.n Gamo.n ke lahje badal ga.e hai.ntumhii bataa.o ki is kha.nDar me.n jahaa.n pe mak.Dii kii san.ate.n ho.njahaa.n samundar ho.n tiirgii kesiyaah-jaalo.n ke baadbaa.n ho.njahaa.n payambar KHamosh leTe ho.n baate.n kartii ho.n murda ruuhe.nsafiir-e-lailaa tumhii bataa.o jahaa.n akelaa ho daastaa.n-govo daastaa.n-go jise kahaanii ke sab zamaano.n pe dastaras hoshab-e-rifaaqat me.n tuul-e-qissa charaaG jalne talak sunaa.ejise zabaan-e-hunar kaa saudaa ho zindagii ko savaal samjhevahii akelaa ho aur KHamoshii hazaar sadiyo.n kii saa.ns rokevo chup lagii ho ki maut baam-e-falak pe baiThii zamii.n ke saa.e se kaa.nptii hosafiir-e-lailaa tumhii bataa.o vo aise dozaKH se kaise nipTedayaar-e-lailaa se aa.e naame kii nau ibaarat ko kaise pa.Dh lepuraane lafzo.n ke isti.aaro.n me.n gum mohabbat ko kyuu.nke samjhesafiir-e-lailaa abhii malaamat kaa vaqt aa.egaa dekh lenaaagar musir ho to aa.o dekhoyahaa.n pe baiTho ye naame rakh doyahii.n pe rakh do inhii silo.n parki is jagah par hamaarii qurbat ke din mile thevo din yahii.n par judaa hu.e the inhii silo.n paraur ab zaraa tum nazar uThaa.o mujhe bataa.o tumhaaraa naaqa kahaa.n gayaa haibuland TaKHno.n se zard retii pe chalne vaalaa sabiih naaqavo surKH naaqa savaar ho kar tum aa.e jis par burii saraa me.nvahii ki jis kii mahaar baa.ndhii thii tum ne bosiida ustuKHvaa.n sevo asp-e-taazii ke ustuKHvaa.n themujhe bataa.o safiir-e-lailaa kidhar gayaa voudhar to dekho vo haDDiyo.n kaa hujuum dekhovahii tumhaaraa aziiz saathii safar kaa monispa ab nahii.n haiaur ab uThaa.o silo.n se naamepa.Dho ibaarat jo pa.Dh sako tokyaa Dar ga.e ho ki sat.h-e-kaaGaz pe juz siyaahii ke kuchh nahii.n haiKHajil ho is par ki kyuu.n ibaarat Gubaar ho kar nazar se bhaagiisafiir-e-lailaa ye sab karishme isii kha.nDar ne mirii jabii.n par likhe hu.e hai.nyahii ajaa.ib hai.n jin ke sadqe yahaa.n parinde na dekh paa.ogeaur sadiyo.n talak na utregii yaa.n savaariina chob-e-KHema ga.Degii yaa.n parsafiir-e-lailaa ye mere din hai.nsafiir-e-lailaa ye merii raate.naur ab bataa.o ki is aziyyat me.n kis mohabbat ke KHvaab dekhuu.nmai.n kin KHudaa.o.n se nuur maa.nguu.nmagar ye sab kuchh puraane qisse paraa.ii bastii ke murda qaziyetumhe.n fasaano.n se kyaa lagaa.otumhe.n to matlab hai apne naaqa se aur naame kii us ibaarat sesat.h-e-kaaGaz se jo u.Dii haisafiir-e-lailaa tumhaaraa naaqamai.n us ke marne par Gam-zada huu.ntumhaare ranj o alam se vaaqif ba.De KHasaaro.n ko dekhtaa huu.nso aa.o us kii talaafii kar duu.n ye mere shaane hai.n baiTh jaa.otumhe.n KHaraabe kii kaargah se nikaal aa.uu.ndayaar-e-lailaa ko jaane vaalii habiib raaho.n pe chho.D aa.uu.n
