Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Jurat Qalandar Bakhsh

1748 - 1809 | Lucknow, India

Known for depicting romantic encounters with the beloved in lurid details. Lost his eye sight in the prime of youth

Known for depicting romantic encounters with the beloved in lurid details. Lost his eye sight in the prime of youth

Sher of Jurat Qalandar Bakhsh

7.9K
Favorite

SORT BY

jis nuur ke bakke ko mah-o-ḳhur ne na dekhā

kam-baḳht ye dil loTe hai us parda-nashīñ par

jis nur ke bakke ko mah-o-KHur ne na dekha

kam-baKHt ye dil loTe hai us parda-nashin par

hijr meñ muztarib ho ho ke

chār-sū dekhtā huuñ ro ro ke

hijr mein muztarib sa ho ho ke

chaar-su dekhta hun ro ro ke

jo ki sajda na kare but ko mire mashrab meñ

āqibat us kisī taur se mahmūd nahīñ

jo ki sajda na kare but ko mere mashrab mein

aaqibat us ki kisi taur se mahmud nahin

zāhidā zohd paḌhā, maiñ ishq

hai mirī aur tirī kitāb meñ farq

zahida zohd tu paDha, main ishq

hai meri aur teri kitab mein farq

is sho.ala-ḳhū ko dekh huā shaiḳh ye haal

jubbe ko aag lag uThī ammāma jal gayā

is shoala-KHu ko dekh hua shaiKH ka ye haal

jubbe ko aag lag uThi ammama jal gaya

nāseh bahut ba-fikr-e-rafū thā pe juuñ hubāb

mutlaq na us ke haath mirā pairahan lagā

naseh bahut ba-fikr-e-rafu tha pe jun hubab

mutlaq na us ke hath mera pairahan laga

maiñ to hairāñ huuñ matab hai ki dar-e-yār hai ye

yaañ to bīmār pe bīmār chale aate haiñ

main to hairan hun matab hai ki dar-e-yar hai ye

yan to bimar pe bimar chale aate hain

islām se bargashta na hote ba-ḳhudā ham

gar ishq-e-butāñ tab.a ke marġhūb na hotā

islam se bargashta na hote ba-KHuda hum

gar ishq-e-butan taba ke marghub na hota

ālūda-ba-ḳhūñ chashm se Tapke hai jo aañsū

sab kahte haiñ hairat se ye motī hai ki mūñgā

aaluda-ba-KHun chashm se Tapke hai jo aansu

sab kahte hain hairat se ye moti hai ki munga

lāzim hai ki āġhāz ho anjām se pahle

le lene do bosa mujhe dushnām se pahle

lazim hai ki aaghaz ho anjam se pahle

le lene do bosa mujhe dushnam se pahle

qahr thiiñ dar-parda shab majlis meñ us shoḳhiyāñ

le gayā dil sab ke vo aur sab se sharmātā rahā

qahr thin dar-parda shab majlis mein us ki shoKHiyan

le gaya dil sab ke wo aur sab se sharmata raha

dil-e-vahshī ko ḳhvāhish hai tumhāre dar pe aane

divānā hai va-lekin baat kartā hai Thikāne

dil-e-wahshi ko KHwahish hai tumhaare dar pe aane ki

diwana hai wa-lekin baat karta hai Thikane ki

ye savād-e-shahr aur aisā kahāñ husn-e-malīh

shash-jihat meñ mulk dekhā nahīñ punjab

ye sawad-e-shahr aur aisa kahan husn-e-malih

shash-jihat mein mulk dekha hi nahin punjab sa

haath malte hue aaj aate haiñ sab rah-guzare

jā-e-hairat hai ki maiñ kyuuñ sar-e-bāzār na thā

