Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi's Photo'

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

1882 - 1935 | Lucknow, India

One of the most prominent masters of Classical ghazal from Lucknow

One of the most prominent masters of Classical ghazal from Lucknow

Sher of Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

6.6K
Favorite

SORT BY

apne markaz taraf mā.il-e-parvāz thā husn

bhūltā nahīñ aalam tirī añgḌā.ī

apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn

bhulta hi nahin aalam teri angDai ka

paidā vo baat kar ki tujhe ro.eñ dūsre

ronā ḳhud apne haal pe ye zaar zaar kyā

create that aspect in yourself that others cry for thee

paida wo baat kar ki tujhe roen dusre

rona KHud apne haal pe ye zar zar kya

create that aspect in yourself that others cry for thee

zabān dil haqīqat ko kyā bayāñ kartī

kisī haal kisī se kahā nahīñ jaatā

zaban dil ki haqiqat ko kya bayan karti

kisi ka haal kisi se kaha nahin jata

ḳhud chale aao bulā bhejo

raat akele basar nahīñ hotī

KHud chale aao ya bula bhejo

raat akele basar nahin hoti

lutf-e-bahār kuchh nahīñ go hai vahī bahār

dil ujaḌ gayā ki zamāna ujaḌ gayā

lutf-e-bahaar kuchh nahin go hai wahi bahaar

dil hi ujaD gaya ki zamana ujaD gaya

jhūTe va.adoñ par thī apnī zindagī

ab to vo bhī aasrā jaatā rahā

jhuTe wadon par thi apni zindagi

ab to wo bhi aasra jata raha

hijr raat kāTne vaale

kyā karegā agar sahar na huī

hijr ki raat kaTne wale

kya karega agar sahar na hui

hamesha tinke chunte guzar ga.ī apnī

magar chaman meñ kahīñ āshiyāñ banā na sake

hamesha tinke hi chunte guzar gai apni

magar chaman mein kahin aashiyan bana na sake

ā.īna chhoḌ ke dekhā kiye sūrat merī

dil-e-muztar ne mire un ko sañvarne na diyā

aaina chhoD ke dekha kiye surat meri

dil-e-muztar ne mere un ko sanwarne na diya

batāo aise marīzoñ hai ilaaj koī

ki jin se haal bhī apnā bayāñ nahīñ hotā

batao aise marizon ka hai ilaj koi

ki jin se haal bhi apna bayan nahin hota

tum ne chheḌā to kuchh khule ham bhī

baat par baat yaad aatī hai

tum ne chheDa to kuchh khule hum bhi

baat par baat yaad aati hai

ye terī aarzū meñ baḌhī vus.at-e-nazar

duniyā hai sab mirī nigah-e-intizār meñ

ye teri aarzu mein baDhi wusat-e-nazar

duniya hai sab meri nigah-e-intizar mein

vahī hikāyat-e-dil thī vahī shikāyat-e-dil

thī ek baat jahāñ se bhī ibtidā karte

wahi hikayat-e-dil thi wahi shikayat-e-dil

thi ek baat jahan se bhi ibtida karte

haa.e kyā chiiz thī javānī bhī

ab to din raat yaad aatī hai

hae kya chiz thi jawani bhi

ab to din raat yaad aati hai

maanā ki bazm-e-husn ke ādāb haiñ bahut

jab dil pe iḳhtiyār na ho kyā kare koī

mana ki bazm-e-husn ke aadab hain bahut

jab dil pe iKHtiyar na ho kya kare koi

sham.a bujh kar rah ga.ī parvāna jal kar rah gayā

yādgār-e-husn-o-ishq ik daaġh dil par rah gayā

shama bujh kar rah gai parwana jal kar rah gaya