phir aa gayaa hai mulk me.n qurbaaniyo.n kaa maalkii iKHtiyaar qiimato.n ne raakiTo.n kii chaalqaamat me.n bakraa uu.nT kii qiimat kaa ham-KHayaaldil baiThtaa hai uThte hii qurbaanii kaa savaalqiimat ne aadmii hii ko bakraa banaa diyaabakre ko misl-e-naaqa-e-lailaa banaa diyaa
jo tuu tasviir kartaa haijo mai.n tahriir kartaa huu.nna teraa hai na meraa haimagar apnaa hai ye jab takise pa.Dhne me.n kitnii der lagtii haiabhii maahaul ko chaaro.n taraf sehabs ke sahraa ne gheraa haimagar kab takhavaa chalne me.n kitnii der lagtii haiko.ii zanjiir hai shaayad hamaare paa.nv me.naur raah me.n kaafii a.ndheraa haimagar kab takdiyaa jalne me.n kitnii der lagtii haihavaa.e.n baadbaano.n se ulajhtii aur kahii.n naaqa-savaaro.n koko.ii paiGaam detii shaam ke aa.nchal ko thaamesaahilo.n kii samt aatii hai.nparinde daa.ero.n me.n u.Dte phirteabr kii chaadar me.n lipTerang barsaatefazaa.o.n me.n safar kii daastaa.n likhteThikaano.n kii taraf jaate hu.emanzar ko apne aks me.n tabdiil karte hai.nachaanak sar-phirii mauje.nmujhe chhuu kar guzar jaatii hai.naur mai.n apne talvo.n se nikaltii sansanaatii riit kii sargoshiyaa.nmahsuus kartaa huu.nvahii mai.n huu.n vahii asbaab-e-vahshat hai.n vahii saahilvahii tuu hai vahii ha.nstii hu.ii aa.nkhe.ntirii aa.nkho.n me.n rango.n aur KHvaabo.n ke jaziirejagmagaate hai.nsar-e-mizhgaa.n rupahlii saa.ato.n ke isti.aare muskuraate hai.nha.nsii mahtaab bantii haiphir is mahtaab ke chaaro.n taraf aavaaz kaa haala ubhartaa haiaur is haale me.n terii u.ngliyaa.nnaadiida manzar ko tilism-e-KHvaab se aazaad kartii hai.ntire haatho.n kii jumbishdhuup chhaa.nv se dhanak tartiib de karKHaalii tasviiro.n me.n KHadd-o-KHaal ko aabaad kartii haitirii palke.n jhapaktii hai.nsitaare se sitaara aan miltaa haiki jaise shaam hote hiisubuk aasaar lahro.n me.nkinaare se kinaara aan miltaa haiye jo kuchh haibahut hii KHuubsuurat haimagar us ke liye haijo ye sab mahsuus kartaa haitujhe maaluum bhii ho jaa.e to kyaa farq pa.Dtaa haiabhii din kaa thakaa haaraa musaafir dhuup ke KHeme sameTeduur paanii me.n utarne ke liyebe-taab hai dekhoye niilaa aasmaa.napnii garaa.n KHvaabii me.n KHud Garqaab hai dekhona jaane kyo.nsamundar dekhne vaalo.n kosuuraj Duubne kaa KHauf rahtaa haiko.ii hai jis ko ism-e-aab aataa hokinaaro.n kii tarah har lamha kaT girtaa hozer-e-aab aataa hosamundar aasmaa.n kii raahdaarii haimagar is raahdaarii tak pahu.nchne kaa ko.ii rastaba.Dii mushkil se miltaa haiye ism-e-aabsaahil par kha.De nazzaara۔biino.n kii samajh me.n kis tarah aa.eki ye to Duubne vaalo.n pe bhiimushkil se khultaa haimagar kab takise khulne me.n kitnii der lagtii hai
