Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mirza Ghalib's Photo'

Mirza Ghalib

1797 - 1869 | Delhi, India

Legendary Urdu poet occupying a place of pride in worldwide literature. One of the most quotable poets having couplets for almost all situations of life

Legendary Urdu poet occupying a place of pride in worldwide literature. One of the most quotable poets having couplets for almost all situations of life

Sher of Mirza Ghalib

392.4K
Favorite

SORT BY

sher 'ġhālib' nahīñ vahī ye taslīm magar

ba-ḳhudā tum batā do nahīñ lagtā ilhām

sher 'ghaalib' ka nahin wahi ye taslim magar

ba-KHuda tum hi bata do nahin lagta ilham

vidā.a o vasl meñ haiñ lazzateñ judāgāna

hazār baar sad-hazār baar aa

widaa o wasl mein hain lazzaten judagana

hazar bar tu ja sad-hazar bar aa ja

kyuuñ na firdaus meñ dozaḳh ko milā leñ yārab

sair ke vāste thoḌī jagah aur sahī

kyun na firdaus mein dozaKH ko mila len yarab

sair ke waste thoDi si jagah aur sahi

ai navā-sāz-e-tamāshā sar-ba-kaf jaltā huuñ maiñ

ik taraf jaltā hai dil aur ik taraf jaltā huuñ maiñ

ai nawa-saz-e-tamasha sar-ba-kaf jalta hun main

ek taraf jalta hai dil aur ek taraf jalta hun main

kalkatte jo zikr kiyā ne ham-nashīñ

ik tiir mere siine meñ maarā ki haa.e haa.e

kalkatte ka jo zikr kiya tu ne ham-nashin

ek tir mere sine mein mara ki hae hae

maiñ bhalā kab thā suḳhan-goī pe maa.il 'ġhālib'

sher ne ye tamannā ke bane fan merā

main bhala kab tha suKHan-goi pe mail 'ghaalib'