yaadgar-e-husn-o-ishq ek dagh dil par rah gaya

itnā bhī bār-e-ḳhātir-e-gulshan na ho koī

TuuTī vo shāḳh jis pe mirā āshiyāna thā

itna bhi bar-e-KHatir-e-gulshan na ho koi

TuTi wo shaKH jis pe mera aashiyana tha

'azīz' muñh se vo apne naqāb to ulTeñ

kareñge jabr agar dil pe iḳhtiyār rahā

'aziz' munh se wo apne naqab to ulTen

karenge jabr agar dil pe iKHtiyar raha

duā.eñ māñgī haiñ saaqī ne khol kar zulfeñ

basān-e-dast-e-karam abr-e-dajla-bār baras

duaen mangi hain saqi ne khol kar zulfen

basan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-bar baras

kabhī jannat kabhī dozaḳh kabhī ka.aba kabhī dair

ajab andāz se ta.amīr huā ḳhāna-e-dil

kabhi jannat kabhi dozaKH kabhi kaba kabhi dair

ajab andaz se tamir hua KHana-e-dil

tumheñ hañste hue dekhā hai jab se

mujhe rone aadat ho ga.ī hai

tumhein hanste hue dekha hai jab se

mujhe rone ki aadat ho gai hai

dil nahīñ jab to ḳhaak hai duniyā

asal jo chiiz thī vahī na rahī

dil nahin jab to KHak hai duniya

asal jo chiz thi wahi na rahi

dil samajhtā thā ki ḳhalvat meñ vo tanhā hoñge

maiñ ne parda jo uThāyā to qayāmat niklī

dil samajhta tha ki KHalwat mein wo tanha honge

main ne parda jo uThaya to qayamat nikli

naza.a vaqt hai baiThā hai sirhāne koī

vaqt ab vo hai ki marnā hameñ manzūr nahīñ

naza ka waqt hai baiTha hai sirhane koi

waqt ab wo hai ki marna hamein manzur nahin

be-ḳhudī kūcha-e-jānāñ meñ liye jaatī hai

dekhiye kaun mujhe merī ḳhabar detā hai

be-KHudi kucha-e-jaanan mein liye jati hai

dekhiye kaun mujhe meri KHabar deta hai

udāsī ab kisī rañg jamne nahīñ detī

kahāñ tak phuul barsā.e koī gor-e-ġharībāñ par

udasi ab kisi ka rang jamne hi nahin deti

kahan tak phul barsae koi gor-e-ghariban par

musībat thī hamāre liye kyuuñ

ye maanā ham jiye lekin jiye kyuuñ

musibat thi hamare hi liye kyun

ye mana hum jiye lekin jiye kyun

hai dil meñ josh-e-hasrat rukte nahīñ haiñ aañsū

ristī huī surāhī TuuTā huā subū huuñ

hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu

risti hui surahi TuTa hua subu hun

jab se zulfoñ paḌā hai is meñ aks

dil mirā TuuTā huā ā.īna hai

jab se zulfon ka paDa hai is mein aks

dil mera TuTa hua aaina hai

tamām anjuman-e-vāz ho ga.ī barham

liye hue koī yuuñ sāġhar-e-sharāb aayā

tamam anjuman-e-waz ho gai barham

liye hue koi yun saghar-e-sharab aaya

ham to dil par samajhte the butoñ iḳhtiyār

nasb-e-ka.aba meñ bhī ab tak ek patthar rah gayā

hum to dil hi par samajhte the buton ka iKHtiyar

nasb-e-kaba mein bhi ab tak ek patthar rah gaya

be-piye vaa.iz ko merī raa.e meñ

masjid-e-jāma meñ jaanā na thā

be-piye waiz ko meri rae mein

masjid-e-jama mein jaana hi na tha

aap jis dil se gurezāñ the usī dil se mile

dekhiye DhūñDh nikālā hai kahāñ se maiñ ne

aap jis dil se gurezan the usi dil se mile

dekhiye DhunDh nikala hai kahan se main ne

usī ko hashr kahte haiñ jahāñ duniyā ho fariyādī