hath malte hue aaj aate hain sab rah-guzare

ja-e-hairat hai ki main kyun sar-e-bazar na tha

ham-nashīñ us ko jo laanā hai to jald ki ham

thāme baiThe raheñ kab tak dil-e-muztar apnā

ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum

thame baiThe rahen kab tak dil-e-muztar apna

us shaḳhs ne kal hātoñ hātoñ meñ falak par

sau baar chaḌhāyā mujhe sau baar utārā

us shaKHs ne kal haton hi haton mein falak par

sau bar chaDhaya mujhe sau bar utara

chaah chitvan merī aañkh us sharmā.ī huī

taaḌ majlis meñ sab ne saḳht rusvā.ī huī

chah ki chitwan meri aankh us ki sharmai hui

taD li majlis mein sab ne saKHt ruswai hui

ġham mujhe nā-tavān rakhtā hai

ishq bhī ik nishān rakhtā hai

gham mujhe na-tawan rakhta hai

ishq bhi ek nishan rakhta hai

us ghar ke dar pe jab hue ham ḳhaak tab khulā

darvāza aane jaane ko aur yaañ hai dūsrā

us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula

darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra

mujh mast ko kyuuñ bhaa.e na vo sāñvlī sūrat

dauḌe hai mai-kash ġhizā-e-namakīñ par

mujh mast ko kyun bhae na wo sanwli surat

ji dauDe hai mai-kash ka ghiza-e-namakin par

nahīñ til dharne jāgah jo ba-afzūnī-e-husn

dekhā shab us ko to ik ḳhaal ba-ruḳhsār na thā

nahin til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn

dekha shab us ko to ek KHal ba-ruKHsar na tha

dil meñ ab us ke jo lahr aa.ī hai ghar jaane

bhī rone jhaḌī dīda-e-ḳhūñ-bār lagā

dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki

tu bhi rone ki jhaDi dida-e-KHun-bar laga

aañkh lagtī nahīñ 'jur.at' mirī ab saarī raat

aañkh lagte ye kaisā mujhe āzār lagā

aankh lagti nahin 'jurat' meri ab sari raat

aankh lagte hi ye kaisa mujhe aazar laga

jab talak ham na chāhte the tujhe

tab tak aisā tirā jamāl na thā

jab talak hum na chahte the tujhe

tab tak aisa tera jamal na tha

aañkh uThā kar use dekhūñ huuñ to nazroñ meñ mujhe

yuuñ jatātā hai ki kyā tujh ko nahīñ Dar merā

aankh uTha kar use dekhun hun to nazron mein mujhe

yun jatata hai ki kya tujh ko nahin Dar mera

yuuñ uThe vo bazm meñ ta.azīm ko ġhairoñ haa.e

ham-nashīñ baiTh yaañ ham se na baiThā jā.egā

yun uThe wo bazm mein tazim ko ghairon ki hae

ham-nashin tu baiTh yan hum se na baiTha jaega

itnā batlā mujhe harjā.ī huuñ maiñ yaar ki

maiñ har ik shaḳhs se rakhtā huuñ sarokār ki

TRANSLATION

Tell me this O my love, if I am a trickster, or is it you?

Dealing with everyone, whether I do it, or you do?

Sagar Akbarabadi

itna batla mujhe harjai hun main yar ki tu

main har ek shaKHs se rakhta hun sarokar ki tu

TRANSLATION

Tell me this O my love, if I am a trickster, or is it you?

Dealing with everyone, whether I do it, or you do?

