Sher of Ahmad Mahfuz
ye shuġhl-e-zabānī bhī be-sarfa nahīñ āḳhir
sau baat banātā huuñ ik baat banāne ko
ye shughl-e-zabani bhi be-sarfa nahin aaKHir
sau baat banata hun ek baat banane ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
milne diyā na us se hameñ jis ḳhayāl ne
sochā to us ḳhayāl se sadma bahut huā
milne diya na us se hamein jis KHayal ne
socha to us KHayal se sadma bahut hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ to bahut hai mushkil band-e-qabā kā khulnā
jo khul gayā to phir ye uqda khulā rahegā
yun to bahut hai mushkil band-e-qaba ka khulna
jo khul gaya to phir ye uqda khula rahega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
use bhulāyā to apnā ḳhayāl bhī na rahā
ki merā saarā asāsa isī makān meñ thā
use bhulaya to apna KHayal bhi na raha
ki mera sara asasa isi makan mein tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne hī aks kā chakkar to nahīñ chāroñ taraf
ki nazar aate haiñ ab ḳhud ko hamīñ chāroñ taraf
apne hi aks ka chakkar to nahin chaaron taraf
ki nazar aate hain ab KHud ko hamin chaaron taraf
shāyad ki rihā.ī ho gul hī kī zamānat par
ham mauj-e-tabassum kī zanjīr ke qaidī haiñ
shayad ki rihai ho gul hi ki zamanat par
hum mauj-e-tabassum ki zanjir ke qaidi hain
use ye zid thī ki phir us kā tazkira hotā
maiñ chup rahā ki vo qissa purānā ho gayā thā
use ye zid thi ki phir us ka tazkira hota
main chup raha ki wo qissa purana ho gaya tha
nahīñ āsmāñ tirī chaal meñ nahīñ ā.ūñgā
maiñ palaT ke ab kisī haal meñ nahīñ ā.ūñgā
nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga
main palaT ke ab kisi haal mein nahin aaunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī se kyā kaheñ suneñ agar ġhubār ho ga.e
hamīñ havā kī zad meñ the hamīñ shikār ho ga.e
kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāman ko zarā jhaTak to dekho
duniyā hai kuchh aur shai nahīñ hai
daman ko zara jhaTak to dekho
duniya hai kuchh aur shai nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chaḌhā huā thā vo dariyā agar hamāre liye
to dekhte hī rahe kyuuñ utar nahīñ ga.e ham
chaDha hua tha wo dariya agar hamare liye
to dekhte hi rahe kyun utar nahin gae hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil meñ mire kuchh aur thā lekin kahā kuchh aur
achchhā huā kuchh aur se samjhā gayā kuchh aur
dil mein mere kuchh aur tha lekin kaha kuchh aur
achchha hua kuchh aur se samjha gaya kuchh aur
dekhiye ab ke ulajhtā hai to kyā kartā hai vo
us ke aage phir nayā ik mas.ala rakhtā huuñ maiñ
dekhiye ab ke ulajhta hai to kya karta hai wo
us ke aage phir naya ek masala rakhta hun main
jo na karnā ho vahī kaam tumhāre liye hai
mere hisse kā bhī ārām tumhāre liye hai
jo na karna ho wahi kaam tumhaare liye hai
mere hisse ka bhi aaram tumhaare liye hai
raat sargoshiyāñ bhī kartī hai
kaan kholo kabhī añdhere meñ
raat sargoshiyan bhi karti hai
kan kholo kabhi andhere mein
ham ko āvārgī kis dasht meñ laa.ī hai ki ab
koī imkāñ hī nahīñ lauT ke ghar jaane kā
hum ko aawargi kis dasht mein lai hai ki ab
koi imkan hi nahin lauT ke ghar jaane ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī ibtidā mirī intihā kahīñ aur hai
maiñ shumāra-e-mah-o-sāl meñ nahīñ ā.ūñgā
meri ibtida meri intiha kahin aur hai
main shumara-e-mah-o-sal mein nahin aaunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raat havā tūfānī hogī
saath raho āsānī hogī
raat hawa tufani hogi
sath raho aasani hogi
jaane kyā baat thī añdhere meñ
raushnī sī rahī añdhere meñ
jaane kya baat thi andhere mein
raushni si rahi andhere mein
tum abhī tark-e-rifāqat kā irāda na karo
is ke aage bhī to mumkin hai ḳhabar koī ho
tum abhi tark-e-rifaqat ka irada na karo
is ke aage bhi to mumkin hai KHabar koi ho
ye jo dhuāñ dhuāñ sā hai dasht-e-gumāñ ke ās-pās
