Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abbas Tabish's Photo'

Abbas Tabish

1961 | Lahore, Pakistan

Contemporary Pakistani poet having a popular appeal.

Contemporary Pakistani poet having a popular appeal.

Sher of Abbas Tabish

31.4K
Favorite

SORT BY

varna koī kab gāliyāñ detā hai kisī ko

ye us karam hai ki tujhe yaad rahā maiñ

warna koi kab galiyan deta hai kisi ko

ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main

ek mohabbat aur vo bhī nākām mohabbat

lekin is se kaam chalāyā saktā hai

ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat

lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

maiñ ne pūchhā thā ki iz.hār nahīñ ho saktā

dil pukārā ki ḳhabar-dār nahīñ ho saktā

main ne puchha tha ki izhaar nahin ho sakta

dil pukara ki KHabar-dar nahin ho sakta

jhoñke ke saath chhat ga.ī dastak ke saath dar gayā

taaza havā ke shauq meñ merā to saarā ghar gayā

jhonke ke sath chhat gai dastak ke sath dar gaya

taza hawa ke shauq mein mera to sara ghar gaya

mohabbat ek dam dukh mudāvā kar nahīñ detī

ye titlī baiThtī hai zaḳhm par āhista āhista

mohabbat ek dam dukh ka mudawa kar nahin deti

ye titli baiThti hai zaKHm par aahista aahista

maiñ use dekh ke lauTā huuñ to kyā dekhtā huuñ

shahr shahr mujhe dekhne aayā huā hai

main use dekh ke lauTa hun to kya dekhta hun

shahr ka shahr mujhe dekhne aaya hua hai

kyuuñ na ai shaḳhs tujhe haath lagā kar dekhūñ

mire vahm se baḌh kar bhī to ho saktā hai

kyun na ai shaKHs tujhe hath laga kar dekhun

tu mere wahm se baDh kar bhi to ho sakta hai

ham juḌe rahte the ābād makānoñ tarah

ab ye bāteñ hameñ lagtī haiñ fasānoñ tarah

hum juDe rahte the aabaad makanon ki tarah

ab ye baaten hamein lagti hain fasanon ki tarah

terī ruuh meñ sannāTā hai aur mirī āvāz meñ chup

apne andāz meñ chup hai maiñ apne andāz meñ chup

teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup

tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup

mausam tumhāre saath jaane kidhar gayā

tum aa.e aur baur na aayā daraḳht par

mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya

tum aae aur baur na aaya daraKHt par

maiñ huuñ is shahr meñ tāḳhīr se aayā huā shaḳhs

mujh ko ik aur zamāne meñ baḌī der lagī

main hun is shahr mein taKHir se aaya hua shaKHs

mujh ko ek aur zamane mein baDi der lagi

raat kamre meñ na thā mere alāva koī

maiñ ne is ḳhauf se ḳhanjar na sirhāne rakkhā

raat kamre mein na tha mere alawa koi

main ne is KHauf se KHanjar na sirhane rakkha

iltijā.eñ kar ke māñgī thī mohabbat kasak

be-dilī ne yuuñ ġham-e-nāyāb vāpas kar diyā

iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak

be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya

mere siine se zarā kaan lagā kar dekho

saañs chaltī hai ki zanjīr-zanī hotī hai

mere sine se zara kan laga kar dekho

sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai

ḳhuub itnā thā ki dīvār pakaḌ kar niklā

us se milne ke liye sūrat-e-sāya gayā maiñ

KHub itna tha ki diwar pakaD kar nikla

us se milne ke liye surat-e-saya gaya main

ham haiñ sūkhe hue tālāb pe baiThe hue hans

jo ta.alluq ko nibhāte hue mar jaate haiñ

hum hain sukhe hue talab pe baiThe hue hans

jo talluq ko nibhate hue mar jate hain

kuchh to apnī gardaneñ kaj haiñ havā ke zor se

aur kuchh apnī tabī.at meñ asar miTTī hai

kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se

aur kuchh apni tabiat mein asar miTTi ka hai

tum maañg rahe ho mire dil se mirī ḳhvāhish

bachcha to kabhī apne khilaune nahīñ detā

tum mang rahe ho mere dil se meri KHwahish

bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta

hameñ to is liye jā-e-namāz chāhiye hai

ki ham vajūd se bāhar qayām karte haiñ

hamein to is liye ja-e-namaz chahiye hai

ki hum wajud se bahar qayam karte hain

masrūf haiñ kuchh itne ki ham kār-e-mohabbat

āġhāz to kar lete haiñ jaarī nahīñ rakhte

masruf hain kuchh itne ki hum kar-e-mohabbat

aaghaz to kar lete hain jari nahin rakhte

boltā huuñ to mire hoñT jhulas jaate haiñ

us ko ye baat batāne meñ baḌī der lagī

bolta hun to mere honT jhulas jate hain

us ko ye baat batane mein baDi der lagi

nihāl-e-dard ye din tujh pe kyuuñ utartā nahīñ

ye nīl-kanTh kahīñ tujh se bad-gumāñ na ho

nihaal-e-dard ye din tujh pe kyun utarta nahin

ye nil-kanTh kahin tujh se bad-guman hi na ho

chāñd-chehre mujhe achchhe to bahut lagte haiñ

ishq maiñ us se karūñgā jise urdu aa.e

chand-chehre mujhe achchhe to bahut lagte hain

ishq main us se karunga jise urdu aae

vaqt lafzoñ se banā.ī huī chādar jaisā

oḌh letā huuñ to sab ḳhvāb hunar lagtā hai

waqt lafzon se banai hui chadar jaisa

oDh leta hun to sab KHwab hunar lagta hai

'tābish' jo guzartī nahīñ shaam had se

socheñ to vahīñ raat sahar-ḳhez bahut hai

