aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "route"
ek kone me.nhimaaliyaa.ii silk route sesmugle kiye hu.ebachchiyo.n la.Dkiyo.n aurato.n vaalechiinii faulaadii juutepaloThii ke la.Dko.n ke intizaar me.npighal pighal kechhoTii chhoTii ulTe kaToro.n jaisiibe-phande kii aahaniiturkii Topiyo.n bane baiThe the
aa.nkh hii dard pahchaantii haimai.n is route parpahelii gaa.Dii kaa mehmaa.n thaabe-tarah ghuumtii ge.nd par ab nafas jitne anfaas kaa aur mehmaan haiun kii gintii mirii daastaa.n me.n nahii.nKHaak kii naaf se KHaak ke batn takchand saa.aat kii raushniiposhishe.n battiyaa.n taaza model clubtaaza-ruKH gaa.Dii aur baan aur gul-chehra interpreteryahii chaar-aa.ina chehraki chehre me.n tasviir-e-ayyaam seraunaqo.n me.n base is tilismaat me.ndin jo viiraa.n kaTejo shiishe.n ghanii raat me.n kho ga.ii.nso ga.ii.naasmaano.n pe KHaalii kaa chaa.ndnaak-naqsha bikharne pe qaadir hu.aajis kii tahviil me.n do mu.nde daa.ere aa.nkh ke hai.nfaqat aa.nkh ke haath par naqsh hai.n aa.nkh KHaalii nahii.n
hamaare shahr kii aabaadii ke darmiyaankisii bhii samjhaute ke imkaan ko mustarad karte hu.eshahr ke shumaal maGrib me.nduur tak phailii hu.ii pahaa.Dii me.n ek shigaaf Daal diyaa gayaa haipahaa.Dii ko kaaTne kaa ye achhuutaa KHayaalshahr ke kuchh me.amaaro.n ke zehn me.n kyaa aayaashahr ke makaano.n ke dar-o-diivaaris na.ii tafriiq ke shor-o-shar setap kar surKH ho ga.eaur shahr ke uupar ma.nDlaane lageqismat aazmaa.uu.n ke azaa.emshahr ko ab na.e zaaviyo.n se dekhaa jaane lagaaab is pahaa.Dii me.nka.ii ek aise maqaamaat dikhaa.ii dene lage hai.njahaa.n se use maziid kaaTaayaa kamzor kiyaa jaa saktaa haipahaa.Dii ke kaTte hiius paas kii aabaadiyo.n ne apnii huduud kona.e sire se tartiib de liyaa haikaTaa.o se shahr me.n havaa kaa dabaa.oGair-mustahkam ho gayaa haigaa.Diyo.n ke route badalne lagejamii jamaa.ii aabaadiimutazalzal ho ga.iibaazaaro.n aur KHariidaaro.n ke rang ruupaur chehre mohre tabdiil ho ga.e hai.nlog shaah-raaho.nmakaano.nparko.nschoolo.n aur ibaadat-gaaho.n koyuu.n dekhne lagejaise un ke biich bhii unhe.nshigaaf dikhaa.ii dene lage ho.nkaTii hu.ii pahaa.Dii neham sab ke chehro.n ke biichek mustaqil daraa.D Daal dii haiin me.amaaro.n se zyaadajinho.n ne pahaa.Dii me.n shigaaf Daalaaham har us shai se KHauf-zada hai.njis me.n ba-zaahir ko.ii shigaaf yaa daraa.D dikhaa.ii nahii.n detiipar jis ke darmiyaan semustaqil jhaa.nk rahii haikaTii hu.ii pahaa.Dii
jab kahii.n baiTh ke rote hai.n vo bekas jin keashk aa.nkho.n me.n bilakte hu.e so jaate hai.nnaa-tavaano.n ke nivaalo.n pe jhapaTte hai.n uqaabbaazuu tole hu.e ma.nDlaate hu.e aate hai.n
ham raato.n ko uTh kar rote hai.n ro ro ke du.aa.e.n karte hai.naa.ankho.n me.n tasavvur dil me.n KHalish sar dhunte hai.n aa.he.n bharte hai.nai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marte hai.n
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
ye mile.n ye jaagiire.nkis kaa KHuun piitii hai.nbaracko.n me.n ye fauje.nkis ke bal pe jiitii hai.nkis kii mehnato.n kaa phaldaashtaa.e.n khaatii hai.njho.npa.Do.n se rone kiikyuu.n sadaa.e.n aatii hai.njab shabaab par aa karkhet lahlahaataa haikis ke nain rote hai.nkaun muskuraataa haikaash tum kabhii samjhokaash tum kabhii samjhokaash tum kabhii jaanodas karo.D insaano!ilm-o-fan ke raste me.nlaaThiyo.n kii ye baa.De.ncollego.n ke la.Dko.n pargoliyo.n kii bauchhaa.De.nye kiraa.e ke GunDeyaadgaar-e-shab dekhokis qadar bhayaanak haizulm kaa ye Dhab dekhoraqs-e-aatish-o-aahandekhte hii jaa.ogedekhte hii jaa.ogehosh me.n na aa.ogehosh me.n na aa.ogeai KHamosh tuufaano!das karo.D insaano!
