Sher of Tahir Faraz
dhuup mujh ko jo liye phirtī hai saa.e saa.e
hai to āvāra magar zehn meñ ghar rakhtī hai
dhup mujh ko jo liye phirti hai sae sae
hai to aawara magar zehn mein ghar rakhti hai
ḳhatm ho jā.egā jis din bhī tumhārā intizār
ghar ke darvāze pe dastak chīḳhtī rah jā.egī
KHatm ho jaega jis din bhi tumhaara intizar
ghar ke darwaze pe dastak chiKHti rah jaegi
is bulandī pe bahut tanhā huuñ
kaash maiñ sab ke barābar hotā
is bulandi pe bahut tanha hun
kash main sab ke barabar hota
-
Tag : Tanhai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us zāviye se dekhiye ā.īna-e-hayāt
jis zāviye se maiñ ne lagāyā hai dhuup meñ
us zawiye se dekhiye aaina-e-hayat
jis zawiye se main ne lagaya hai dhup mein
jab bhī TuuTā mire ḳhvāboñ kā hasīñ tāj-mahal
maiñ ne ghabrā ke kahī 'mīr' ke lahje meñ ġhazal
jab bhi TuTa mere KHwabon ka hasin taj-mahal
main ne ghabra ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal
-
Tag : Meer Taqi Meer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tārīkiyoñ ne ḳhud ko milāyā hai dhuup meñ
saaya jo shaam kā nazar aaya hai dhuup meñ
tarikiyon ne KHud ko milaya hai dhup mein
saya jo sham ka nazar aaya hai dhup mein
hādse raah ke zevar haiñ musāfir ke liye
ek Thokar jo lagī hai to irāda na badal
hadse rah ke zewar hain musafir ke liye
ek Thokar jo lagi hai to irada na badal
-
Tag : Hadsa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr-bhar ko mujhe be-sadā kar gayā
terā ik baar muñh pher kar bolnā
umr-bhar ko mujhe be-sada kar gaya
tera ek bar munh pher kar bolna
-
Tag : Awaz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jail se vāpas aa kar us ne pān.cho vaqt namāz paḌhī
muñh bhī band hue sab ke aur badnāmī bhī ḳhatm huī
jail se wapas aa kar us ne pancho waqt namaz paDhi
munh bhi band hue sab ke aur badnami bhi KHatm hui
-
Tag : Zindan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jin ko nīñdoñ kī na ho chādar nasīb
un se ḳhvāboñ kā hasīñ bistar na maañg
jin ko nindon ki na ho chadar nasib
un se KHwabon ka hasin bistar na mang
-
Tag : Neend
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaise mānūñ ki zamāne kī ḳhabar rakhtī hai
gardish-e-vaqt to bas mujh pe nazar rakhtī hai
kaise manun ki zamane ki KHabar rakhti hai
gardish-e-waqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
tamām din ke dukhoñ kā hisāb karnā hai
maiñ chāhtā huuñ koī mere ās-pās na ho
tamam din ke dukhon ka hisab karna hai
main chahta hun koi mere aas-pas na ho
-
Tag : Tanhai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mire hunar kā use bhī na thā kuchh andāza
malāl ye hai use dūsrī shikast huī
mere hunar ka use bhi na tha kuchh andaza
malal ye hai use dusri shikast hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā ḳhabar thī aa.egā ik roz aisā vaqt bhī
merī goyā.ī tirā muñh dekhtī rah jā.egī
kya KHabar thi aaega ek roz aisa waqt bhi
meri goyai tera munh dekhti rah jaegi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadmī huuñ vasf-e-paiġhambar na maañg
mujh se mere dost merā sar na maañg
aadmi hun wasf-e-paighambar na mang
mujh se mere dost mera sar na mang
dil bhī lahūluhān hai āñkheñ bhī haiñ udaas
shāyad anā ne shah-rag-e-jazbāt kaaT dī
dil bhi lahuluhan hai aankhen bhi hain udas
shayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kaT di
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kāñpte hoñT bhīgtī palkeñ
baat adhūrī hī chhoḌ detā huuñ
kanpte honT bhigti palken
baat adhuri hi chhoD deta hun
-
Tag : Lab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
purāne ahd ke qisse sunātā rahtā hai
bachā huā hai jo būḌhā shajar hamārī taraf
purane ahd ke qisse sunata rahta hai
bacha hua hai jo buDha shajar hamari taraf
-
Tag : Shajar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaash aisā koī manzar hotā
mere kāñdhe pe tirā sar hotā
kash aisa koi manzar hota
mere kandhe pe tera sar hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download