Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amjad Islam Amjad's Photo'

Amjad Islam Amjad

1944 - 2023 | Lahore, Pakistan

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

Sher of Amjad Islam Amjad

20.2K
Favorite

SORT BY

jis taraf hai udhar hoñgī sabhī nazreñ

iid ke chāñd dīdār bahāna sahī

jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren

id ke chand ka didar bahana hi sahi

kahāñ aa ke rukne the rāste kahāñ moḌ thā use bhuul

vo jo mil gayā use yaad rakh jo nahīñ milā use bhuul

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja

chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din

kyā roz garajte ho baras jaao kisī din

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

kya roz garajte ho baras jao kisi din

baḌe sukūn se Duube the Dūbne vaale

jo sāhiloñ pe khaḌe the bahut pukāre bhī

baDe sukun se Dube the Dubne wale

jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi

kyā ho jaatā hai in hañste jiite jāgte logoñ ko

baiThe baiThe kyuuñ ye ḳhud se bāteñ karne lagte haiñ

kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko

baiThe baiThe kyun ye KHud se baaten karne lagte hain

likhā thā ek taḳhtī par koī bhī phuul mat toḌe magar āñdhī to an-paḌh thī

so jab vo baaġh se guzrī koī ukhḌā koī TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi

so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the

us ke lahje meñ barf thī lekin

chhū ke dekhā to haath jalne lage

us ke lahje mein barf thi lekin

chhu ke dekha to hath jalne lage

jahāñ ho pyaar ġhalat-fahmiyāñ bhī hotī haiñ

so baat baat pe yuuñ dil burā nahīñ karte

jahan ho pyar ghalat-fahmiyan bhi hoti hain

so baat baat pe yun dil bura nahin karte

jaise bārish se dhule sehn-e-gulistāñ 'amjad'

aañkh jab ḳhushk huī aur bhī chehrā chamkā

jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'amjad'