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
tere ho.nTo.n se bahtii hu.ii ye ha.nsiido-jahaano.n pe naafiz na hone kaa baa.istire haath hai.njin ko tuu ne hamesha labo.n par rakhaa muskuraate hu.etuu nahii.n jaantiinii.nd kii goliyaa.n kyo.n banaa.ii ga.ii.nlog kyo.n raat ko uTh ke rote hai.n sote nahii.ntuu ne ab tak ko.ii shab agar jaagte bhii guzaariito vo barbie night thiitujh ko kaise bataa.uu.nki terii sadaa ke ta'aaqub me.nmai.n kaise dariyaa.o.n sahraa.o.n aur jangalo.n se guzartaa hu.aaek aisii jagah jaa giraa thaajahaa.n pe.D kaa suukhnaa 'aam sii baat thiijahaa.n un charaaGo.n ko jalne kii ujrat nahii.n mil rahii thiijahaa.n la.Dkiyo.n ke badan sirf KHushbuu banaane ke kaam aate thejahaa.n ek maa'suum bachcha parinde paka.Dne ke saare hunar jaantaa thaamujh ko maa'luum thaateraa aise jahaa.n aisii duniyaa se ko.ii ta'alluq nahii.ntuu nahii.n jaantiikitnii aa.nkhe.n tujhe dekhte dekhte bujh ga.ii.nkitne kurte tire haath se istirii ho ke jalne kii KHvaahish me.n khuu.nTii se laTke rahekitne lab tere maathe ko tarsekitnii shahraahe.n is shauq me.n phaT ga.ii hai.nki tuu un ke siine pe paa.nv dharemai.n tujhe Dhuu.nDte Dhuu.nDhte thak gayaa huu.nab mujhe terii maujuudgii chaahiyeapne saaTan me.n sahme hu.e surKH pairo.n ko ab mere haatho.n pe rakhmai.n ne chakhnaa hai in kaa namak
aa.o ye soche.n bhii qaatil hai.n to behtar hai yahiiphir se ham apne puraane zahr ko amrit kahe.ntuu agar chaahe to ham ik duusre ko chho.D karapne apne be-vafaa.o.n ke liye rote rahe.n
apnii diivaangi-e-shauq pe ha.nstaa bhii huu.n mai.naur phir apne KHayaalaat me.n kho jaataa huu.ntujh ko apnaane kii himmat hai na kho dene kaa zarfkabhii ha.nste kabhii rote hu.e so jaataa huu.n mai.n
kabhii kabhii ko.ii yaadko.ii bahut puraanii yaaddil ke darvaaze paraise dastak detii haishaam ko jaise taaraa niklesub.h ko jaise phuuljaise dhiire dhiire zamii.n parraushniyo.n kaa nuzuuljaise ruuh kii pyaas bujhaaneutre ko.ii rasuuljaise rote rote achaanakha.ns de ko.ii maluulkabhii kabhii ko.ii yaad ko.ii bahut puraanii yaaddil ke darvaaze par aise dastak detii hai
ziyaada paas mat aanaamai.n vo tah-KHaana huu.n jis me.nshikasta KHvaahisho.n ke an-ginat aaseb baste hai.njo aadhii shab to rote hai.n phir aadhii raat ha.nste hai.nmirii taariikiyo.n me.ngum-shuda sadiyo.n ke gard-aaluud naa-aasuuda KHvaabo.n keka.ii ifriit baste hai.nmirii KHushiyo.n pe rote hai.n mire ashko.n pe ha.nste hai.nmire viiraan dil me.n re.ngtii hai.n maka.Diyaa.n Gam kiitamannaa.o.n ke kaale naag shab-bhar sarsaraate hai.ngunaaho.n ke jane bichchhuudamo.n par apne apne Da.nk laadeapne apne zahr ke sho.alo.n me.n jalte hai.nye bichchhuu dukh nigalte aur pachhtaave ugalte hai.n
