Sher of Arsh Malsiyani
mohabbat soz bhī hai saaz bhī hai
ḳhamoshī bhī hai ye āvāz bhī hai
mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
KHamoshi bhi hai ye aawaz bhi hai
maut hī insān kī dushman nahīñ
zindagī bhī jaan le kar jā.egī
maut hi insan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaegi
ik raushnī sī dil meñ thī vo bhī nahīñ rahī
vo kyā ga.e charāġh-e-tamannā bujhā ga.e
ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi
wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae
-
Tag : Judai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhushk bātoñ meñ kahāñ hai shaiḳh kaif-e-zindagī
vo to pī kar hī milegā jo mazā piine meñ hai
o priest where is the pleasure in this world when dry and sere
tis only when one drinks will then the joy truly appear
KHushk baaton mein kahan hai shaiKH kaif-e-zindagi
wo to pi kar hi milega jo maza pine mein hai
o priest where is the pleasure in this world when dry and sere
tis only when one drinks will then the joy truly appear
balā hai qahr hai aafat hai fitna hai qayāmat hai
hasīnoñ kī javānī ko javānī kaun kahtā hai
bala hai qahr hai aafat hai fitna hai qayamat hai
hasinon ki jawani ko jawani kaun kahta hai
'arsh' kis dost ko apnā samjhūñ
sab ke sab dost haiñ dushman kī taraf
'arsh' kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
hai dekhne vāloñ ko sambhalne kā ishārā
thoḌī sī naqāb aaj vo sarkā.e hue haiñ
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
-
Tag : Naqab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn har haal meñ hai husn parāganda naqāb
koī parda hai na chilman ye koī kyā jaane
husn har haal mein hai husn paraganda naqab
koi parda hai na chilman ye koi kya jaane
-
Tag : Husn
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pī leñge zarā shaiḳh to kuchh garm raheñge
ThanDā na kahīñ kar deñ ye jannat kī havā.eñ
pi lenge zara shaiKH to kuchh garm rahenge
ThanDa na kahin kar den ye jannat ki hawaen
jitnī vo mire haal pe karte haiñ jafā.eñ
aatā hai mujhe un kī mohabbat kā yaqīñ aur
More the cruelty from her that I receive
more in her affection for me do I believe
jitni wo mere haal pe karte hain jafaen
aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur
More the cruelty from her that I receive
more in her affection for me do I believe
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tirī duniyā ko ai vaa.iz mirī duniyā se kyā nisbat
tirī duniyā meñ taqdīreñ merī duniyā meñ tadbīreñ
teri duniya ko ai waiz meri duniya se kya nisbat
teri duniya mein taqdiren meri duniya mein tadbiren
dard merāj ko pahuñchtā hai
jab koī tarjumāñ nahīñ miltā
dard meraj ko pahunchta hai
jab koi tarjuman nahin milta
-
Tag : Dard
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tauba tauba ye balā-ḳhez javānī tauba
dekh kar us but-e-kāfir ko ḳhudā yaad aayā
tauba tauba ye bala-KHez jawani tauba
dekh kar us but-e-kafir ko KHuda yaad aaya
saaqī mirī ḳhamosh-mizājī kī laaj rakh
iqrār gar nahīñ hai to inkār bhī nahīñ
saqi meri KHamosh-mizaji ki laj rakh
iqrar gar nahin hai to inkar bhi nahin
ḳhudī kā rāzdāñ ho kar ḳhudī kī dāstāñ ho jā
jahāñ se kyā ġharaz tujh ko tū aap apnā jahāñ ho jā
KHudi ka raazdan ho kar KHudi ki dastan ho ja
jahan se kya gharaz tujh ko tu aap apna jahan ho ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bas isī dhun meñ rahā mar ke milegī jannat
tum ko ai shoḳh na jiine kā qarīna aayā
bas isi dhun mein raha mar ke milegi jannat
tum ko ai shoKH na jine ka qarina aaya
'arsh' pahle ye shikāyat thī ḳhafā hotā hai vo
ab ye shikva hai ki vo zālim ḳhafā hotā nahīñ
'arsh' pahle ye shikayat thi KHafa hota hai wo
ab ye shikwa hai ki wo zalim KHafa hota nahin
ishq-e-butāñ kā le ke sahārā kabhī kabhī
apne ḳhudā ko ham ne pukārā kabhī kabhī
ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
apne KHuda ko hum ne pukara kabhi kabhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāġh-e-dil se bhī raushnī na milī
ye diyā bhī jalā ke dekh liyā
light, my burning heart, just could not provide
the lighting of this lamp, even tho I tried
dagh-e-dil se bhi raushni na mili
ye diya bhi jala ke dekh liya
light, my burning heart, just could not provide
the lighting of this lamp, even tho I tried
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na nasheman hai na hai shāḳh-e-nasheman baaqī
lutf jab hai ki kare ab koī barbād mujhe
na nasheman hai na hai shaKH-e-nasheman baqi
lutf jab hai ki kare ab koi barbaad mujhe
chaman meñ kaun hai pursān-e-hāl shabnam kā
ġharīb roī to ġhunchoñ ko bhī hañsī aa.ī
chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka
gharib roi to ghunchon ko bhi hansi aai
farishte ko mire naale yūñhī badnām karte haiñ
mire a.amāl likhtī haiñ mirī qismat kī tahrīreñ
farishte ko mere nale yunhi badnam karte hain
mere aamal likhti hain meri qismat ki tahriren
diye jalā.e ummīdoñ ne dil ke gird bahut
kisī taraf se na is ghar meñ raushnī aa.ī
diye jalae ummidon ne dil ke gird bahut
kisi taraf se na is ghar mein raushni aai
vo sahrā jis meñ kaT jaate haiñ din yād-e-bahārāñ se
ba-alfāz-e-digar us ko chaman kahnā hī paḌtā hai
wo sahra jis mein kaT jate hain din yaad-e-bahaaran se
ba-alfaz-e-digar us ko chaman kahna hi paDta hai
sajde karte bhī haiñ ḳhud insāñ dar-e-insāñ pe roz
aur phir kahte bhī haiñ banda ḳhudā hotā nahīñ
sajde karte bhi hain KHud insan dar-e-insan pe roz
aur phir kahte bhi hain banda KHuda hota nahin
dil-e-fasurda pe sau baar tāzgī aa.ī
magar vo yaad ki jā kar na phir kabhī aa.ī
dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
magar wo yaad ki ja kar na phir kabhi aai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download