Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Mustahsan Jami's Photo'

Mohammad Mustahsan Jami

1994 | Khushab, Pakistan

Sher of Mohammad Mustahsan Jami

1.5K
Favorite

SORT BY

rañg badlā huā thā phūloñ

tum yaqīnan udaas guzre the

rang badla hua tha phulon ka

tum yaqinan udas guzre the

ġhurbat ehsān thā ham par

ik thālī meñ khā sakte the

ghurbat ka ehsan tha hum par

ek thaali mein kha sakte the

likh ke rakh detā huuñ alfāz sabhī kāġhaz par

lafz ḳhud bol ke tāsīr banā lete haiñ

likh ke rakh deta hun alfaz sabhi kaghaz par

lafz KHud bol ke tasir bana lete hain

dastak dene vaale tujh ko ilm nahīñ

darvāze ke donoñ jānib taalā hai

dastak dene wale tujh ko ilm nahin

darwaze ke donon jaanib tala hai

ik karb mausam hai jo daa.im hai abhī tak

ik hijr qissa ki mukammal nahīñ hotā

ek karb ka mausam hai jo daim hai abhi tak

ek hijr ka qissa ki mukammal nahin hota

lafz aur āvāz donoñ kho ga.e

mujh se haq chhīnā gayā hai baat

lafz aur aawaz donon kho gae

mujh se haq chhina gaya hai baat ka

badle haiñ zamāne ne ḳhad-o-ḳhāl tire bhī

ab tujh ko koī dekh ke pāgal nahīñ hotā

badle hain zamane ne KHad-o-KHal tere bhi

ab tujh ko koi dekh ke pagal nahin hota

merī ḳhvāhish hai ki bhar ke use dekh to luuñ

hijr ke mumkina sadmāt se pahle pahle

meri KHwahish hai ki ji bhar ke use dekh to lun

hijr ke mumkina sadmat se pahle pahle

mujh jaise darvesh tumhārī duniyā meñ

marne ḳhvāhish meñ zinda rahte haiñ

mujh jaise darwesh tumhaari duniya mein

marne ki KHwahish mein zinda rahte hain

ma.alūm nahīñ kaun bastī ke makīñ the

kuchh log mirī soch se bhī baḌh ke hasīñ the

malum nahin kaun si basti ke makin the

kuchh log meri soch se bhi baDh ke hasin the

jo jaan chhiḌakte the vahī kahte haiñ mujh se

halqa-e-ahbāb meñ shāmil kahāñ thā

jo jaan chhiDakte the wahi kahte hain mujh se

tu halqa-e-ahbab mein shamil hi kahan tha

yaḳh-basta shab guzār kabhī bhī hijr meñ

merī tarah kisī se mavaddat tujhe bhī ho

yaKH-basta shab guzar kabhi tu bhi hijr mein

meri tarah kisi se mawaddat tujhe bhi ho

mujhe ḳhabar hai kyā kuchh hai buniyādoñ meñ

terī bastī pahlā mazdūr thā maiñ

mujhe KHabar hai kya kuchh hai buniyaadon mein

teri basti ka pahla mazdur tha main

dūsre shaḳhs kyā kahūñ tujh ko

ek hone nahīñ diyā ne

dusre shaKHs kya kahun tujh ko

ek hone nahin diya tu ne

ham talvār uThā nahīñ paa.e

ham āvāz uThā sakte the

hum talwar uTha nahin pae

hum aawaz uTha sakte the

niilī chhat pe lā-mahdūd parinde the

aaj kisī ne ashk bahā kar raqs kiyā

nili chhat pe la-mahdud parinde the

aaj kisi ne ashk baha kar raqs kiya

in charāġhoñ kyā bigāḌā thaa?

kyuuñ jhagaḌtī hai raushnī mujh se

in charaghon ka kya bigaDa tha?