mere haath pe likkhaa kyaa haiumr ke uupar barq kaa gahraa saaya kyaa haikaun KHafaa hairaah kaa buu.Dhaa pe.D jhukaa hai chi.Diyaa.n hai.n chup-chaapaatii jaatii rut ke badle gard kii gahrii chhaapgard ke piichhe aane vaale daur kii dhiimii thaaprasta kyaa hai manzil kyaa haimere saath safar par aate-jaate logo mahshar kyaa haimaazii haal kaa badlaa badlaa manzar kyaa haimai.n aur tuu kyaa chiiz hai.n tinke patte ek nishaanaks ke andar Tuk.De Tuk.De zaahir me.n insaankab ke Dhuu.nD rahe hai.n ham sab apnaa naKHlistaannaaqa kyaa hai mahmil kyaa haishahar se aate-jaate logo dekho raah se kaun gayaa haijalte kaaGaz kii KHushbuu me.n Garq fazaa haichaaro.n samt se log ba.Dhe hai.n uu.nche shahr ke paasaaj a.ndherii raat me.n apnaa kaun hai raah-shanaasKHvaab kii har ta.abiir me.n gum hai achchhii shai kii aasdin kyaa shai hai saaya kyaa haighaTte-ba.Dhte chaa.nd ke andar duniyaa kyaa haifarsh pe gir kar dil kaa shiisha TuuT gayaa hai
mai.n agar shaa.ir thaa maulaa to mirii ohda-baraa.ii kyaa thii aaKHirshaa.irii me.n mutakaffil thaa to ye kaisii naa-munaasib ehtimaaliikyaa karuu.n mai.nband kar duu.n apnaa baab-e-lafz-o-ma.aniiaur kahf ke Gaar me.n jhaa.nkuu.n jahaa.n baiThe hu.eas.haab ma.abuud-e-haqiiqii kii ibaadat me.n magan hai.naur sag-e-taazii saa chaukiidaar un ke paas baiThuu.nvahdat-o-tauhiid kaa paiGaam sun karvird kii suurat use dohraataa jaa.uu.npuuchhtaa huu.nkyaa mirii mashq-e-suKHan tauhiid kii azalii shanaasaao qarz ke bigtaashan kii daa.ii nahii.n haimai.n to raasul-maal saaraa peshgii hii de chukaa huu.nqarz kii vaapas adaa.ii me.nmire alfaaz kaa saaraa zaKHiira luT chukaa haisher ko harf-o-nidaa me.n Dhaalnaatasbiih-o-tahliil-o-ibaadat se kahaa.n kamtar hai maulaashaa.irii juzvest-az-paiGambarii kis ne kahaa thaamai.n to itnaa jaantaa huu.nmerii tamjiid-o-parastish lafz kii qiraat me.n Dhaltii haito phir taKHliiq kaa vaazeh amal tasbiih yaa maalaa ke manko.n kii tarah hai
aur akelaa huu.n bhii to paidal chalaa jaa.uu.ngaa mai.nlailaa-e-mahmil-nashii.n ko kaise samjhaa.uu.ngaa mai.nnajd kaa naaqa kahaa.n se Dhuu.nD kar laa.uu.ngaa mai.npaa.nch chhe bachcho.n ko aaKHir kaise bahlaauu.ngaa mai.nek ho to god mai.n le luu.n ki vo bhaarii nahii.nmai.n magar insaan huu.n ai dosto laarii nahii.n
chiiz agarche huu.n mai.n nannhiilekin huu.n mai.n kaam kii kaisiiaaqaa ko bhii merii zaruuratnaukar ko bhii merii haajatko.ii jahaa.n me.n ghar nahii.n aisaajis me.n kaam nahii.n hai meraahaal sunaatii huu.n mai.n apnaakaan lagaa kar saaraa sun.naamiTTii me.n se lohaa nikaalaalohe kaa faulaad banaayaataar phir us faulaad kaa khii.nchaaho gayaa vo tab dublaa patlaakar diyaa us ko Tuk.De Tuk.Deho ga.e jab vo Tuk.De chhoTekal me.n in Tuk.Do.n ko Daalaaban ga.ii jab mai.n sab ko nikaalaaek taraf ab nok hai bachchoek taraf hai naakaa dekhosuu.ii jahaa.n me.n ab kahlaa.iikaam zamaane bhar ke aa.iikaam har ik ke tum bhii aanaamaano 'jauhar' kaa farmaanaa