kyā koī aag bujh ga.ī sarhad-e-jāñ ke ās-pās
ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas
kya koi aag bujh gai sarhad-e-jaan ke aas-pas
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aate aate aa.egā un kā ḳhayāl
jaate jaate be-ḳhayālī jā.egī
aate aate aaega un ka KHayal
jate jate be-KHayali jaegi
ab is makāñ meñ nayā koī dar nahīñ karnā
ye kaam sahl bahut hai magar nahīñ karnā
ab is makan mein naya koi dar nahin karna
ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kaisā ḳhuuñ hai ki bah rahā hai na jam rahā hai
ye rañg dekhūñ ki dil jigar kā fishār dekhūñ
ye kaisa KHun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhush hue itne ki ham se pahle
maqdam-e-yār ko aañsū nikle
KHush hue itne ki hum se pahle
maqdam-e-yar ko aansu nikle
dil ne lagā diyā hai jo ik kaam se mujhe
har dam laḌā.ī rahtī hai ārām se mujhe
dil ne laga diya hai jo ek kaam se mujhe
har dam laDai rahti hai aaram se mujhe
kyā tamāshā hai ki āvāra phirātī hai mujhe
ik tamanna ki mire zer-e-asar koī ho
kya tamasha hai ki aawara phiraati hai mujhe
ek tamanna ki mere zer-e-asar koi ho
shor harīm-e-zāt meñ āḳhir uTThā kyuuñ
andar dekhā jaa.e ki bāhar dekhā jaa.e
shor harim-e-zat mein aaKHir uTTha kyun
andar dekha jae ki bahar dekha jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sunā hai shahr kā naqsha badal gayā 'mahfūz'
to chal ke ham bhī zarā apne ghar ko dekhte haiñ
suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
zaḳhmoñ ko ashk-e-ḳhūñ se sairāb kar rahā huuñ
ab aur bhī tumhārā chehra khilā rahegā
zaKHmon ko ashk-e-KHun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahāñ kisī ko thī fursat fuzūl bātoñ kī
tamām raat vahāñ zikr bas tumhārā thā
kahan kisi ko thi fursat fuzul baaton ki
tamam raat wahan zikr bas tumhaara tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā musībat haath ḳhālī jā.egī
jaan le kar hī ye saalī jā.egī
kya musibat hath KHali jaegi
jaan le kar hi ye sali jaegi
zehn par zor bhī Daalo to na yaad aa.uuñ maiñ
is tarah parda-e-nisyāñ meñ chhupā lo mujh ko
zehn par zor bhi Dalo to na yaad aaun main
is tarah parda-e-nisyan mein chhupa lo mujh ko
jāntā huuñ in dinoñ kaisā hai dariyā kā mizāj
is liye sāhil se thoḌā fāsla rakhtā huuñ maiñ
jaanta hun in dinon kaisa hai dariya ka mizaj
is liye sahil se thoDa fasla rakhta hun main
dekhnā hī jo shart Thahrī hai
phir to āñkhoñ meñ koī manzar ho
dekhna hi jo shart Thahri hai
phir to aankhon mein koi manzar ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bichhaḌ ke ḳhaak hue ham to kyā zarā dekho
ġhubār jā ke usī kārvāñ se miltā hai
bichhaD ke KHak hue hum to kya zara dekho
ghubar ja ke usi karwan se milta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tārīkī ke raat azaab hī kyā kam the
din niklā to sūraj bhī saffāk huā
tariki ke raat azab hi kya kam the
din nikla to suraj bhi saffak hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us se milnā aur bichhaḌnā der tak phir sochnā
kitnī dushvārī ke saath aa.e the āsānī meñ ham
us se milna aur bichhaDna der tak phir sochna
kitni dushwari ke sath aae the aasani mein hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī ik baat nikālī thī ki raat
kitne hī bātoñ ke pahlū nikle
teri ek baat nikali thi ki raat
kitne hi baaton ke pahlu nikle
yahīñ gum huā thā ka.ī baar maiñ
ye rasta hai sab merā dekhā huā
yahin gum hua tha kai bar main
ye rasta hai sab mera dekha hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gum-shuda maiñ huuñ to har samt bhī gum hai mujh meñ
dekhtā huuñ vo kidhar DhūñDne jaatā hai mujhe
gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein
dekhta hun wo kidhar DhunDne jata hai mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download