yahī ai mīr-e-dīvān-e-jazā kyā terī mahfil hai

usi ko hashr kahte hain jahan duniya ho fariyaadi

yahi ai mir-e-diwan-e-jaza kya teri mahfil hai

qatl aur mujh se saḳht-jāñ qatl

teġh dekho zarā kamar dekho

qatl aur mujh se saKHt-jaan ka qatl

tegh dekho zara kamar dekho

ab chaman meñ bhī kisī sūrat se lagtā nahīñ

haañ magar jab tak qafas meñ the qafas badnām thā

ab chaman mein bhi kisi surat se ji lagta nahin

han magar jab tak qafas mein the qafas badnam tha

hamesha se mizāj-e-husn meñ diqqat-pasandī hai

mirī dushvāriyāñ āsān honā saḳht mushkil hai

hamesha se mizaj-e-husn mein diqqat-pasandi hai

meri dushwariyan aasan hona saKHt mushkil hai

dil ālūdgī-e-zaḳhm baḌhī jaatī hai

saañs letā huuñ to ab ḳhuun aatī hai

dil ki aaludgi-e-zaKHm baDhi jati hai

sans leta hun to ab KHun ki bu aati hai

mire dahan meñ agar aap zabāñ hotī

to phir kuchh aur unvān-e-dāstāñ hotā

mere dahan mein agar aap ki zaban hoti

to phir kuchh aur hi unwan-e-dastan hota

maiñ to hastī ko samajhtā huuñ sarāsar ik gunāh

pāk-dāmānī da.avā ho to kis buniyād par

main to hasti ko samajhta hun sarasar ek gunah

pak-damani ka dawa ho to kis buniyaad par

phuuT niklā zahr saare jism meñ

jab kabhī aañsū hamāre tham ga.e

phuT nikla zahr sare jism mein

jab kabhi aansu hamare tham gae

banī haiñ shahr-āshob-e-tamannā

ḳhumār-ālūda āñkheñ rāt-bhar

bani hain shahr-ashob-e-tamanna

KHumar-aluda aankhen raat-bhar ki

qafas meñ nahīñ lagtā hai aah phir bhī mirā

ye jāntā huuñ ki tinkā bhī āshiyāñ meñ nahīñ

qafas mein ji nahin lagta hai aah phir bhi mera

ye jaanta hun ki tinka bhi aashiyan mein nahin

ye mashvara baham uTThe haiñ chāra-jū karte

ki ab marīz ko achchhā thā qibla-rū karte

ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte

ki ab mariz ko achchha tha qibla-ru karte

taqlīd ab maiñ hazrat-e-vā.iz kyuuñ karūñ

saaqī ne de diyā mujhe fatvā javāz

taqlid ab main hazrat-e-waiz ki kyun karun

saqi ne de diya mujhe fatwa jawaz ka

manzil-e-hastī meñ ik yūsuf thī mujh ko talāsh

ab jo dekhā kārvāñ kārvāñ miltā nahīñ

manzil-e-hasti mein ek yusuf ki thi mujh ko talash

ab jo dekha karwan ka karwan milta nahin

sabaq aa ke gor-e-ġharībāñ se le lo

ḳhamoshī mudarris hai is anjuman meñ

sabaq aa ke gor-e-ghariban se le lo

KHamoshi mudarris hai is anjuman mein

tirī koshish ham ai dil sa.i-e-lā-hāsil samajhte haiñ

sar-e-manzil tujhe begāna-e-manzil samajhte haiñ

teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain

sar-e-manzil tujhe begana-e-manzil samajhte hain

husn-e-ārāsta qudrat atiyya hai magar

kyā mirā ishq-e-jigar-soz ḳhudā-dād nahīñ

husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar

kya mera ishq-e-jigar-soz KHuda-dad nahin

hādsāt-e-dahr meñ vābasta-e-arbāb-e-dard

jahāñ karvaT kisī ne inqalāb aa gayā

hadsat-e-dahr mein wabasta-e-arbab-e-dard

li jahan karwaT kisi ne inqalab aa hi gaya

Recitation

Speak Now