sher ne ki ye tamanna ke bane fan mera

umr bhar dekhā kiye marne raah

mar ga.e par dekhiye dikhlā.eñ kyā

umr bhar dekha kiye marne ki rah

mar gae par dekhiye dikhlaen kya

kaam us se aa paḌā hai ki jis jahān meñ

leve na koī naam sitam-gar kahe baġhair

kaam us se aa paDa hai ki jis ka jahan mein

lewe na koi nam sitam-gar kahe baghair

yūsuf us ko kaho aur kuchh na kahe ḳhair huī

gar bigaḌ baiThe to maiñ lā.iq-e-tāzīr bhī thā

yusuf us ko kaho aur kuchh na kahe KHair hui

gar bigaD baiThe to main laiq-e-tazir bhi tha

pinhāñ thā dām-e-saḳht qarīb āshiyān ke

uḌne na paa.e the ki giraftār ham hue

pinhan tha dam-e-saKHt qarib aashiyan ke

uDne na pae the ki giraftar hum hue

fardā-o-dī tafraqa yak baar miT gayā

kal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī

farda-o-di ka tafraqa yak bar miT gaya

kal tum gae ki hum pe qayamat guzar gai

sādiq huuñ apne qaul 'ġhālib' ḳhudā gavāh

kahtā huuñ sach ki jhuuT aadat nahīñ mujhe

sadiq hun apne qaul ka 'ghaalib' KHuda gawah

kahta hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe

tum salāmat raho hazār baras

har baras ke hoñ din pachās hazār

tum salamat raho hazar baras

har baras ke hon din pachas hazar

bosa kaisā yahī ġhanīmat hai

ki na samjhe vo lazzat-e-dushnām

bosa kaisa yahi ghanimat hai

ki na samjhe wo lazzat-e-dushnam

hai tamāshā-gāh-e-soz-e-tāza har yak uzv-e-tan

juuñ charāġhān-e-divālī saf-ba-saf jaltā huuñ maiñ

hai tamasha-gah-e-soz-e-taza har yak uzw-e-tan

jun charaghan-e-diwali saf-ba-saf jalta hun main

aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil shumār yaad

mujh se mire gunah hisāb ai ḳhudā na maañg

aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad

mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang

gar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg

ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg

gar tujh ko hai yaqin-e-ijabat dua na mang

yani baghair-e-yak-dil-e-be-muddaa na mang

maiñ bhī ruk ruk ke na martā jo zabāñ ke badle

dashna ik tez hotā mire ġham-ḳhvār ke paas

main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle

dashna ek tez sa hota mere gham-KHwar ke pas

maiñ ne kahā ki bazm-e-nāz chāhiye ġhair se tihī

sun ke sitam-zarīf ne mujh ko uThā diyā ki yuuñ

main ne kaha ki bazm-e-naz chahiye ghair se tihi

sun ke sitam-zarif ne mujh ko uTha diya ki yun

jo ye kahe ki reḳhta kyūñke ho rashk-e-fārsī

gufta-e-'ġhālib' ek baar paḌh ke use sunā ki yuuñ

jo ye kahe ki reKHta kyunke ho rashk-e-farsi

gufta-e-'ghaalib' ek bar paDh ke use suna ki yun

hai mushtamil numūd-e-suvar par vajūd-e-bahar

yaañ kyā dharā hai qatra o mauj-o-habāb meñ

hai mushtamil numud-e-suwar par wajud-e-bahar

yan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab mein

hai ġhaib-e-ġhaib jis ko samajhte haiñ ham shuhūd

haiñ ḳhvāb meñ hunūz jo jaage haiñ ḳhvāb meñ

hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain hum shuhud

hain KHwab mein hunuz jo jage hain KHwab mein

rau meñ hai raḳhsh-e-umr kahāñ dekhiye thame

ne haath baag par hai na hai rikāb meñ

rau mein hai raKHsh-e-umr kahan dekhiye thame

ne hath bag par hai na pa hai rikab mein

haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasand

gustāḳhi-e-farishta hamārī janāb meñ

hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand

gustaKHi-e-farishta hamari janab mein

dekhiye laatī hai us shoḳh naḳhvat kyā rañg

us har baat pe ham nām-e-ḳhudā kahte haiñ

What colours will her mischievous pride today reveal

At everything she says I will to God's mercy appeal

dekhiye lati hai us shoKH ki naKHwat kya rang

us ki har baat pe hum nam-e-KHuda kahte hain

What colours will her mischievous pride today reveal

At everything she says I will to God's mercy appeal

agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho

jo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ

These people are from other times nothing to them tell

They who think that wine and song can sorrows repel

agle waqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho

jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain

These people are from other times nothing to them tell

They who think that wine and song can sorrows repel

aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un se

kahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ

aaj hum apni pareshani-e-KHatir un se

kahne jate to hain par dekhiye kya kahte hain

hai par-e-sarhad-e-idrāk se apnā masjūd

qible ko ahl-e-nazar qibla-numā kahte haiñ

The one I bow to is beyond, what knowledge can see

The wise ones deem the qaaba merely to a compass be

hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud

qible ko ahl-e-nazar qibla-numa kahte hain

The one I bow to is beyond, what knowledge can see

The wise ones deem the qaaba merely to a compass be

vafā ham se to ġhair is ko jafā kahte haiñ

hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ

When she's loyal to me others, carp cavil complain

To rant against what's good has been the world's refrain

ki wafa hum se to ghair is ko jafa kahte hain

hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

When she's loyal to me others, carp cavil complain

To rant against what's good has been the world's refrain

merī qismat meñ ġham gar itnā thā

dil bhī yā-rab ka.ī diye hote

if so much pain my fate ordained

I, many hearts should have obtained

meri qismat mein gham gar itna tha

dil bhi ya-rab kai diye hote

if so much pain my fate ordained

I, many hearts should have obtained

aa jaatā vo raah par 'ġhālib'

koī din aur bhī jiye hote

aa hi jata wo rah par 'ghaalib'

