Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hatim Ali Mehr's Photo'

Hatim Ali Mehr

1815 - 1879

Prominent Contemporary poet and a friend of Mirza Ghalib. He was also a High Court lawyer who also served as Honorary Magistrate at Agra

Prominent Contemporary poet and a friend of Mirza Ghalib. He was also a High Court lawyer who also served as Honorary Magistrate at Agra

Sher of Hatim Ali Mehr

2.9K
Favorite

SORT BY

saarī izzat naukrī se is zamāne meñ hai 'mehar'

jab hue be-kār bas tauqīr aadhī rah ga.ī

sari izzat naukri se is zamane mein hai 'mehar'

jab hue be-kar bas tauqir aadhi rah gai

abrū ishāra kiyā tum ne to huī iid

ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā

abru ka ishaara kiya tum ne to hui id

ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara

maar Daalā tirī āñkhoñ ne hameñ

sher kaam hiran karte haiñ

mar Dala teri aankhon ne hamein

sher ka kaam hiran karte hain

apnā bātin ḳhuub hai zāhir se bhī ai jān-e-jāñ

aañkh ke laḌne se pahle laḌā baiThe haiñ ham

apna baatin KHub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan

aankh ke laDne se pahle ji laDa baiThe hain hum

ham bhī bāteñ banāyā karte haiñ

sher kahnā magar nahīñ aatā

hum bhi baaten banaya karte hain

sher kahna magar nahin aata

dāġhoñ bas dikhā divālī meñ raushnī

ham na hogā koī jahāñ meñ divāliya

daghon ki bas dikha di diwali mein raushni

hum sa na hoga koi jahan mein diwaliya

donoñ ruḳhsār ināyat kareñ ik ik bosa

āshiqoñ ke liye sarkār se chandā ho jaa.e

donon ruKHsar inayat karen ek ek bosa

aashiqon ke liye sarkar se chanda ho jae

maiñ jiitā huuñ dekhe se sūrat tumhārī

mujhe hai nihāyat zarūrat tumhārī

main jita hun dekhe se surat tumhaari

mujhe hai nihayat zarurat tumhaari

maiñ ne maanā aap ne bose diye maiñ ne liye

vo kahāñ niklī jo hai merī tamannā ek aur

main ne mana aap ne bose diye main ne liye

wo kahan nikli jo hai meri tamanna ek aur

koī hogā na ḳharīdār hamāre dil

tum to bāzār meñ haḌtāl kiye jaate ho

koi hoga na KHaridar hamare dil ka

tum to bazar mein haDtal kiye jate ho

paañv pūjūñ maiñ apne hāthoñ ke

un añgiyā ke band khole haiñ

panw pujun main apne hathon ke

un ki angiya ke band khole hain

kisī ruḳh hameñ qur.ān javāb milā

ḳhudā shukr hai but sāhib-e-kitāb milā

kisi ka ruKH hamein quran ka jawab mila

KHuda ka shukr hai but sahib-e-kitab mila

namāz-e-sub.h vo paḌh rahe the ka.abe meñ

janāb-e-'mehr' jo mandir meñ the pujārī raat

namaz-e-subh wo hi paDh rahe the kabe mein

janab-e-'mehr' jo mandir mein the pujari raat

abr aa.e to sharāb piyeñ bāda-ḳhvār haiñ

ummīd-vār-e-rahmat-e-parvardigār haiñ

abr aae to sharab piyen baada-KHwar hain

ummid-war-e-rahmat-e-parwardigar hain

yaad rakhne ye bāteñ haiñ bajā hai sach hai

aap bhūle na hameñ aap ko ham bhuul ga.e

yaad rakhne ki ye baaten hain baja hai sach hai

aap bhule na hamein aap ko hum bhul gae

rātoñ ko but baġhal meñ haiñ qur.āñ tamām din

hindū tamām shab huuñ musalmāñ tamām din

