Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Wamiq Jaunpuri's Photo'

Wamiq Jaunpuri

1909 - 1998 | Jaunpur, India

Prominent progressive poet, famous for his nazm ‘Bhooka Bangal’

Prominent progressive poet, famous for his nazm ‘Bhooka Bangal’

Sher of Wamiq Jaunpuri

5.8K
Favorite

SORT BY

mohabbat sazā tark-e-mohabbat

mohabbat yahī in.aam bhī hai

mohabbat ki saza tark-e-mohabbat

mohabbat ka yahi inam bhi hai

ik halqa-e-ahbāb hai tanhā.ī bhī us

ik ham haiñ ki har bazm meñ tanhā nazar aa.e

ek halqa-e-ahbab hai tanhai bhi us ki

ek hum hain ki har bazm mein tanha nazar aae

terī qismat meñ zāhid mai nahīñ

shukr to majbūriyoñ naam hai

teri qismat hi mein zahid mai nahin

shukr to majburiyon ka nam hai

is daur taḳhlīq bhī kyā shīshagarī hai

har ā.īne meñ aadmī ulTā nazar aa.e

is daur ki taKHliq bhi kya shishagari hai

har aaine mein aadmi ulTa nazar aae

sarkashī ḳhud-kashī pe ḳhatm huī

ek rassī thī jal ga.ī shāyad

sarkashi KHud-kashi pe KHatm hui

ek rassi thi jal gai shayad

liyā karte haiñ jiine tamannā meñ kabhī

laḌkhaḌānā bhī zarūrī hai sambhalne ke liye

pi liya karte hain jine ki tamanna mein kabhi

laDkhaDana bhi zaruri hai sambhalne ke liye

zabāñ tak jo na aa.e vo mohabbat aur hotī hai

fasāna aur hotā hai haqīqat aur hotī hai

zaban tak jo na aae wo mohabbat aur hoti hai

fasana aur hota hai haqiqat aur hoti hai

maiñ tañg huuñ sukūn se ab iztirāb de

be-intihā sukūn bhī āzār to hai

main tang hun sukun se ab iztirab de

be-intiha sukun bhi aazar hi to hai

raat bhī murjhā chalī chāñd bhī kumhlā gayā

phir bhī tirā intizār dekhiye kab tak rahe

raat bhi murjha chali chand bhi kumhla gaya

phir bhi tera intizar dekhiye kab tak rahe

hārne jītne se kuchh nahīñ hotā 'vāmiq'

khel har saañs pe hai daaoñ lagāte rahnā

haarne jitne se kuchh nahin hota 'wamiq'