jo banaa de hazrat-e-aadam ko murda KHaak sekar de jo aaraasta be-jaa.n ko ruuh-e-paak senuuh kii kashtii ko tuufaano.n se bhii jo le bachaabahr me.n jo hazrat-e-muusaa ko de de raastaho ku.e.n kii tah se taKHt-o-taaj tak yuusuf ke saathpeT me.n machhlii ke yuunus ko rakhe jo baa-hayaatnarm jo lohe ko kar de haath me.n daa.uud keibn-e-mariyam ko bachaa le jo saliib-o-daar semustarad kar de jo ahl-e-haq pe har yalGaar konuur kar de jism-e-ibraahiim par jo naar kojo sikhaa de maan.naa farmaan har maKHluuq kojo sulaimaa.n par kare aasaan har maKHluuq kozaalimo.n ko rok de jo pal me.n un kii Toh senaaqa-e-saaleh kare paidaa jo batn-e-koh seamn kaa sunvaa de jo muzhda rasuulullaah sejo chaman sahraa ko de banvaa rasuulullaah sevaqt jo maGrib kaa Thahraa de rasuulullaah sechaa.nd do Tuk.De jo karvaa de rasuulullaah sejis KHudaa-e-paak kii qudrat ke ho.n ye sab nishaa.nhamd jis kii kar rahii ho.n machhliyaa.n aur chyuu.nTiyaa.njis kii 'azmat kii gavaahii roz de.n shaam-o-saharkar rahe ho.n chaa.nd suuraj hukm se jis ke safarhar zabaa.n-aavar jahaa.n thak jaa.e jis ke zikr sejis kii satvat kaa bayaa.n baahar ho sab kii fikr semashvara tum sab ko itnaa de ke ab mai.n bhii yahaa.nKHatm karnaa chaahtaa huu.n KHud pe hii apnaa bayaa.nvasvaso.n ke tum maraz me.n mubtalaa honaa nahii.nus KHudaa se kuchh bhii ho be-aasraa honaa nahii.n
kohsaaro.n aabshaaro.nsulagte sahraa.o.ngahre phaile samundaro.n me.nab uu.nchii imaarato.nqahva KHaano.n baaro.nphisaltii caro.n chamaktii sa.Dko.ngha.Dii ke mahduud hindiso.n me.nsimaT gayaa haivo jis kii u.nglii se chaa.nd shaq hovo jis ke zaKHmii dahan sedushman kii fauj parrahmato.n kii ThanDii phuvaar barsevo jis kii muTThii me.nvo jahaa.n kii tamaam daulattamaam sarvat simaT ga.ii hovo apne KHaalii shikam me.n patthar kaa bojh baa.ndhekahaa.n hai.n is ke GulaamaaKHir kahaa.n hai.n is kevo nisf baaqii bhii mil chukaa thaaye nisf haasil bhii chhin chukaa haihusuul kal sahal hii thaa lekinvo ek manzarphisaltii caro.n chamaktii sa.Dko.n kii haav-huu me.nvo ek manzarGulaam naaqa nashiin ho aurnakel aaqaa ke haath me.n hokahaa.n se aa.e
jab kahii.n baiTh ke rote hai.n vo bekas jin keashk aa.nkho.n me.n bilakte hu.e so jaate hai.nnaa-tavaano.n ke nivaalo.n pe jhapaTte hai.n uqaabbaazuu tole hu.e ma.nDlaate hu.e aate hai.n
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
jab bijlii ka.D-ka.D ka.Dkegiijab arz-e-KHudaa ke ka.abe sesab but uThvaa.e jaa.e.ngeham ahl-e-safaa marduud-e-harammasnad pe biThaa.e jaa.e.ngesab taaj uchhaale jaa.e.ngesab taKHt giraa.e jaa.e.ngebas naam rahegaa allaah kaajo Gaa.eb bhii hai haazir bhiijo manzar bhii hai naazir bhiiuTThegaa anal-haq kaa na.arajo mai.n bhii huu.n aur tum bhii ho
