Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Saeed Khan's Photo'

Akhtar Saeed Khan

1923 - 2006 | Bhopal, India

A poet with sympathies for progressive ideology, also worked as the secretary of Progressive Writers Association

A poet with sympathies for progressive ideology, also worked as the secretary of Progressive Writers Association

Sher of Akhtar Saeed Khan

17.7K
Favorite

SORT BY

kisī ke tum ho kisī ḳhudā hai duniyā meñ

mire nasīb meñ tum bhī nahīñ ḳhudā bhī nahīñ

kisi ke tum ho kisi ka KHuda hai duniya mein

mere nasib mein tum bhi nahin KHuda bhi nahin

kahānī ke parde meñ bhalī lagtī hai

zindagī terī haqīqat nahīñ dekhī jaatī

tu kahani hi ke parde mein bhali lagti hai

zindagi teri haqiqat nahin dekhi jati

zindagī kyā hue vo apne zamāne vaale

yaad aate haiñ bahut dil ko dukhāne vaale

zindagi kya hue wo apne zamane wale

yaad aate hain bahut dil ko dukhane wale

ye dasht vo hai jahāñ rāsta nahīñ miltā

abhī se lauT chalo ghar abhī ujālā hai

ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta

abhi se lauT chalo ghar abhi ujala hai

kaun jiine ke liye martā rahe

lo sambhālo apnī duniyā ham chale

kaun jine ke liye marta rahe

lo sambhaalo apni duniya hum chale

band kar de koī maazī darīcha mujh par

ab is ā.īne meñ sūrat nahīñ dekhī jaatī

band kar de koi mazi ka daricha mujh par

ab is aaine mein surat nahin dekhi jati

zindagī chhīn le baḳhshī huī daulat apnī

ne ḳhvāboñ ke sivā mujh ko diyā bhī kyā hai

zindagi chhin le baKHshi hui daulat apni

tu ne KHwabon ke siwa mujh ko diya bhi kya hai

dushman-e-jāñ sahī saath to ik umr hai

dil se ab dard ruḳhsat nahīñ dekhī jaatī

dushman-e-jaan hi sahi sath to ek umr ka hai

dil se ab dard ki ruKHsat nahin dekhi jati

aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā

mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale

aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna

mujh se chhup kar meri taswir banane wale

ham ne maanā ik na ik din lauT ke aa jā.egā

lekin tujh bin umr jo guzrī kaun use lauTā.egā

hum ne mana ek na ek din lauT ke tu aa jaega

lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lauTaega

bahut qarīb rahī hai ye zindagī ham se

bahut aziiz sahī e'tibār kuchh bhī nahīñ

bahut qarib rahi hai ye zindagi hum se

bahut aziz sahi e'tibar kuchh bhi nahin

mirā fasāna har ik dil mājrā to na thā

sunā bhī hogā kisī ne to kyā sunā hogā

mera fasana har ek dil ka majra to na tha

suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga

ye be-sabab nahīñ aa.e haiñ aañkh meñ aañsū

ḳhushī lamha koī yaad aa gayā hogā

ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu

KHushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga

mujhe ab dekhtī hai zindagī yuuñ be-niyāzāna

ki jaise pūchhtī ho kaun ho tum justujū kyā hai

mujhe ab dekhti hai zindagi yun be-niyazana

ki jaise puchhti ho kaun ho tum justuju kya hai

baheñ na aañkh se aañsū to naġhmagī be-sūd

khileñ na phuul to rañgīni-e-fuġhāñ kyā hai

bahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud

khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai

maiñ safar meñ huuñ magar samt-e-safar koī nahīñ

kyā maiñ ḳhud apnā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ kyā huuñ

main safar mein hun magar samt-e-safar koi nahin

kya main KHud apna hi naqsh-e-kaf-e-pa hun kya hun

nigāheñ muntazir haiñ kis dil ko justujū kyā hai

mujhe ḳhud bhī nahīñ ma.alūm merī aarzū kyā hai

nigahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai

mujhe KHud bhi nahin malum meri aarzu kya hai

kis jurm-e-ārzū sazā hai ye zindagī

aisā to ai ḳhudā maiñ gunahgār bhī nahīñ

kis jurm-e-arzu ki saza hai ye zindagi

aisa to ai KHuda main gunahgar bhi nahin

kis ko fursat thī ki 'aḳhtar' dekhtā merī taraf

maiñ jahāñ jis bazm meñ jab tak rahā tanhā rahā

kis ko fursat thi ki 'aKHtar' dekhta meri taraf

main jahan jis bazm mein jab tak raha tanha raha

band rakkhoge darīche dil ke yaaro kab talak

koī dastak de rahā hai uTh ke dekho to sahī

band rakkhoge dariche dil ke yaro kab talak

koi dastak de raha hai uTh ke dekho to sahi

zamāna ishq ke māroñ ko maat kyā degā

diloñ ke khel meñ ye jiit haar kuchh bhī nahīñ

zamana ishq ke maron ko mat kya dega

dilon ke khel mein ye jit haar kuchh bhi nahin

isī moḌ par ham hue the judā

mile haiñ to dam bhar Thahar jā.iye

isi moD par hum hue the juda

mile hain to dam bhar Thahar jaiye

charāġh le ke use DhūñDne chalā huuñ maiñ

jo āftāb mānind ik ujālā hai

charagh le ke use DhunDne chala hun main

jo aaftab ki manind ek ujala hai

har mauj gale lag ke ye kahtī hai Thahar jaao

dariyā ishāra hai ki ham paar utar jaa.eñ

har mauj gale lag ke ye kahti hai Thahar jao

dariya ka ishaara hai ki hum par utar jaen

nā-umīdī harf-e-tohmat sahī kyā kījiye

tum qarīb aate nahīñ ho aur ḳhudā miltā nahīñ

na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye

tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin

khulī āñkhoñ nazar aatā nahīñ kuchh

har ik se pūchhtā huuñ vo gayā kyā

khuli aankhon nazar aata nahin kuchh

har ek se puchhta hun wo gaya kya

ye bastī is qadar sunsān kab thī

dil-e-shorīda thak kar so gayā kyā

ye basti is qadar sunsan kab thi

dil-e-shorida thak kar so gaya kya

safar shart-e-safar hai to ḳhatm kyā hogā

tumhāre ghar se udhar bhī ye rāsta hogā

TRANSLATION

How could it end, if journey is by itself a condition,

On the other side of your house will be its continuation.

Sagar Akbarabadi

safar hi shart-e-safar hai to KHatm kya hoga

tumhaare ghar se udhar bhi ye rasta hoga

TRANSLATION

How could it end, if journey is by itself a condition,

On the other side of your house will be its continuation.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now