aankh jab KHushk hui aur bhi chehra chamka

vo tire nasīb bārisheñ kisī aur chhat pe baras ga.iiñ

dil-e-be-ḳhabar mirī baat sun use bhuul use bhuul

wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain

dil-e-be-KHabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja

kis qadar yādeñ ubhar aa.ī haiñ tere naam se

ek patthar pheñkne se paḌ ga.e kitne bhañvar

kis qadar yaaden ubhar aai hain tere nam se

ek patthar phenkne se paD gae kitne bhanwar

savāl ye hai ki aapas meñ ham mileñ kaise

hamesha saath to chalte haiñ do kināre bhī

sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise

hamesha sath to chalte hain do kinare bhi

har samundar ek sāhil hai

hijr raat kinārā nahīñ

har samundar ka ek sahil hai

hijr ki raat ka kinara nahin

guzreñ jo mere ghar se to ruk jaa.eñ sitāre

is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din

guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare

is tarah meri raat ko chamkao kisi din

ek nazar dekhā thā us ne aage yaad nahīñ

khul jaatī hai dariyā auqāt samundar meñ

ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin

khul jati hai dariya ki auqat samundar mein

jaise rail har khiḌkī apnī apnī duniyā hai

kuchh manzar to ban nahīñ paate kuchh pīchhe rah jaate haiñ

jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai

kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain

hādisa bhī hone meñ vaqt kuchh to letā hai

baḳht ke bigaḌne meñ der kuchh to lagtī hai

hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai

baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai

har baat jānte hue dil māntā na thā

ham jaane e'tibār ke kis marhale meñ the

har baat jaante hue dil manta na tha

hum jaane e'tibar ke kis marhale mein the

be-samar peḌoñ ko chūmeñge sabā ke sabz lab

dekh lenā ye ḳhizāñ be-dast-o-pā rah jā.egī

be-samar peDon ko chumenge saba ke sabz lab

dekh lena ye KHizan be-dast-o-pa rah jaegi

kuchh aisī be-yaqīnī thī fazā meñ

jo apne the vo begāne lage haiñ

kuchh aisi be-yaqini thi faza mein

jo apne the wo begane lage hain

us ne āhista se jab pukārā mujhe

jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe

us ne aahista se jab pukara mujhe

jhuk ke takne laga har sitara mujhe

zindagī dard bhī davā bhī thī

ham-safar bhī gurez-pā bhī thī

zindagi dard bhi dawa bhi thi

ham-safar bhi gurez-pa bhi thi

maanā nazar ke sāmne hai be-shumār dhuñd

hai dekhnā ki dhuñd ke is paar kaun hai

mana nazar ke samne hai be-shumar dhund

hai dekhna ki dhund ke is par kaun hai

kamāl-e-husn hai husn-e-kamāl se bāhar

azal rañg hai jaise misāl se bāhar

kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar

azal ka rang hai jaise misal se bahar

peḌoñ tarah husn bārish meñ nahā luuñ

bādal tarah jhuum ke ghar aao kisī din

peDon ki tarah husn ki barish mein naha lun

baadal ki tarah jhum ke ghar aao kisi din

sunā hai kānoñ ke kachche ho tum bahut so ham

tumhāre shahr meñ sab se banā ke rakhte haiñ

suna hai kanon ke kachche ho tum bahut so hum

tumhaare shahr mein sab se bana ke rakhte hain

saa.e Dhalne charāg jalne lage

log apne gharoñ ko chalne lage

sae Dhalne charag jalne lage

log apne gharon ko chalne lage

ye jo hāsil hameñ har shai farāvānī hai

ye bhī to apnī jagah ek pareshānī hai

ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai

ye bhi to apni jagah ek pareshani hai

phir aaj kaise kaTegī pahāḌ jaisī raat

guzar gayā hai yahī baat sochte hue din

phir aaj kaise kaTegi pahaD jaisi raat

guzar gaya hai yahi baat sochte hue din

tire firāq sadiyāñ tire visāl ke pal

shumār-e-umr meñ ye maah o saal se kuchh haiñ

tere firaq ki sadiyan tere visal ke pal

shumar-e-umr mein ye mah o sal se kuchh hain

baat to kuchh bhī nahīñ thiiñ lekin us ek dam

haath ko hoñToñ pe rakh kar roknā achchhā lagā

baat to kuchh bhi nahin thin lekin us ka ek dam

hath ko honTon pe rakh kar rokna achchha laga

tumhī ne kaun achchhā.ī hai

chalo maanā ki maiñ achchhā nahīñ thā

tumhi ne kaun si achchhai ki hai

chalo mana ki main achchha nahin tha

hameñ hamārī anā.eñ tabāh kar deñgī

mukālme agar silsila nahīñ karte

hamein hamari anaen tabah kar dengi

mukalme ka agar silsila nahin karte

bevafā to vo ḳhair thā 'amjad'

lekin us meñ kahīñ vafā bhī thī

bewafa to wo KHair tha 'amjad'

lekin us mein kahin wafa bhi thi

yuuñ to har raat chamakte haiñ sitāre lekin

vasl raat bahut sub.h taarā chamkā

yun to har raat chamakte hain sitare lekin

wasl ki raat bahut subh ka tara chamka

dūriyāñ simaTne meñ der kuchh to lagtī hai

ranjishoñ ke miTne meñ der kuchh to lagtī hai

duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai

ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai

tum ne paañv na rakkhā vagarna vasl shab

zamīñ pe ham ne sitāre bichhā ke rakkhe the

tum hi ne panw na rakkha wagarna wasl ki shab

zamin pe hum ne sitare bichha ke rakkhe the

aañkh bhī apnī sarāb-ālūd hai

aur is dariyā meñ paanī bhī nahīñ

aankh bhi apni sarab-alud hai

aur is dariya mein pani bhi nahin

ye jo saa.e se bhaTakte haiñ hamāre ird-gird

chhū ke un ko dekhiye to vāhima koī nahīñ

ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird

chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin

sadiyāñ jin meñ zinda hoñ vo sach bhī marne lagte haiñ

dhuup āñkhoñ tak aa jaa.e to ḳhvāb bikharne lagte haiñ

sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain

dhup aankhon tak aa jae to KHwab bikharne lagte hain

dard rasta hai hai sā.at-e-roz-e-hisāb

saikaḌoñ logoñ ko rokā ek bhī Thahrā nahīñ

dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab

saikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin

fazā meñ tairte rahte haiñ naqsh se kyā kyā

mujhe talāsh na kartī hoñ ye balā.eñ kahīñ

faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya

mujhe talash na karti hon ye balaen kahin

qadam uThā hai to paañv tale zamīñ nahīñ

safar ranj hameñ ḳhvāhish-e-safar se huā

qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin

safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua

na us ant hai koī na isti.āra hai

ye dāstān hai hijr-o-visāl se bāhar

na us ka ant hai koi na istiara hai

ye dastan hai hijr-o-visal se bahar

bichhaḌ ke tujh se na paa.e muḳhtasar ye hai

is ek baat se niklī hai dāstāñ kyā kyā

bichhaD ke tujh se na ji pae muKHtasar ye hai

is ek baat se nikli hai dastan kya kya

itne ḳhadshe nahīñ haiñ rastoñ meñ

jis qadar ḳhvāhish-e-safar meñ haiñ

itne KHadshe nahin hain raston mein

jis qadar KHwahish-e-safar mein hain

dām-e-ḳhushbū meñ giraftār sabā hai kab se

lafz iz.hār uljhan meñ paḌā hai kab se

dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se

lafz izhaar ki uljhan mein paDa hai kab se

shahr-e-suḳhan meñ aisā kuchh kar izzat ban jaa.e

sab kuchh miTTī ho jaatā hai izzat rahtī hai

shahr-e-suKHan mein aisa kuchh kar izzat ban jae

sab kuchh miTTi ho jata hai izzat rahti hai

tiir aayā thā jidhar ye mire shahr ke log

kitne saadā haiñ ki marham bhī vahīñ dekhte haiñ

tir aaya tha jidhar ye mere shahr ke log

kitne sada hain ki marham bhi wahin dekhte hain

āñkhoñ meñ kaise tan ga.ī dīvār-e-be-hisī

sīnoñ meñ ghuT ke rah ga.ī āvāz kis tarah

aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi

sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah

Recitation

Speak Now