Sagar Akbarabadi

tā-sub.h mirī āh-e-jahāñ-soz se kal raat

kyā gumbad-e-aflāk ye hammām thā garm

ta-subh meri aah-e-jahan-soz se kal raat

kya gumbad-e-aflak ye hammam sa tha garm

shab-e-hijr thī aur maiñ ro rahā thā

koī jāgtā thā koī so rahā thā

shab-e-hijr thi aur main ro raha tha

koi jagta tha koi so raha tha

baal haiñ bikhre band haiñ TuuTe kaan meñ TeḌhā baalā hai

'jur.at' ham pahchān ga.e haiñ daal meñ kaalā kaalā hai

baal hain bikhre band hain TuTe kan mein TeDha baala hai

'jurat' hum pahchan gae hain dal mein kala kala hai

ahvāl kyā bayāñ maiñ karūñ haa.e ai tabīb

hai dard us jagah ki jahāñ nahīñ ilaaj

ahwal kya bayan main karun hae ai tabib

hai dard us jagah ki jahan ka nahin ilaj

be-zarī falak ne havāle najīb ke

paajī har ek sāhab-e-zar aa.e hai nazar

ki be-zari falak ne hawale najib ke

paji har ek sahab-e-zar aae hai nazar

na hai ab ḳhāk-afshānī na hairānī na uryānī

junūñ gar aa gayā to le ke sab sāmān āvegā

na hai ab KHak-afshani na hairani na uryani

junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega

chhoḌ kar tasbīh zunnār us but ke liye

the to ahl-e-dīñ par is dil ne barahman kar diyā

chhoD kar tasbih li zunnar us but ke liye

the to ahl-e-din par is dil ne barahman kar diya

ham gulshan-e-hairat meñ haiñ parvāz kahāñ

juuñ bulbul-e-tasvīr kabhī Tuk na hile par

hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki

jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile par

zāhidā zohd-o-riyāzat ho mubārak tujh ko

kyuuñ ki taqvā se miyāñ merī to bahbūd nahīñ

zahida zohd-o-riyazat ho mubarak tujh ko

kyun ki taqwa se miyan meri to bahbud nahin

dil ko ai ishq sū-e-zulf-e-siyah-fām na bhej

rahzanoñ meñ musāfir ko sar-e-shām na bhej

dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej

rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej

laash ko merī chhupā kar ik kueñ meñ Daal do

yaaro maiñ kushta huuñ ik parda-nashīñ chaah

lash ko meri chhupa kar ek kuen mein Dal do

yaro main kushta hun ek parda-nashin ki chah ka

ālam-e-mastī meñ mere muñh se kuchh niklā jo raat

bol uThā tevarī chaḌhā kar vo but-e-mai-ḳhvār chup

aalam-e-masti mein mere munh se kuchh nikla jo raat

bol uTha tewari chaDha kar wo but-e-mai-KHwar chup

dosto Tāñke na do ehsān Tuk itnā karo

le chalo mujh ko vahīñ tum maiñ jahāñ TukḌe huā

dosto Tanke na do ehsan Tuk itna karo

le chalo mujh ko wahin tum main jahan TukDe hua

dūrī-e-yār se hove to kisī shakl najāt

roz ham is liye ho aate haiñ do chaar ke paas

duri-e-yar se howe to kisi shakl najat

roz hum is liye ho aate hain do chaar ke pas

qafas meñ ham-safīro kuchh to mujh se baat kar jaao

bhalā maiñ bhī kabhī to rahne vaalā thā gulistāñ

qafas mein ham-safiro kuchh to mujh se baat kar jao

bhala main bhi kabhi to rahne wala tha gulistan ka

rakhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrūm

to apne bhī na hoñToñ talak zabāñ pahuñchā

rakhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrum

to apne tu bhi na honTon talak zaban pahuncha

sīkhiye 'jur.at' kisī se koī baazī koī khel

is bahāne se koī vaañ ham ko le to jā.egā

sikhiye 'jurat' kisi se koi bazi koi khel

is bahane se koi wan hum ko le to jaega

ham haiñ vo jins ki kahte haiñ jise ġham 'jur.at'

hai mohabbat ke sivā kaun ḳharīdār apnā

hum hain wo jins ki kahte hain jise gham 'jurat'

hai mohabbat ke siwa kaun KHaridar apna

jald ḳhū apnī badal varna koī kar ke tilism

aa ke dil apnā tire dil se badal jā.ūñgā

jald KHu apni badal warna koi kar ke tilism

aa ke dil apna tere dil se badal jaunga

kāfir huuñ jo mahram pe bhī haath us ke lagā ho

mash.hūr ġhalat mahram-e-asrār hue ham

kafir hun jo mahram pe bhi hath us ke laga ho

mashhur ghalat mahram-e-asrar hue hum

tā-falak le ga.ī betābi-e-dil tab bole

hazrat-e-ishq ki pahlā hai ye ziinā apnā

When my heart's / restlessness, to the skies did lead

This is just my first rung, Mr. Love decreed

ta-falak le gai betabi-e-dil tab bole

hazrat-e-ishq ki pahla hai ye zina apna

When my heart's / restlessness, to the skies did lead

This is just my first rung, Mr. Love decreed

ik bosa māñgtā huuñ maiñ ḳhairāt-e-husn

do maal zakāt ki daulat ziyāda ho

ek bosa mangta hun main KHairaat-e-husn ki

do mal ki zakat ki daulat ziyaada ho

kyā ātish-e-furqat ne burī paa.ī hai tāsīr

is aag se paanī bhī bujhāyā nahīñ jaatā

kya aatish-e-furqat ne buri pai hai tasir

is aag se pani bhi bujhaya nahin jata

Recitation

Speak Now