kyun jhagaDti hai raushni mujh se

ab tire hijr meñ ik pal na guzārā jaa.e

ye na ho qais tirā dasht meñ maarā jaa.e

ab tere hijr mein ek pal na guzara jae

ye na ho qais tera dasht mein mara jae

sar apnā uThā saktā nahīñ koī bhī iblīs

mil jaa.e agar faqr talvār mujhe bhī

sar apna uTha sakta nahin koi bhi iblis

mil jae agar faqr ki talwar mujhe bhi

vo jalva-e-sad-rang meñ ik Dhañg se niklā

jo misra tire sīna-o-āhañg se niklā

wo jalwa-e-sad-rang mein ek Dhang se nikla

jo misra tere sina-o-ahang se nikla

kyā ḳhabar thī ki mujhe is ne jakaḌ lenā hai

maiñ udāsī pe bahut tanz kiyā kartā thā

kya KHabar thi ki mujhe is ne jakaD lena hai

main udasi pe bahut tanz kiya karta tha

tirī lab-kushā.ī pe munhasir mirī zindagānī hai dostā

tirā bolnā bhī qubūl hai tirī ḳhāmushī bhī aziiz hai

teri lab-kushai pe munhasir meri zindagani hai dosta

tera bolna bhi qubul hai teri KHamushi bhi aziz hai

safar meñ maañ duāoñ se chhat banātā huuñ

agar kabhī na mayassar ho sā.ebān mujhe

safar mein man ki duaon se chhat banata hun

agar kabhi na mayassar ho saeban mujhe

ye bastiyāñ haiñ andher-nagrī meñ rahne vaalī

ye log vo haiñ jo raushnī se Dare hue haiñ

ye bastiyan hain andher-nagri mein rahne wali

ye log wo hain jo raushni se Dare hue hain

sivā.e is ke koī bhī masrūfiyat nahīñ hai

maiñ in dinoñ bas charāġh taqsīm kar rahā huuñ

siwae is ke koi bhi masrufiyat nahin hai

main in dinon bas charagh taqsim kar raha hun

is vāste maiñ haar gayā terī taraf se

nākām palaT aa.e the sab tiir hadaf se

is waste main haar gaya teri taraf se

nakaam palaT aae the sab tir hadaf se

sāmne aa gayā to kyā haal hogā un

tire tasavvur ne jin ko sarshār kar diyā hai

tu samne aa gaya to kya haal hoga un ka

tere tasawwur ne jin ko sarshaar kar diya hai

dekh kar us ko sab ḳhvāhisheñ miT ga.iiñ

kuchh bachā nahīñ dekhne ke liye

dekh kar us ko sab KHwahishen miT gain

kuchh bacha hi nahin dekhne ke liye

ye log apne adū ko bhī faiz dete haiñ

qalandaroñ jahāñ meñ yahī tarīqat hai

ye log apne adu ko bhi faiz dete hain

qalandaron ki jahan mein yahi tariqat hai

tujh ko to milā vo bhī jo māñgā nahīñ ne

ne to kabhī ḳhūn-e-tamannā nahīñ dekhā

tujh ko to mila wo bhi jo manga nahin tu ne

tu ne to kabhi KHun-e-tamanna nahin dekha

farāġhatoñ meñ faqat ek kaam kartā huuñ

maiñ raushnī se musalsal kalām kartā huuñ

faraghaton mein faqat ek kaam karta hun

main raushni se musalsal kalam karta hun

duniyā ke qāfile meñ ravāna haiñ is liye

ham bhī munāfiqīn pahchān kar sakeñ

duniya ke qafile mein rawana hain is liye

hum bhi munafiqin ki pahchan kar saken

ye apnī kaifiyat batāte nahīñ kabhī

maulā tamām hijr ke māroñ ḳhair ho

ye apni kaifiyat ka batate nahin kabhi

maula tamam hijr ke maron ki KHair ho

