Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Seemab Akbarabadi's Photo'

Seemab Akbarabadi

1882 - 1951 | Agra, India

One of the most prominent pre-modern Urdu Poets, having hundreds of disciples.

One of the most prominent pre-modern Urdu Poets, having hundreds of disciples.

Sher of Seemab Akbarabadi

25.9K
Favorite

SORT BY

umr-e-darāz maañg ke laa.ī thī chaar din

do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ

a long life, four days in all, I did negotiate

two were spent in hope and two were spent in wait

umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din

do aarzu mein kaT gae do intizar mein

a long life, four days in all, I did negotiate

two were spent in hope and two were spent in wait

dil bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ

ik ā.īna thā TuuT gayā dekh-bhāl meñ

dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein

ek aaina tha TuT gaya dekh-bhaal mein

māzī-e-marhūm nākāmiyoñ zikr chhoḌ

zindagī fursat-e-bāqī se koī kaam le

mazi-e-marhum ki nakaamiyon ka zikr chhoD

zindagi ki fursat-e-baqi se koi kaam le

roz kahtā huuñ ki ab un ko na dekhūñgā kabhī

rose us kūche meñ ik kaam nikal aatā hai

roz kahta hun ki ab un ko na dekhunga kabhi

rose us kuche mein ek kaam nikal aata hai

tujhe dānista mahfil meñ jo dekhā ho to mujrim huuñ

nazar āḳhir nazar hai be-irāda uTh ga.ī hogī

tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun

nazar aaKHir nazar hai be-irada uTh gai hogi

tere jalvoñ ne mujhe gher liyā hai ai dost

ab to tanhā.ī ke lamhe bhī hasīñ lagte haiñ

tere jalwon ne mujhe gher liya hai ai dost

ab to tanhai ke lamhe bhi hasin lagte hain

mirī ḳhāmoshiyoñ par duniyā mujh ko ta.an detī hai

ye kyā jaane ki chup rah kar bhī jaatī haiñ taqrīreñ

meri KHamoshiyon par duniya mujh ko tan deti hai

ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jati hain taqriren

pareshāñ hone vāloñ ko sukūñ kuchh mil bhī jaatā hai

pareshāñ karne vāloñ pareshānī nahīñ jaatī

pareshan hone walon ko sukun kuchh mil bhi jata hai

pareshan karne walon ki pareshani nahin jati

duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

duniya hai KHwab hasil-e-duniya KHayal hai

insan KHwab dekh raha hai KHayal mein

markaz pe apne dhuup simaTtī hai jis tarah

yuuñ rafta rafta tere qarīb aa rahā huuñ maiñ

markaz pe apne dhup simaTti hai jis tarah

yun rafta rafta tere qarib aa raha hun main

vo duniyā thī jahāñ tum band karte the zabāñ merī

ye mahshar hai yahāñ sunñī paḌegī dāstāñ merī

wo duniya thi jahan tum band karte the zaban meri

ye mahshar hai yahan sunni paDegi dastan meri

mirī dīvāngī par hosh vaale bahs farmā.eñ

magar pahle unheñ dīvāna banñe zarūrat hai

meri diwangi par hosh wale bahs farmaen

magar pahle unhen diwana banne ki zarurat hai

haa.e 'sīmāb' us majbūrī

jis ne ho shabāb meñ tauba

hae 'simab' us ki majburi

jis ne ki ho shabab mein tauba

hai husūl-e-ārzū raaz tark-e-ārzū

maiñ ne duniyā chhoḌ to mil ga.ī duniyā mujhe

hai husul-e-arzu ka raaz tark-e-arzu

main ne duniya chhoD di to mil gai duniya mujhe

ġham mujhe hasrat mujhe vahshat mujhe saudā mujhe

ek dil de kar ḳhudā ne de diyā kyā kyā mujhe

gham mujhe hasrat mujhe wahshat mujhe sauda mujhe

ek dil de kar KHuda ne de diya kya kya mujhe

manzil milī murād milī mudda.ā milā

sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā

destination and desire and my ends attained

i got everything when your footprints I obtained

manzil mili murad mili muddaa mila

sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila

destination and desire and my ends attained

i got everything when your footprints I obtained

kyā DhūñDhne jā.ūñ maiñ kisī ko

apnā mujhe ḳhud patā nahīñ hai

kya DhunDhne jaun main kisi ko

apna mujhe KHud pata nahin hai

dekhte dekhte duniyā se maiñ uTh jā.ūñgā

dekhtī dekhtī rah jā.egī duniyā mujhe

dekhte hi dekhte duniya se main uTh jaunga

dekhti ki dekhti rah jaegi duniya mujhe

ḳhulūs-e-dil se sajda ho to us sajde kyā kahnā

vahīñ ka.aba sarak aayā jabīñ ham ne jahāñ rakh

KHulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna

wahin kaba sarak aaya jabin hum ne jahan rakh di

husn meñ jab naaz shāmil ho gayā

ek paidā aur qātil ho gayā

husn mein jab naz shamil ho gaya

ek paida aur qatil ho gaya

dil-e-āfat-zada mudda.ā kyā

shikasta saaz kyā us sadā kyā

dil-e-afat-zada ka muddaa kya

shikasta saz kya us ki sada kya

rañg bharte haiñ vafā jo tasavvur meñ tire

tujh se achchhī tirī tasvīr banā lete haiñ

rang bharte hain wafa ka jo tasawwur mein tere

tujh se achchhi teri taswir bana lete hain

mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī aatā hai insāñ par