koi din aur bhi jiye hote

maiñ aur bazm-e-mai se yuuñ tishna-kām aa.uuñ

gar maiñ ne thī tauba saaqī ko kyā huā thā

main aur bazm-e-mai se yun tishna-kaam aaun

gar main ne ki thi tauba saqi ko kya hua tha

na satā.ish tamannā na sile parvā

gar nahīñ haiñ mire ash.ār meñ ma.anī na sahī

I do not harbor hope for praise nor care I for compense

thus if my lines are meaningless, with them, you may dispense

na sataish ki tamanna na sile ki parwa

gar nahin hain mere ashaar mein mani na sahi

I do not harbor hope for praise nor care I for compense

thus if my lines are meaningless, with them, you may dispense

na huī gar mire marne se tasallī na sahī

imtihāñ aur bhī baaqī ho to ye bhī na sahī

my dying didn't render relief, it does not matter much

if further trials now remain, then let them be as such

na hui gar mere marne se tasalli na sahi

imtihan aur bhi baqi ho to ye bhi na sahi

my dying didn't render relief, it does not matter much

if further trials now remain, then let them be as such

ek hañgāme pe mauqūf hai ghar raunaq

nauha-e-ġham sahī naġhma-e-shādī na sahī

if just on clamor now depends, the home's hullabaloo

if be not songs of joy, no loss, with sorrow's cries make do

ek hangame pe mauquf hai ghar ki raunaq

nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shadi na sahi

if just on clamor now depends, the home's hullabaloo

if be not songs of joy, no loss, with sorrow's cries make do

allāh re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marg

hilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv

allah re zauq-e-dasht-nawardi ki baad-e-marg

hilte hain KHud-ba-KHud mere andar kafan ke panw

dhotā huuñ jab maiñ piine ko us sīm-tan ke paañv

rakhtā hai zid se khīñch ke bāhar lagan ke paañv

when I wash the fair one's feet that water for to drink

she stubbornly snatches her feet right out of the sink

dhota hun jab main pine ko us sim-tan ke panw

rakhta hai zid se khinch ke bahar lagan ke panw

when I wash the fair one's feet that water for to drink

she stubbornly snatches her feet right out of the sink

bhāge the ham bahut so usī sazā hai ye

ho kar asiir dābte haiñ rāhzan ke paañv

I'm punished in this manner as I tried to run away

I'm the robber's prisoner and press his feet today

bhage the hum bahut so usi ki saza hai ye

ho kar asir dabte hain rahzan ke panw

I'm punished in this manner as I tried to run away

I'm the robber's prisoner and press his feet today

be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak

ham kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāveñge kyā

All bounds, your callousness exceeds, do tell me until when

My feelings I keep pouring out, your asking me what then?

be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak

hum kahenge haal-e-dil aur aap farmawenge kya

All bounds, your callousness exceeds, do tell me until when

My feelings I keep pouring out, your asking me what then?

dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmāveñge kyā

zaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāveñge kyā

What use would be my friends to me if sympathy they'd shown

By the time these wounds do heal wont my nails have grown

dost gham-KHwari mein meri sai farmawenge kya

zaKHm ke bharte talak naKHun na baDh jawenge kya

What use would be my friends to me if sympathy they'd shown

By the time these wounds do heal wont my nails have grown

hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat 'asad'

ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khāveñge kyā

In this city there's a famine of love's aches today

What will I survive on if in dilli I now stay?

hai ab is mamure mein qaht-e-gham-e-ulfat 'asad'

hum ne ye mana ki dilli mein rahen khawenge kya

In this city there's a famine of love's aches today

What will I survive on if in dilli I now stay?

gar kiyā nāseh ne ham ko qaid achchhā yuuñ sahī

ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāveñge kyā

gar kiya naseh ne hum ko qaid achchha yun sahi

ye junun-e-ishq ke andaz chhuT jawenge kya

aaj vaañ teġh o kafan bāñdhe hue jaatā huuñ maiñ

uzr mere qatl karne meñ vo ab lāveñge kyā

I will go with sword and coffin to her place today

What excuse, will she now find, my killing to delay

aaj wan tegh o kafan bandhe hue jata hun main

uzr mere qatl karne mein wo ab lawenge kya

I will go with sword and coffin to her place today

What excuse, will she now find, my killing to delay

hazrat-e-nāseh gar aaveñ diida o dil farsh-e-rāh

koī mujh ko ye to samjhā do ki samjhā.eñge kyā

hazrat-e-naseh gar aawen dida o dil farsh-e-rah

koi mujh ko ye to samjha do ki samjhaenge kya

pūchhte haiñ vo ki 'ġhālib' kaun hai

koī batlāo ki ham batlā.eñ kyā

puchhte hain wo ki 'ghaalib' kaun hai

koi batlao ki hum batlaen kya

raat din gardish meñ haiñ saat āsmāñ

ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā

night and day the seven skies do perambulate

why should I as something's surely in my fate

raat din gardish mein hain sat aasman

ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya

night and day the seven skies do perambulate

why should I as something's surely in my fate

udhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī hai

na pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh se

udhar wo bad-gumani hai idhar ye na-tawani hai

na puchha jae hai us se na bola jae hai mujh se

sambhalne de mujhe ai nā-umīdī kyā qayāmat hai

ki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se

Let me now compose myself, Despair-I beg of thee

as fragments of my loved one's thoughts do escape from me

sambhalne de mujhe ai na-umidi kya qayamat hai

ki daman-e-KHayal-e-yar chhuTa jae hai mujh se

Let me now compose myself, Despair-I beg of thee

as fragments of my loved one's thoughts do escape from me

kabhī nekī bhī us ke meñ gar aa jaa.e hai mujh se

jafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh se

when at times her heart, for me, is filled with piety

she then feels mortified as she recalls her cruelty

kabhi neki bhi us ke ji mein gar aa jae hai mujh se

jafaen kar ke apni yaad sharma jae hai mujh se

when at times her heart, for me, is filled with piety

she then feels mortified as she recalls her cruelty

qayāmat hai ki hove mudda.ī ham-safar 'ġhālib'

vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se

qayamat hai ki howe muddai ka ham-safar 'ghaalib'

wo kafir jo KHuda ko bhi na saunpa jae hai mujh se

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now