ibtidā ilm hai na intihā ma.alūm hai

vo musāfir huuñ jise nām-e-ḳhudā ma.alūm hai

ibtida ka ilm hai na intiha malum hai

wo musafir hun jise nam-e-KHuda malum hai

yaqīn kījiye sab intishār ḳhatm hue

jab apne aap ko tasḳhīr kar liyā maiñ ne

yaqin kijiye sab intishaar KHatm hue

jab apne aap ko tasKHir kar liya main ne

tujhe maiñ detā huuñ maulā vāsta duniyā

mire vajūd se rakh fāsla zamānoñ

tujhe main deta hun maula ka wasta duniya

mere wajud se rakh fasla zamanon ka

mirī tamannāoñ safar kis qadar hasīñ hai

kabhī mayassar hai terā shāna kabhī jabīñ hai

meri tamannaon ka safar kis qadar hasin hai

kabhi mayassar hai tera shana kabhi jabin hai

jahāñ pe bātinī ḳhushiyāñ nasīb hotī haiñ

vo dar jahāñ meñ kisī bhī valī hotā hai

jahan pe baatini KHushiyan nasib hoti hain

wo dar jahan mein kisi bhi wali ka hota hai

aap hamdardī na yuuñ jatlā.īye

ye mirā ma.amūl nuqsān hai

aap hamdardi na yun jatlaiye

ye mera mamul ka nuqsan hai

ik nazar ne mujhe zindagī baḳhsh

mujh se mat pūchhiye maiñ fanā kab huā

ek nazar ne mujhe zindagi baKHsh di

mujh se mat puchhiye main fana kab hua

hamāre purkhoñ ne juute nok par rakkhī

hamāre paas bhī duniyā tabhī nahīñ aatī

hamare purkhon ne jute ki nok par rakkhi

hamare pas bhi duniya tabhi nahin aati

ajiib ujrat mohabbatoñ vo de gayā hai

kiyā hai andhe hujūm par āshkār mujh ko

ajib ujrat mohabbaton ki wo de gaya hai

kiya hai andhe hujum par aashkar mujh ko

bin dekhe bhī chain nahīñ hai 'mustahsan'

dekhūñ to saarī bīnā.ī jaatī hai

bin dekhe bhi chain nahin hai 'mustahsan'

dekhun to sari binai jati hai

idrāk tire husn tasvīr-garī

yuuñ lagtā hai jaise koī barsoñ safar hai

idrak tere husn ki taswir-gari ka

yun lagta hai jaise koi barson ka safar hai

merī nazar meñ vo koī mahbūb nahīñ

apne parā.e shaḳhs jis ko ḳhabar na ho

meri nazar mein wo koi mahbub hi nahin

apne parae shaKHs ki jis ko KHabar na ho

yaqīn hai na kisī ko gumān maut na de

mire ḳhudā kisī ko javān maut na de

yaqin hai na kisi ko guman maut na de

mere KHuda tu kisi ko jawan maut na de

sahrā-e-intizār meñ rahnā hai umr-bhar

zād-e-safar meñ sirf kafan chāhiye mujhe

sahra-e-intizar mein rahna hai umr-bhar

zad-e-safar mein sirf kafan chahiye mujhe

mar jaa.eñ to rah jaate haiñ ham log akele

so.em meñ hamāre koī shāmil nahīñ hotā

mar jaen to rah jate hain hum log akele

soem mein hamare koi shamil nahin hota

ajab shabāhat ajab badan meñ kudūrateñ haiñ

samajh se yaksar judā ye miTTī mūrateñ haiñ

ajab shabahat ajab badan mein kuduraten hain

samajh se yaksar juda ye miTTi ki muraten hain

junūñ ke aalam meñ raqs karne ko aa ga.e haiñ

bahāl hone lagī hai raunaq tirī galī

junun ke aalam mein raqs karne ko aa gae hain

bahaal hone lagi hai raunaq teri gali ki

Recitation

Speak Now