khel har sans pe hai daon lagate rahna

ham na kahte the shā.irī hai vabāl

aaj lo ghir ga.e hasīnoñ meñ

hum na kahte the shairi hai wabaal

aaj lo ghir gae hasinon mein

nahīñ milte to ik adnā shikāyat hai na milne

magar mil kar na milne shikāyat aur hotī hai

nahin milte to ek adna shikayat hai na milne ki

magar mil kar na milne ki shikayat aur hoti hai

tum hosh meñ jab aa.e to aafat ban ke aa.e

ab mere paas jab bhī tum aao nashe meñ aao

tum hosh mein jab aae to aafat hi ban ke aae

ab mere pas jab bhi tum aao nashe mein aao

rahnā tum chāhe jahāñ ḳhabroñ meñ aate rahnā

ham ko ehsās-e-judā.ī se bachāte rahnā

rahna tum chahe jahan KHabron mein aate rahna

hum ko ehsas-e-judai se bachate rahna

na pūchho bebasī us tishna-lab

ki jis dastaras meñ jaam bhī hai

na puchho bebasi us tishna-lab ki

ki jis ki dastaras mein jam bhi hai

jab purānā lahja kho detā hai apnī tāzgī

ik na.ī tarz-e-navā ījād kar lete haiñ ham

jab purana lahja kho deta hai apni tazgi

ek nai tarz-e-nawa ijad kar lete hain hum

vo lamha bhar milī ḳhuld meñ jo āzādī

to qaid ho ga.e miTTī meñ ham sadā ke liye

wo lamha bhar ki mili KHuld mein jo aazadi

to qaid ho gae miTTi mein hum sada ke liye

le ke tesha uThā hai phir mazdūr

Dhal rahe haiñ jabal mashīnoñ meñ

le ke tesha uTha hai phir mazdur

Dhal rahe hain jabal mashinon mein

yaqīnan aa gayā hai mai-kade meñ tishna-lab koī

ki piitā rahā huuñ kaifiyat kam hotī jaatī hai

surely some sere and thirsty soul is at the tavern's gate

as I drink more and more my stupor seems to abate

yaqinan aa gaya hai mai-kade mein tishna-lab koi

ki pita ja raha hun kaifiyat kam hoti jati hai

surely some sere and thirsty soul is at the tavern's gate

as I drink more and more my stupor seems to abate

agar ġhubār ho dil meñ agar ho tañg-nazar

to mehr o maah se bhī tīrgī nahīñ jaatī

agar ghubar ho dil mein agar ho tang-nazar

to mehr o mah se bhi tirgi nahin jati

vo to kahiye aaj bhī zanjīr meñ jhankār hai

varna kis ko yaad rah jaatī hai dīvānoñ baat

wo to kahiye aaj bhi zanjir mein jhankar hai

warna kis ko yaad rah jati hai diwanon ki baat

pahchān lo us ko vahī qātil hai hamārā

jis haath meñ TuuTī huī talvār lage hai

pahchan lo us ko wahi qatil hai hamara

jis hath mein TuTi hui talwar lage hai

badaltī rahtī haiñ qadreñ rahīl-e-vaqt ke saath

zamāna badlegā har shai naam badlegā

badalti rahti hain qadren rahil-e-waqt ke sath

zamana badlega har shai ka nam badlega

mujhe us junūñ hai justujū jo chaman ko baḳhsh de rañg o

jo naved-e-fasl-e-bahār ho mujhe us nazar talāsh hai

mujhe us junun ki hai justuju jo chaman ko baKHsh de rang o bu

jo nawed-e-fasl-e-bahaar ho mujhe us nazar ki talash hai

ye maanā shīsha-e-dil raunaq-e-bāzār-e-ulfat hai

magar jab TuuT jaatā hai to qīmat aur hotī hai

ye mana shisha-e-dil raunaq-e-bazar-e-ulfat hai

magar jab TuT jata hai to qimat aur hoti hai

vo vaade yaad nahīñ tishna hai magar ab tak

vo vaade bhī koī vaade jo mai pilā ke liye

wo wade yaad nahin tishna hai magar ab tak

wo wade bhi koi wade jo mai pila ke liye

vo jo tasbīh liye hai us ko

mere aage se uThā de saaqī

wo jo tasbih liye hai us ko

mere aage se uTha de saqi

kis ne basāyā thā aur un ko kis ne yuuñ barbād kiyā

apne lahū aatī hai in ujḌe bāzāroñ se

kis ne basaya tha aur un ko kis ne yun barbaad kiya

apne lahu ki bu aati hai in ujDe bazaron se

kaun suntā hai bhikārī sadā.eñ is liye

kuchh zarīfāna latīfe yaad kar lete haiñ ham

kaun sunta hai bhikari ki sadaen is liye

kuchh zarifana latife yaad kar lete hain hum

ye zindagī raat hai tārīk kis qadar

donoñ siroñ pe sham.a jalāo nashe meñ aao

ye zindagi ki raat hai tarik kis qadar

donon siron pe shama jalao nashe mein aao

laakh ābād-e-tamannā ho ke dil

phir bhī vīrāñ hai na jaane kis liye

lakh aabaad-e-tamanna ho ke dil

phir bhi viran hai na jaane kis liye

ye ham ko chhoḌ ke tanhā kahāñ chale 'vāmiq'

abhī to manzil-e-merāj-e-dār baaqī hai

ye hum ko chhoD ke tanha kahan chale 'wamiq'

abhi to manzil-e-meraj-e-dar baqi hai

mire fikr o fan ko na.ī fazā na.e bāl-o-par talāsh hai

jo qafas ko yaas ke phūñk de mujhe us sharar talāsh hai

TRANSLATION

My thinking is in search of a new environment, new wings of imagination,

Of an amber that might burn down, the gloom of my incarceration.

Sagar Akbarabadi

mere fikr o fan ko nai faza nae baal-o-par ki talash hai

jo qafas ko yas ke phunk de mujhe us sharar ki talash hai

TRANSLATION

My thinking is in search of a new environment, new wings of imagination,

Of an amber that might burn down, the gloom of my incarceration.

Sagar Akbarabadi

dekhiye kab raah par Thiik se uTTheñ qadam

raat mai ḳhumār dekhiye kab tak rahe

dekhiye kab rah par Thik se uTThen qadam

raat ki mai ka KHumar dekhiye kab tak rahe

ai kaash mire gosh o nazar bhī raheñ sābit

jab husn sunā jaa.e naġhma nazar aa.e

ai kash mere gosh o nazar bhi rahen sabit

jab husn suna jae ya naghma nazar aae

ham ko hājat nahīñ naqīboñ

sher apnā naqīb hai ḳhud

hum ko hajat nahin naqibon ki

sher apna naqib hai KHud hi

hai jis Thokaroñ meñ āb-e-zindagī 'vāmiq'

vo tishnagī samundar dikhā.ī detā hai

hai jis ki Thokaron mein aab-e-zindagi 'wamiq'

wo tishnagi ka samundar dikhai deta hai

use zid ki 'vāmiq'-e-shikva-gar kisī raaz se na ho bā-ḳhabar

mujhe naaz hai ki ye dīda-var mirī umr bhar talāsh hai

use zid ki 'wamiq'-e-shikwa-gar kisi raaz se na ho ba-KHabar

mujhe naz hai ki ye dida-war meri umr bhar ki talash hai

are o adīb-e-fasurda-ḳhū are o muġhanni-e-rañg o

abhī hāshiye pe khaḌā hai bahut aage ahl-e-hunar ga.e

are o adib-e-fasurda-KHu are o mughanni-e-rang o bu

abhi hashiye pe khaDa hai tu bahut aage ahl-e-hunar gae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now