Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khaleel Tanveer's Photo'

Khaleel Tanveer

1944

Sher of Khaleel Tanveer

9.9K
Favorite

SORT BY

auroñ burā.ī ko na dekhūñ vo nazar de

haañ apnī burā.ī ko parakhne hunar de

auron ki burai ko na dekhun wo nazar de

han apni burai ko parakhne ka hunar de

rusvā hue zalīl hue dar-ba-dar hue

haq baat lab pe aa.ī to ham be-hunar hue

ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue

haq baat lab pe aai to hum be-hunar hue

vo log apne aap meñ kitne aziim the

jo apne dushmanoñ se bhī nafrat na kar sake

wo log apne aap mein kitne azim the

jo apne dushmanon se bhi nafrat na kar sake

parind shāḳh pe tanhā udaas baiThā hai

uḌaan bhuul gayā muddatoñ bandish meñ

parind shaKH pe tanha udas baiTha hai

uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein

terī aamad muntazir āñkheñ

bujh ga.iiñ ḳhaak ho ga.e raste

teri aamad ki muntazir aankhen

bujh gain KHak ho gae raste

is bhare shahr meñ din raat Thaharte nahīñ

kaun yādoñ ke safar-nāme ko tahrīr kare

is bhare shahr mein din raat Thaharte hi nahin

kaun yaadon ke safar-name ko tahrir kare

ab ke safar meñ dard ke pahlū ajiib haiñ

jo log ham-ḳhayāl na the ham-safar hue

ab ke safar mein dard ke pahlu ajib hain

jo log ham-KHayal na the ham-safar hue

hādsoñ maar se TuuTe magar zinda rahe

zindagī jo zaḳhm bhī ne diyā gahrā na thā

hadson ki mar se TuTe magar zinda rahe

zindagi jo zaKHm bhi tu ne diya gahra na tha

parind ūñchī uḌānoñ dhun meñ rahtā hai

magar zamīñ hadoñ meñ basar bhī kartā hai

parind unchi uDanon ki dhun mein rahta hai

magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai

bahut aziiz the us ko safar ke hañgāme

vo sab ke saath chalā thā magar akelā thā

bahut aziz the us ko safar ke hangame

wo sab ke sath chala tha magar akela tha

jo zaḳhm detā hai to be-asar detā hai

ḳhalish vo de ki jise bhuul bhī na pā.ūñ maiñ

jo zaKHm deta hai to be-asar hi deta hai

KHalish wo de ki jise bhul bhi na paun main

vo log jin zamāna hañsī uḌātā hai

ik umr ba.ad unheñ mo'tabar bhī kartā hai

wo log jin ki zamana hansi uData hai

ek umr baad unhen mo'tabar bhi karta hai

mujh ko bhūlnā chāhe to bhuul saktā hai

maiñ ek harf-e-tamannā tirī kitāb meñ huuñ

tu mujh ko bhulna chahe to bhul sakta hai

main ek harf-e-tamanna teri kitab mein hun

duur tak ek syāhī bhañvar aa.egā

ḳhud meñ utroge to aisā bhī safar aa.egā

dur tak ek syahi ka bhanwar aaega

KHud mein utroge to aisa bhi safar aaega

ajiib shaḳhs thā us ko samajhnā mushkil hai

kinār-e-āb khaḌā thā magar vo pyāsā thā

ajib shaKHs tha us ko samajhna mushkil hai

kinar-e-ab khaDa tha magar wo pyasa tha

maiñ kyā huuñ kaun huuñ kyā chiiz mujh meñ muzmar hai

ka.ī hijāb uThā.e magar hijāb meñ huuñ

main kya hun kaun hun kya chiz mujh mein muzmar hai

kai hijab uThae magar hijab mein hun

ghar meñ kyā ġham ke sivā thā jo bahā le jaatā

merī vīrānī pe hañstā rahā dariyā us

ghar mein kya gham ke siwa tha jo baha le jata

meri virani pe hansta raha dariya us ka

tirī nigāh to ḳhush-manzarī pe rahtī hai

terī pasand ke manzar kahāñ se lā.ūñ maiñ

teri nigah to KHush-manzari pe rahti hai

teri pasand ke manzar kahan se laun main

lauh-e-jahāñ pe is tarah likkhā gayā huuñ meñ

jis koī javāb nahīñ vo savāl huuñ

lauh-e-jahan pe is tarah likkha gaya hun mein

jis ka koi jawab nahin wo sawal hun

harf ko barg-e-navā detā huuñ

yuuñ mire paas hunar kuchh bhī nahīñ

harf ko barg-e-nawa deta hun

yun mere pas hunar kuchh bhi nahin

apnā lahū yatīm thā koī na rañg sakā

munsif sabhī ḳhamosh the uzr-e-jafā ke sāmne

apna lahu yatim tha koi na rang la saka

munsif sabhi KHamosh the uzr-e-jafa ke samne

hudūd-e-dil se jo guzrā vo jān-levā thā

yuuñ zalzale to ka.ī is jahān meñ aa.e

hudud-e-dil se jo guzra wo jaan-lewa tha

yun zalzale to kai is jahan mein aae

zamāna laakh sitāroñ ko chhū ke aa jaa.e

abhī diloñ ko magar hājat-e-rafū hai vahī

zamana lakh sitaron ko chhu ke aa jae

abhi dilon ko magar hajat-e-rafu hai wahi

zarā Thes lagī thī ki chuur chuur huā

tire ḳhayāl paikar bhī ābgīna thā

zara si Thes lagi thi ki chur chur hua

tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha

vo shahr chhoḌ ke muddat huī chalā bhī gayā

had-e-ufuq pe magar chāñd rū-ba-rū hai vahī

wo shahr chhoD ke muddat hui chala bhi gaya

had-e-ufuq pe magar chand ru-ba-ru hai wahi

jin ko zamīn dīda-e-dil se aziiz thī

vo kam-nigāh log the hijrat na kar sake

jin ko zamin dida-e-dil se aziz thi

wo kam-nigah log the hijrat na kar sake

shab dīvār girī to dekhā

nok-e-nashtar hai sahar kuchh bhī nahīñ

shab ki diwar giri to dekha

nok-e-nashtar hai sahar kuchh bhi nahin

tamām dard ke rishtoñ se vāsta na rahe

hisār-e-jism se niklūñ to be-sadā ho jā.ūñ

tamam dard ke rishton se wasta na rahe

hisar-e-jism se niklun to be-sada ho jaun

ravāñ thī koī talab lahū ke dariyā meñ

ki mauj mauj bhañvar umr safīna thā

rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein

ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha

hudūd-e-shahr se bāhar bhī bastiyāñ phailīñ

simaT ke rah ga.e yuuñ jañgaloñ ke ghere bhī

hudud-e-shahr se bahar bhi bastiyan phailin

simaT ke rah gae yun jangalon ke ghere bhi

kise ḳhayāl thā miTtī huī ibārat

mahak rahā thā chaman-dar-chaman samā.at

kise KHayal tha miTti hui ibarat ka

mahak raha tha chaman-dar-chaman samaat ka

kyā bastiyāñ thiiñ jin ko havā ne miTā diyā

har naqsh-e-be-navā dar-o-dīvār dekhiye

kya bastiyan thin jin ko hawa ne miTa diya

har naqsh-e-be-nawa dar-o-diwar dekhiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now