kisii ke ba.adapne haatho.n kii bad-suuratii me.n kho ga.ii hai vomujhe kahtii hai 'taabish'! tum ne dekhaa mere haatho.n kobure hai.n naa.n?agar ye KHuubsuurat the to in me.n ko.ii bosa kyuu.n nahii.n Thahraa''ajab la.Dkii haipuure jism se kaT kar faqat haatho.n me.n zinda haisuraahii-daar gardan narm ho.nTo.n tez nazro.n se vo bad-zan haiki in apno.n ne hii us ko sar-e-baazaar phe.nkaa thaakabhii aa.nkho.n me.n Duubiiaur kabhii bistar pe silvaT kii tarah ubhriiajab la.Dkii haiKHud ko Dhuu.nDtii haiapne haatho.n kii lakiiro.n me.njahaa.n vo thii na hai, aa.inda bhii shaayad nahii.n hogiivo jab u.nglii ghumaa kar'faiz' kii nazme.n sunaatii haito is ke haath se puure badan kaa dukh jhalaktaa haivo ha.nstii hai to us ke haath rote hai.najab la.Dkii haipuure jism se kaT kar faqat haatho.n me.n zinda haimujhe kahtii hai '''taabish'! tum ne dekhaa mere haatho.n kobure hai.n naa.n''?mai.n shaayad gir chukaa huu.n apnii nazro.n semai.n chhupnaa chaahtaa huu.n us ke thaile me.njahaa.n cigarette hai.n maachis haijo us kaa haal maazii aur mustaqbil!
mai.n jab bhii tere firaaq kaa nauha likh ke laa.uu.nsuKHan-shanaaso.n ko meraa tarz-e-amal na bhaa.etirii mohabbat kaa dard ho jis Gazal me.n shaamilkisii ko aisii Gazal na bhaa.ejavaab aa.eki jaane vaalo.n ko yaad karne se ko.ii bhii faa.eda nahii.n haimai.n terii yaado.n ko guu.ndh kar apnii hasrato.n me.ntaraashtaa huu.n agar tiraa dil-navaaz paikarvo log dete hai.n mujh ko but-parastii kaa ta.anaju.De hai.n jin ke dilo.n me.n pattharvahii sanam-garkare.n nasiihat buto.n pe marne se ko.ii bhii faa.eda nahii.n haimai.n zikr kartaa huu.n jab vasl kii ruto.n kaato shahr ke saare paarsaa mujh ko Tokte hai.nKHilaaf-e-aKHlaaq jin ke nazdiik hai mohabbatvafaa.o.n se mujh ko rokte hai.nkachokte hai.nki apnii izzat pe naam dharne se ko.ii bhii faa.eda nahii.n haiagar kabhii mai.n judaa.iyo.n kaa sabab bataa.uu.nto merii nazmo.n se KHauf khaane lage.n jariidesamaaj par ehtijaaj karne kaa haq jo maa.ngo.nko.ii ye kah kar zabaan sii delikho qasiideki KHud ko yuu.n be-lagaam karne se ko.ii bhii faa.eda nahii.n haiisii liye to habiib mereye merii Gazle.n ye merii nazme.njo mai.n ne tujh se bichha.D ke likhii.nunhe.n ko.ii chhaaptaa nahii.n hai
magar ye eid kaa din bhii to ik haqiiqat haiki vaj.h-e-eid samajhnaa bhii ik ibaadat haichalo ki rote hu.o.n ko ha.nsaa ke eid manaa.e.nkisii ke dard ko apnaa banaa ke eid manaa.e.ndilo.n se apne adaavat miTaa ke eid manaa.e.nkisii ke lab pe tabassum sajaa ke eid manaa.e.n
shiddat-e-faaqa se rote hu.e nanhe bachcheek roTii ke nivaale se bahal jaate hai.nyaa sar-e-shaam hii so jaate hai.n bhuuke pyaasemaa.n kii suukhii hu.ii chhaatii ko dabaa kar mu.nh me.n
jiivan-khel me.n haare logobichh.De logo piyaare logobarkhaa kii lambii raato.n me.nkamre kii KHaamosh fazaa me.npichhle pahr ke sannaaTe me.nrote rote jaagne vaaleham logo.n ko so lene doaur saveraa ho lene do
pho.De phunsiyaa.n phuuTe.nge to khujlaa.ogerote-dhote Te.n Te.n karte ghar aa.ogeuupar se phir ka.Dve tel kii maalish hogiibaarish baarish baarish hogii
ko.ii apnaa maraameraa apnaa maraamere aa.ngan me.n maatam kii saf bichh ga.ii'aurate.n bain kartii rahii.nbachche rote rahemai.n nahii.n ro sakaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books