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
kisii ke duur jaane seta.alluq TuuT jaane sekisii ke maan jaane sekisii ke ruuTh jaane semujhe ab Dar nahii.n lagtaakisii ko aazmaane sekisii ke aazmaane sekisii ko yaad rakhne sekisii ko bhuul jaane semujhe ab Dar nahii.n lagtaakisii ko chho.D dene sekisii ke chho.D jaane senaa sham.a ko jalaane senaa sham.a ko bujhaane semujhe ab Dar nahii.n lagtaaakele muskuraane sekabhii aa.nsuu bahaane senaa is saare zamaane sehaqiiqat se fasaane semujhe ab Dar nahii.n lagtaakisii kii naa-rasaa.ii sekisii kii paarsaa.ii sekisii kii bevafaa.ii sekisii dukh intihaa.ii semujhe ab Dar nahii.n lagtaanaa to is paar rahne senaa to us paar rahne senaa apnii zindagaanii senaa ik din maut aane semujhe ab Dar nahii.n lagtaa
pahle bhii to guzre hai.ndaur naa-rasaa.ii ke ''be-riyaa'' KHudaa.ii kephir bhii ye samajhte ho hech aarzuu-mandiiye shab-e-zabaa.n-bandii hai rah-e-KHudaa-vandiitum magar ye kyaa jaanolab agar nahii.n hilte haath jaag uThte hai.nhaath jaag uThte hai.n raah kaa nishaa.n ban karnuur kii zabaa.n ban karhaath bol uThte hai.n sub.h kii azaa.n ban karraushnii se Darte horaushnii to tum bhii ho raushnii to ham bhii hai.nraushnii se Darte hoshahr kii fasiilo.n pardev kaa jo saaya thaa paak ho gayaa aaKHirraat kaa libaada bhiichaak ho gayaa aaKHir KHaak ho gayaa aaKHirizhdihaam-e-insaa.n se fard kii navaa aa.iizaat kii sadaa aa.iiraah-e-shauq me.n jaise raah-rau kaa KHuu.n lapkeik nayaa junuu.n lapkeaadmii chhalak uTTheaadmii ha.nse dekho shahr phir base dekhotum abhii se Darte ho?haa.n abhii to tum bhii hohaa.n abhii to ham bhii hai.ntum abhii se Darte ho
chashm-e-nam jaan-e-shoriida kaafii nahii.ntohmat-e-ishq-e-poshiida kaafii nahii.naaj baazaar me.n paa-ba-jaulaa.n chalodast-afshaa.n chalo mast o raqsaa.n chaloKHaak-bar-sar chalo KHuu.n-ba-daamaa.n chaloraah taktaa hai sab shahr-e-jaanaa.n chalohaakim-e-shahr bhii majma-e-aam bhiitiir-e-ilzaam bhii sang-e-dushnaam bhiisub.h-e-naashaad bhii roz-e-naakaam bhiiun kaa dam-saaz apne sivaa kaun haishahr-e-jaanaa.n me.n ab baa-safaa kaun haidast-e-qaatil ke shaayaa.n rahaa kaun hai
raaste me.n ruk ke dam le luu.n mirii aadat nahii.nlauT kar vaapas chalaa jaa.uu.n mirii fitrat nahii.naur ko.ii ham-navaa mil jaa.e ye qismat nahii.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
sitaare jo damakte hai.nkisii kii chashm-e-hairaa.n me.nmulaaqaate.n jo hotii hai.njamaal-e-abr-o-baaraa.n me.nye naa-aabaad vaqto.n me.ndil-e-naashaad me.n hogiimohabbat ab nahii.n hogiiye kuchh din baa'd me.n hogiiguzar jaa.e.nge jab ye dinye un kii yaad me.n hogii
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books