Sher of Aagha Akbarabadi
hameñ to un kī mohabbat hai koī kuchh samjhe
hamāre saath mohabbat unheñ nahīñ to nahīñ
hamein to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe
hamare sath mohabbat unhen nahin to nahin
kisī ko koste kyuuñ ho duā apne liye māñgo
tumhārā fā.eda kyā hai jo dushman kā zarar hogā
kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango
tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raqīb qatl huā us kī teġh-e-abrū se
harām-zāda thā achchhā huā halāl huā
raqib qatl hua us ki tegh-e-abru se
haram-zada tha achchha hua halal hua
-
Tag : Raqeeb
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham na kahte the ki saudā zulf kā achchhā nahīñ
dekhiye to ab sar-e-bāzār rusvā kaun hai
hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin
dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai-kashoñ meñ na koī mujh sā namāzī hogā
dar-e-mai-ḳhāna pe bichhtā hai musallā apnā
mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga
dar-e-mai-KHana pe bichhta hai musalla apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sanam-parastī karūñ tark kyūñkar ai vaa.iz
butoñ kā zikr ḳhudā kī kitāb meñ dekhā
sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
haath donoñ mirī gardan meñ hamā.il kiije
aur ġhairoñ ko dikhā diije añgūThā apnā
hath donon meri gardan mein hamail kije
aur ghairon ko dikha dije anguTha apna
kisī sayyād kī paḌ jaa.e na chiḌiyā pe nazar
aap sarkā.eñ na mahram se dupaTTā apnā
kisi sayyaad ki paD jae na chiDiya pe nazar
aap sarkaen na mahram se dupaTTa apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh aisī pilā de mujhe ai pīr-e-muġhāñ aaj
qaiñchī kī tarah chalne lagī merī zabāñ aaj
kuchh aisi pila de mujhe ai pir-e-mughan aaj
qainchi ki tarah chalne lagi meri zaban aaj
tā-marg mujh se tark na hogī kabhī namāz
par nashsha-e-sharāb ne majbūr kar diyā
ta-marg mujh se tark na hogi kabhi namaz
par nashsha-e-sharab ne majbur kar diya
dekhiye paar ho kis tarah se beḌā apnā
mujh ko tūfāñ kī ḳhabar dīda-e-tar dete haiñ
dekhiye par ho kis tarah se beDa apna
mujh ko tufan ki KHabar dida-e-tar dete hain
but nazar ā.eñge māshūqoñ kī kasrat hogī
aaj but-ḳhāna meñ allāh kī qudrat hogī
but nazar aaenge mashuqon ki kasrat hogi
aaj but-KHana mein allah ki qudrat hogi
sharāb piite haiñ to jāgte haiñ saarī raat
mudām ābid-e-shab-zinda-dār ham bhī haiñ
sharab pite hain to jagte hain sari raat
mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
do-shāla shaal kashmīrī amīroñ ko mubārak ho
galīm-e-kohna meñ jaaḌā faqīroñ kā basar hogā
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubarak ho
galim-e-kohna mein jaDa faqiron ka basar hoga
zāhido ka.abe kī jānib khīñchte ho kyuuñ mujhe
jī nahīñ lagtā kabhī mazdūr kā begār meñ
zahido kabe ki jaanib khinchte ho kyun mujhe
ji nahin lagta kabhi mazdur ka begar mein
shikāyat mujh ko donoñ se hai nāseh ho ki vaa.iz ho
na samjhā huuñ na samjhūñ sar phirā le jis kā jī chāhe
shikayat mujh ko donon se hai naseh ho ki waiz ho
na samjha hun na samjhun sar phira le jis ka ji chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dar-ba-dar phirne ne merī qadr khoī ai falak
un ke dil meñ hī jagah miltī jo ḳhalvat māñgtā
dar-ba-dar phirne ne meri qadr khoi ai falak
un ke dil mein hi jagah milti jo KHalwat mangta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
in parī-rūyoñ kī aisī hī agar kasrat rahī
thoḌe arsa meñ paristāñ āgara ho jā.egā
in pari-ruyon ki aisi hi agar kasrat rahi
thoDe arsa mein paristan aagara ho jaega
mai-kasho der hai kyā daur chale bismillāh
aa.ī hai shīsha-o-sāġhar kī talabgār ghaTā
mai-kasho der hai kya daur chale bismillah
aai hai shisha-o-saghar ki talabgar ghaTa
jī chāhtā hai us but-e-kāfir ke ishq meñ
tasbīh toḌ Dāliye zunnār dekh kar
ji chahta hai us but-e-kafir ke ishq mein
tasbih toD Daliye zunnar dekh kar
paan khā kar jo ugaal aap ne thūkā sāhab
jauharī mahv hue la.al-e-yaman yaad aayā
pan kha kar jo ugal aap ne thuka sahab
jauhari mahw hue lal-e-yaman yaad aaya
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
riñd-mashrab haiñ kisī se hameñ kuchh kaam nahīñ
dair apnā hai na ka.aba na kalīsā apnā
rind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin
dair apna hai na kaba na kalisa apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
o sitamgar tirī talvār kā dhabbā chhaT jaa.e
apne dāman ko lahū se mire bhar jaane de
o sitamgar teri talwar ka dhabba chhaT jae
apne daman ko lahu se mere bhar jaane de
tavāf-e-ka.aba ko kyā jaa.eñ haj nahīñ vājib
kalāl-ḳhāne ke kuchh dīn-dār ham bhī haiñ
tawaf-e-kaba ko kya jaen haj nahin wajib
kalal-KHane ke kuchh din-dar hum bhi hain
dekho to ek jā pe Thahartī nahīñ nazar
lapkā paḌā hai aañkh ko kyā dekh-bhāl kā
dekho to ek ja pe Thaharti nahin nazar
lapka paDa hai aankh ko kya dekh-bhaal ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dasht-e-vahshat-ḳhez meñ uryāñ hai 'āġhā' aap hī
qāsid-e-jānāñ ko kyā detā jo ḳhil.at māñgtā
dasht-e-wahshat-KHez mein uryan hai 'agha' aap hi
qasid-e-jaanan ko kya deta jo KHilat mangta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
junūñ ke haath se hai in dinoñ garebāñ tañg
qabā pukārtī hai taar taar ham bhī haiñ
junun ke hath se hai in dinon gareban tang
qaba pukarti hai tar tar hum bhi hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
va.ada-e-bāda-e-at.har kā bharosa kab tak
chal ke bhaTTī pe piyeñ jur.a-e-irfāñ kaisā
wada-e-baada-e-athar ka bharosa kab tak
chal ke bhaTTi pe piyen jura-e-irfan kaisa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download