'tabish' jo guzarti hi nahin sham ki had se

sochen to wahin raat sahar-KHez bahut hai

tirī mohabbat meñ gumrahī ajab nasha thā

ki tujh tak aate hue ḳhudā tak pahuñch ga.e haiñ

teri mohabbat mein gumrahi ka ajab nasha tha

ki tujh tak aate hue KHuda tak pahunch gae hain

baiThe rahne se to lau dete nahīñ ye jism o jaañ

jugnuoñ chaal chaliye raushnī ban jā.iye

baiThe rahne se to lau dete nahin ye jism o jaan

jugnuon ki chaal chaliye raushni ban jaiye

na ḳhvāb se jagāyā na intizār kiyā

ham is daf.a bhī chale aa.e chuum kar us ko

na KHwab hi se jagaya na intizar kiya

hum is dafa bhi chale aae chum kar us ko

bas ek moḌ mirī zindagī meñ aayā thā

phir is ke ba.ad ulajhtī ga.ī kahānī merī

bas ek moD meri zindagi mein aaya tha

phir is ke baad ulajhti gai kahani meri

sun rahā huuñ abhī tak maiñ apnī āvāz bāzgasht

ya.anī is dasht meñ zor se bolnā bhī akārat gayā

sun raha hun abhi tak main apni hi aawaz ki bazgasht

yani is dasht mein zor se bolna bhi akarat gaya

makīñ jab niiñd ke saa.e meñ sustāne lageñ 'tābish'

safar karte haiñ bastī ke makāñ āhista āhista

makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'

safar karte hain basti ke makan aahista aahista

pas-e-ġhubār bhī uḌtā ġhubār apnā thā

tire bahāne hameñ intizār apnā thā

pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha

tere bahane hamein intizar apna tha

maiñ jis sukūn se baiThā huuñ is kināre par

sukūñ se lagtā hai merā qayām āḳhirī hai

main jis sukun se baiTha hun is kinare par

sukun se lagta hai mera qayam aaKHiri hai

bhī ai shaḳhs kahāñ tak mujhe bardāsht kare

baar baar ek chehra nahīñ dekhā jaatā

tu bhi ai shaKHs kahan tak mujhe bardasht kare

bar bar ek hi chehra nahin dekha jata

ye mauj mauj banī kis shakl 'tābish'

ye kaun Duub ke bhī lahr lahr phail gayā

ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish'

ye kaun Dub ke bhi lahr lahr phail gaya

phir is ke ba.ad ye bāzār-e-dil nahīñ lagnā

ḳharīd lījiye sāhib ġhulām āḳhirī hai

phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna

KHarid lijiye sahib ghulam aaKHiri hai

āñkhoñ tak aa sakī na kabhī āñsuoñ lahr

ye qāfila bhī naql-e-makānī meñ kho gayā

aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr

ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya

agar yūñhī mujhe rakkhā gayā akele meñ

barāmad aur koī is makān se hogā

agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein

baramad aur koi is makan se hoga

ye zamīñ to hai kisī kāġhzī kashtī jaisī

baiTh jaatā huuñ agar baar na samjhā jaa.e

ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi

baiTh jata hun agar bar na samjha jae

pahle to ham chhān aa.e ḳhaak saare shahr

tab kahīñ kar khulā us makāñ hai sāmne

pahle to hum chhan aae KHak sare shahr ki

tab kahin ja kar khula us ka makan hai samne

ek muddat se mirī maañ nahīñ soī 'tābish'

maiñ ne ik baar kahā thā mujhe Dar lagtā hai

ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'

main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai

ye zindagī kuchh bhī ho magar apne liye to

kuchh bhī nahīñ bachchoñ sharārat ke alāva

ye zindagi kuchh bhi ho magar apne liye to

kuchh bhi nahin bachchon ki shararat ke alawa

un āñkhoñ meñ kūdne vaalo tum ko itnā dhyān rahe

vo jhīleñ pāyāb haiñ lekin un tah pathrīlī hai

un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe

wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai

shab shab koī na sharminda-e-ruḳhsat Thahre

jaane vāloñ ke liye sham.eñ bujhā jaa.eñ

shab ki shab koi na sharminda-e-ruKHsat Thahre

jaane walon ke liye shamen bujha di jaen

mujh se to dil bhī mohabbat meñ nahīñ ḳharch huā

tum to kahte the ki is kaam meñ ghar lagtā hai

mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin KHarch hua

tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai

merā rañj-e-mustaqil bhī jaise kam ho gayā

maiñ kisī ko yaad kar ke tāza-dam ho gayā

mera ranj-e-mustaqil bhi jaise kam sa ho gaya

main kisi ko yaad kar ke taza-dam sa ho gaya

ghar pahuñchtā hai koī aur hamāre jaisā

ham tire shahr se jaate hue mar jaate haiñ

ghar pahunchta hai koi aur hamare jaisa

hum tere shahr se jate hue mar jate hain

hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkār

ik mohabbat ke liye ek javānī kam hai

hijr ko hausla aur wasl ko fursat darkar

ek mohabbat ke liye ek jawani kam hai

faqat māl-o-zar-e-dīvār-o-dar achchhā nahīñ lagtā

jahāñ bachche nahīñ hote vo ghar achchhā nahīñ lagtā

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta

hamāre ghar ke qarīb ek jhiil hotī thī

aur us meñ shaam ko sūraj nahāyā kartā thā

hamare ghar ke qarib ek jhil hoti thi

aur us mein sham ko suraj nahaya karta tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now