sitāroñ chamak se choT lagtī hai rag-e-jāñ par

mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par

sitaron ki chamak se choT lagti hai rag-e-jaan par

ḳhudā aur nāḳhudā mil kar Dubo deñ ye to mumkin hai

merī vaj.h-e-tabāhī sirf tūfāñ ho nahīñ saktā

KHuda aur naKHuda mil kar Dubo den ye to mumkin hai

meri wajh-e-tabahi sirf tufan ho nahin sakta

kahānī merī rūdād-e-jahāñ ma.alūm hotī hai

jo suntā hai usī dāstāñ ma.alūm hotī hai

kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai

jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai

vo ā.īna ho ho phuul taara ho ki paimāna

kahīñ jo kuchh bhī TuuTā maiñ yahī samjhā mirā dil hai

wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana

kahin jo kuchh bhi TuTa main yahi samjha mera dil hai

jab dil pe chhā rahī hoñ ghaTā.eñ malāl

us vaqt apne dil taraf muskurā ke dekh

jab dil pe chha rahi hon ghaTaen malal ki

us waqt apne dil ki taraf muskura ke dekh

kahānī hai to itnī hai fareb-e-ḳhvāb-e-hastī

ki āñkheñ band huuñ aur aadmī afsāna ho jaa.e

kahani hai to itni hai fareb-e-KHwab-e-hasti ki

ki aankhen band hun aur aadmi afsana ho jae

gunāhoñ par vahī insān ko majbūr kartī hai

jo ik be-nām faanī lazzat hai gunāhoñ meñ

gunahon par wahi insan ko majbur karti hai

jo ek be-nam si fani si lazzat hai gunahon mein

maiñ dekhtā huuñ aap ko hadd-e-nigāh tak

lekin mirī nigāh kyā e'tibār hai

main dekhta hun aap ko hadd-e-nigah tak

lekin meri nigah ka kya e'tibar hai

saare chaman ko maiñ to samajhtā huuñ apnā ghar

jaise chaman meñ merā koī āshiyāñ banā

sare chaman ko main to samajhta hun apna ghar

jaise chaman mein mera koi aashiyan bana

ta.ajjub kyā lagī jo aag ai 'sīmāb' siine meñ

hazāroñ dil meñ añgāre bhare the lag ga.ī hogī

tajjub kya lagi jo aag ai 'simab' sine mein

hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi

lahū se maiñ ne likhā thā jo kuchh dīvār-e-zindāñ par

vo bijlī ban ke chamkā dāman-e-sub.h-e-gulistāñ par

lahu se main ne likha tha jo kuchh diwar-e-zindan par

wo bijli ban ke chamka daman-e-subh-e-gulistan par

sahrā se baar baar vatan kaun jā.egā

kyuuñ ai junūñ yahīñ na uThā lā.ūñ ghar ko maiñ

sahra se bar bar watan kaun jaega

kyun ai junun yahin na uTha laun ghar ko main

but kareñ aarzū ḳhudā.ī

shaan terī hai kibriyā.ī

but karen aarzu KHudai ki

shan teri hai kibriyai ki

chamak jugnū barq-e-be-amāñ ma.alūm hotī hai

qafas meñ rah ke qadr-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai

the glow of fireflies appears as lightning heaven sent

the value of freedom is felt, during imprisonment

chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai

qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai

the glow of fireflies appears as lightning heaven sent

the value of freedom is felt, during imprisonment

ye sharāb-e-ishq ai 'sīmāb' hai piine chiiz

tund bhī hai bad-maza bhī hai magar iksīr hai

ye sharab-e-ishq ai 'simab' hai pine ki chiz

tund bhi hai bad-maza bhi hai magar iksir hai

kyuuñ jām-e-sharāb-e-nāb māñgūñ

saaqī nazar meñ kyā nahīñ hai

kyun jam-e-sharab-e-nab mangun

saqi ki nazar mein kya nahin hai

dekhte rahte haiñ chhup-chhup ke muraqqa.a terā

kabhī aatī hai havā bhī to chhupā lete haiñ

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqa tera

kabhi aati hai hawa bhi to chhupa lete hain

'sīmāb' dil havādis-e-duniyā se bujh gayā

ab aarzū bhī tark-e-tamannā se kam nahīñ

'simab' dil hawadis-e-duniya se bujh gaya

ab aarzu bhi tark-e-tamanna se kam nahin

qafas tīliyoñ meñ jaane kyā tarkīb rakkhī hai

ki har bijlī qarīb-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai

qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai

ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai

barhaman kahtā thā barham shaiḳh bol uThā ahad

harf ke ik pher se donoñ meñ jhagḌā ho gayā

barhaman kahta tha barham shaiKH bol uTha ahad

harf ke ek pher se donon mein jhagDa ho gaya

nashāt-e-husn ho josh-e-vafā ho ġham-e-ishq

hamāre dil meñ jo aa.e vo aarzū ho jaa.e

nashat-e-husn ho josh-e-wafa ho ya gham-e-ishq

hamare dil mein jo aae wo aarzu ho jae

ye merī tīra-nasībī ye sādgī ye fareb

girī jo barq maiñ samjhā charāġh-e-ḳhāna milā

ye meri tira-nasibi ye sadgi ye fareb

giri jo barq main samjha charagh-e-KHana mila

ho ga.e ruḳhsat 'ra.īs' o 'ālī' o 'vāsif' 'nisār'

rafta rafta āgara 'sīmāb' suunā ho gayā

ho gae ruKHsat 'rais' o 'ali' o 'wasif' 'nisar'

rafta rafta aagara 'simab' suna ho gaya

ab vahāñ dāman-kashī fikr dāman-gīr hai

ye mire ḳhvāb-e-mohabbat na.ī ta.abīr hai

ab wahan daman-kashi ki fikr daman-gir hai

ye mere KHwab-e-mohabbat ki nai tabir hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now