raaton ko but baghal mein hain quran tamam din

hindu tamam shab hun musalman tamam din

zāhid haram meñ baiTh ke ḳhālī maiñ kyā karūñ

kosoñ yahāñ sharāb kahīñ būñd-bar nahīñ

zahid haram mein baiTh ke KHali main kya karun

koson yahan sharab kahin bund-bar nahin

aap par nahīñ dīvāna-pan apnā mauqūf

aur bhī chand parī-zād haiñ achchhe achchhe

aap hi par nahin diwana-pan apna mauquf

aur bhi chand pari-zad hain achchhe achchhe

mai-kada chhoḌ ke kyuuñ dair-o-haram meñ jaa.eñ

is meñ hindū raheñ us meñ hoñ musalmāñ ābād

mai-kada chhoD ke kyun dair-o-haram mein jaen

is mein hindu rahen us mein hon musalman aabaad

chhū jaa.e jo bande ke sivā jism se tere

allāh kare haath vo gal jaa.e to achchhā

chhu jae jo bande ke siwa jism se tere

allah kare hath wo gal jae to achchha

mirī to ḳhaak bhī tere qadam na chhoḌegī

zarā aane to de apne pā.emāl vaqt

meri to KHak bhi tere qadam na chhoDegi

zara tu aane to de apne paemal ka waqt

ka.abe meñ ham ko dair har dam ḳhayāl thā

allāh jāntā hai butoñ rahā lihāz

kabe mein hum ko dair ka har dam KHayal tha

allah jaanta hai buton ka raha lihaz

yaad meñ ik shoḳh punjabi ke rote haiñ jo ham

āj-kal punjab meñ bahtā hai dariyā ek aur

yaad mein ek shoKH punjabi ke rote hain jo hum

aaj-kal punjab mein bahta hai dariya ek aur

pistāñ haiñ habāb aur shikam bahr-e-latāfat

maujeñ haiñ baTeñ peT dariyā bhañvar naaf

pistan hain habab aur shikam bahr-e-latafat

maujen hain baTen peT ki dariya ka bhanwar naf

raat din sajde kiyā kartā hai hūroñ ke liye

koī zāhid namāzoñ meñ to niyyat dekhtā

raat din sajde kiya karta hai huron ke liye

koi zahid ki namazon mein to niyyat dekhta

tirī talāsh se baaqī koī makāñ na rahā

haram meñ dair meñ banda kahāñ kahāñ na rahā

teri talash se baqi koi makan na raha

haram mein dair mein banda kahan kahan na raha

bose lete haiñ chashm-e-jānāñ ke

ham hiran shikār karte haiñ

bose lete hain chashm-e-jaanan ke

hum hiran ka shikar karte hain

vahdahū-lā-sharīk hai qasam

ai sanam tum butoñ meñ yaktā ho

wahdahu-la-sharik ki hai qasam

ai sanam tum buton mein yakta ho

āgara chhūT gayā 'mehr' to chunnār meñ bhī

DhūñDhā kartī haiñ vahī kūcha-o-bāzār āñkheñ

aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi

DhunDha karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen

kis par nahīñ rahī hai ināyat huzūr

sāhab nahīñ mujhī pe tumhārā karam faqat

kis par nahin rahi hai inayat huzur ki

sahab nahin mujhi pe tumhaara karam faqat

dīvāna huuñ par kaam meñ hoshiyār huuñ apne

yūsuf ḳhayāl aayā jo zindāñ nazar aayā

diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne

yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya

shaiḳh ka.abe meñ ye duā māñgo

'mehr' ho but-kada ho duniyā ho

shaiKH kabe mein ye dua mango

'mehr' ho but-kada ho duniya ho

na zaqan hai vo na lab haiñ na vo pistāñ na vo qad

seb o unnāb o anaar ek shajar se nikle

na zaqan hai wo na lab hain na wo pistan na wo qad

seb o unnab o anar ek shajar se nikle

hai ye pūrab zabān-dānī 'mehr'

