Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Faez Dehlvi

1690 - 1738 | Delhi, India

One of the most prominent Urdu poets of pre-Mir era, who laid the foundation of Urdu poetry

One of the most prominent Urdu poets of pre-Mir era, who laid the foundation of Urdu poetry

Sher of Faez Dehlvi

1.3K
Favorite

SORT BY

mujh ko auroñ se kuchh nahīñ hai kaam

tujh se har dam umīd-vārī hai

mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam

tujh se har dam umid-wari hai

raat din rahe raqībāñ-sañg

dekhnā terā mujh muhāl huā

raat din tu rahe raqiban-sang

dekhna tera mujh muhaal hua

vo tamāshā o khel holī

sab ke tan raḳht-e-kesarī hai yaad

wo tamasha o khel holi ka

sab ke tan raKHt-e-kesari hai yaad

husn be-sāḳhta bhātā hai mujhe

surma añkhiyāñ meñ lagāyā na karo

husn be-saKHta bhata hai mujhe

surma ankhiyan mein lagaya na karo

guḌ siiñ mīThā hai bosa tujh lab

is jalebī meñ qand o shakkar hai

guD sin miTha hai bosa tujh lab ka

is jalebi mein qand o shakkar hai

tujh ko hai ham se judā.ī aarzū

mere dil meñ shauq hai dīdār

tujh ko hai hum se judai aarzu

mere dil mein shauq hai didar ka

tujh badan par jo laal saarī hai

aql us ne mirī bisārī hai

tujh badan par jo lal sari hai

aql us ne meri bisari hai

tere milāp bin nahīñ 'fā.ez' ke dil ko chain

jyuuñ ruuh ho basā hai us ke badan meñ aa

tere milap bin nahin 'faez' ke dil ko chain

jyun ruh ho basa hai tu us ke badan mein aa

jab sajīle ḳhirām karte haiñ

har taraf qatl-e-ām karte haiñ

jab sajile KHiram karte hain

har taraf qatl-e-am karte hain

maiñ giraftār huuñ tire mukh par

jag meñ na.ī aur kuchh pasand mujhe

main giraftar hun tere mukh par

jag mein nai aur kuchh pasand mujhe

jo kahiye us ke haq meñ kam hai be-shak

parī hai huur hai rūh-ul-amīñ hai

jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak

pari hai hur hai ruh-ul-amin hai

maiñ ne kahā ki ghar chalegī mere saath aaj

kahne lagī ki ham suuñ na kar baat burī

main ne kaha ki ghar chalegi mere sath aaj

kahne lagi ki hum sun na kar baat tu buri

vahī qadr 'fā.ez' jaane bahut

jise ishq zaḳhm kaarī lage

wahi qadr 'faez' ki jaane bahut

jise ishq ka zaKHm kari lage

ḳhūb-rū āshnā haiñ 'fā.ez' ke

mil sabhī raam raam karte haiñ

KHub-ru aashna hain 'faez' ke

mil sabhi ram ram karte hain

abr saaya o sabza raah

jān-e-man rath savārī yaad hai

abr ka saya o sabza rah ka

jaan-e-man rath ki sawari yaad hai

muñh bāñdh kar kalī na rah mere paas

ḳhandāñ ho kar ke gul sifat Tuk suḳhan meñ aa

munh bandh kar kali sa na rah mere pas tu

KHandan ho kar ke gul ki sifat Tuk suKHan mein aa

ushshāq jāñ-ba-kaf khaḌe haiñ tere ās-pās

ai dil-rubā-e-ġhārat-e-jāñ apne fan meñ aa

ushshaq jaan-ba-kaf khaDe hain tere aas-pas

ai dil-ruba-e-ghaarat-e-jaan apne fan mein aa

ḳhaak setī sajan uThā ke kiyā

ishq tere ne sar-buland mujhe

KHak seti sajan uTha ke kiya

ishq tere ne sar-buland mujhe

paanī hove aarsī us mukh ko dekh

zohra use kyā ki iqāmat kare

pani howe aarsi us mukh ko dekh

zohra use kya ki iqamat kare

kare rashk-e-gulistāñ dil ko 'fā.ez'

mirā sājan bahār-e-anjuman hai

kare rashk-e-gulistan dil ko 'faez'

mera sajan bahaar-e-anjuman hai

gul kuuñ ai shoḳh mukh tanik dikhlā

ki ḳhizāñ kar dikhā de us kuuñ bahār

gul kun ai shoKH mukh tanik dikhla

ki KHizan kar dikha de us kun bahaar

Recitation

Speak Now