Sher on Qatil
In classical poetry,
a beloved is a tormentor who brings untold miseries to the lover. This is also why the beloved’s eye brows have been compared with swords and the eye lashes with arrows. In modern poetry, however, these metaphors have gone stale and a tormentor has acquired many more identities that have a socio-political implication.
ḳhudā ke vāste is ko na Toko
yahī ik shahr meñ qātil rahā hai
KHuda ke waste is ko na Toko
yahi ek shahr mein qatil raha hai
zulm phir zulm hai baḌhtā hai to miT jaatā hai
ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkegā to jam jā.egā
zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
-
Tags : Inquilaband 2 more
mere hone meñ kisī taur se shāmil ho jaao
tum masīhā nahīñ hote ho to qātil ho jaao
mere hone mein kisi taur se shamil ho jao
tum masiha nahin hote ho to qatil ho jao
qātil ne kis safā.ī se dhoī hai āstīñ
us ko ḳhabar nahīñ ki lahū boltā bhī hai
qatil ne kis safai se dhoi hai aastin
us ko KHabar nahin ki lahu bolta bhi hai
qatl ho to merā sā maut ho to merī sī
mere sogvāroñ meñ aaj merā qātil hai
Today amongst my mourners, my murderer too grieves
A death, a murder as was mine, all lovers should attain
qatl ho to mera sa maut ho to meri si
mere sogwaron mein aaj mera qatil hai
Today amongst my mourners, my murderer too grieves
A death, a murder as was mine, all lovers should attain
kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba
haa.e us zūd-pashīmāñ kā pashīmāñ honā
After she had slain me then from torture she forswore
Alas! the one now quickly shamed was not so before
ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba
hae us zud-pashiman ka pashiman hona
After she had slain me then from torture she forswore
Alas! the one now quickly shamed was not so before
-
Tags : Famous shayariand 2 more
jab lageñ zaḳhm to qātil ko duā dī jaa.e
hai yahī rasm to ye rasm uThā dī jaa.e
jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae
hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae
-
Tags : Duaand 1 more
ye sach hai chand lamhoñ ke liye bismil taḌaptā hai
phir is ke ba.ad saarī zindagī qātil taḌaptā hai
ye sach hai chand lamhon ke liye bismil taDapta hai
phir is ke baad sari zindagi qatil taDapta hai
yuuñ na qātil ko jab yaqīñ aayā
ham ne dil khol kar dikhā.ī choT
yun na qatil ko jab yaqin aaya
hum ne dil khol kar dikhai choT
-
Tag : Bharosa
kaun pursāñ hai hāl-e-bismil kā
ḳhalq muñh dekhtī hai qātil kā
kaun pursan hai haal-e-bismil ka
KHalq munh dekhti hai qatil ka
shahr ke aa.iin meñ ye mad bhī likkhī jā.egī
zinda rahnā hai to qātil kī sifārish chāhiye
shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi
zinda rahna hai to qatil ki sifarish chahiye