Sher of Ahmar Nadeem
kitne rishtoñ kā maiñ ne bharam rakh liyā
ik ta'alluq se dāman chhuḌāte hue
kitne rishton ka main ne bharam rakh liya
ek ta'alluq se daman chhuDate hue
ahvāl mere shor-e-salāsil ke sun rafīq
jaise ravāñ-davāñ koī dariyā qafas meñ hai
ahwal mere shor-e-salasil ke sun rafiq
jaise rawan-dawan koi dariya qafas mein hai
tum ne chunī hai raah jo hamvār hai bahut
zāhid tumhārī raah meñ patthar nahīñ koī
tum ne chuni hai rah jo hamwar hai bahut
zahid tumhaari rah mein patthar nahin koi
shāyad maiñ apne aap se ġhāfil na rah sakā
kuchh log merī zaat se mansūb ho ga.e
shayad main apne aap se ghafil na rah saka
kuchh log meri zat se mansub ho gae
ham aise baḳht ke maare ki shahr meñ aa kar
libās-e-gardish-e-daurāñ bhī taar taar kiyā
hum aise baKHt ke mare ki shahr mein aa kar
libas-e-gardish-e-dauran bhi tar tar kiya
qāfile meñ har ik fard muḳhtār hai
qāfila dekh lenā luTegā zarūr
qafile mein har ek fard muKHtar hai
qafila dekh lena luTega zarur
dil lagāne ko saarā jahāñ thā magar
sochtā kaun hai dil lagāte hue
dil lagane ko sara jahan tha magar
sochta kaun hai dil lagate hue
chupke chupke apne andar jaate haiñ
sahme sahme bāhar aanā paḌtā hai
chupke chupke apne andar jate hain
sahme sahme bahar aana paDta hai
gumān hone lagā hai ye kis ke hone par
kahīñ kahīñ jo nahīñ hai kahīñ kahīñ hai bahut
guman hone laga hai ye kis ke hone par
kahin kahin jo nahin hai kahin kahin hai bahut
ye kyā ki ek taal pe duniyā hai mahv-e-raqs
is gardish-e-kuhan ko na.e sub.h-o-shām de
ye kya ki ek tal pe duniya hai mahw-e-raqs
is gardish-e-kuhan ko nae subh-o-sham de
ye kaisī fasāhat ki samajh meñ nahīñ aatī
tahrīr-e-mohabbat zarā āsān likhā kar
ye kaisi fasahat ki samajh mein nahin aati
tahrir-e-mohabbat zara aasan likha kar
ham apne aap meñ rahte nahīñ haiñ dam bhar ko
hamāre vāste dīvār-o-dar kī zahmat kyā
hum apne aap mein rahte nahin hain dam bhar ko
hamare waste diwar-o-dar ki zahmat kya
maut bar-haq hai jab aa jaa.e hameñ kyā lekin
zindagī ham tirī raftār se Dar jaate haiñ
maut bar-haq hai jab aa jae hamein kya lekin
zindagi hum teri raftar se Dar jate hain
terī ḳhvāhish bhī na ho tujh se shikāyat bhī na ho
itnā ehsān mirī jaan nahīñ karnā thā
teri KHwahish bhi na ho tujh se shikayat bhi na ho
itna ehsan meri jaan nahin karna tha