kahte haiñ baat ko ham suntā huuñ

hai ye purab ki zaban-dani 'mehr'

kahte hain baat ko hum sunta hun

yuuñ agar jhagḌā mohabbat chuke to ḳhuub hai

ham ziyāda chāheñ vo ai 'mehr' kam chāhā kareñ

yun agar jhagDa mohabbat ka chuke to KHub hai

hum ziyaada chahen wo ai 'mehr' kam chaha karen

dar-ba-dar mārā-phirā maiñ justujū-e-yār meñ

zāhid-e-ka.aba huā rahbān-e-but-ḳhāna huā

dar-ba-dar mara-phira main justuju-e-yar mein

zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua

bañdh ga.ī baaġh meñ terī to havā bād-e-sabā

un ke kūche meñ mirī aah bañdh jaa.e havā

bandh gai bagh mein teri to hawa baad-e-saba

un ke kuche mein meri aah ki bandh jae hawa

ham 'mehr' mohabbat se bahut tañg haiñ ab to

rokeñge tabī.at ko jo ruk jaa.e to achchhā

hum 'mehr' mohabbat se bahut tang hain ab to

rokenge tabiat ko jo ruk jae to achchha

jannat ne.amatoñ mazā vā.izoñ ko ho

ham to haiñ mahv lazzat-e-bos-o-kanār meñ

jannat ki neamaton ka maza waizon ko ho

hum to hain mahw lazzat-e-bos-o-kanar mein

kyā butoñ meñ hai ḳhudā jaane ba-qaul-ustād

na kamar rakhte haiñ kāfir na dahan rakhte haiñ

kya buton mein hai KHuda jaane ba-qaul-ustad

na kamar rakhte hain kafir na dahan rakhte hain

gul baañg thī guloñ hamārā tarāna thā

apnā bhī is chaman meñ kabhī āshiyāna thā

gul bang thi gulon ki hamara tarana tha

apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha

ai butoñ allāh se hai ijāzat vasl

kal hazāroñ dekh Daale istiḳhāre raat ko

ai buton allah se li hai ijazat wasl ki

kal hazaron dekh Dale istiKHare raat ko

aate haiñ vo kahīñ se to ai 'mehr' qarz daam

chiknī Dalī ilā.ichī mañgā paan chhāliyā

aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam

chikni Dali ilaichi manga pan chhaaliya

majma.a meñ raqīboñ ke khulā thā tirā juuḌā

kal raat ajab ḳhvāb-e-pareshāñ nazar aayā

majma mein raqibon ke khula tha tera juDa

kal raat ajab KHwab-e-pareshan nazar aaya

ne vahdat ko kar diyā kasrat

kabhī tanhā nazar nahīñ aatā

tu ne wahdat ko kar diya kasrat

kabhi tanha nazar nahin aata

be-qarārī roz-o-shab karne lagā

'mehr' ab to dil ġhazab karne lagā

be-qarari roz-o-shab karne laga

'mehr' ab to dil ghazab karne laga

karte haiñ shauq-e-dīd meñ bāteñ havā se ham

jaate haiñ kū-e-yār meñ pahle sabā se ham

karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum

jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum

kyā tafarqe huā jo hue yaar se alag

dil ham se aur ham haiñ dil-e-zār se alag

kya tafarqe hua jo hue yar se alag

dil hum se aur hum hain dil-e-zar se alag

na le dair se ka.aba hameñ zāhid ki ham vaañ bhī

ḳhudā ko bhuul jaate haiñ butoñ ko yaad karte haiñ

na le ja dair se kaba hamein zahid ki hum wan bhi

KHuda ko bhul jate hain buton ko yaad karte hain

sabā jo baḌī baaġh vaalī huī hai

tumhārī galī nikālī huī hai

saba jo baDi bagh wali hui hai

tumhaari gali ki nikali hui hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now