Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Parveen Umm-e-Mushtaq

1866 | Delhi, India

One of the prominent poet of the classical edge

One of the prominent poet of the classical edge

Sher of Parveen Umm-e-Mushtaq

904
Favorite

SORT BY

ābdīda ho ke vo aapas meñ kahnā alvidā.a

us kam merī sivā āvāz bharrā.ī huī

aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa

us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui

zāhid sambhal ġhurūr ḳhudā ko nahīñ pasand

farsh-e-zamīñ pe paañv dimāġh āsmān par

zahid sambhal ghurur KHuda ko nahin pasand

farsh-e-zamin pe panw dimagh aasman par

maḳhlūq ko tumhārī mohabbat meñ ai buto

īmān ḳhayāl na islām lihāz

maKHluq ko tumhaari mohabbat mein ai buto

iman ka KHayal na islam ka lihaz

vo āsān karegā mirī dushvārī ko

jis ne dushvār kiyā hai mirī āsānī ko

wo hi aasan karega meri dushwari ko

jis ne dushwar kiya hai meri aasani ko

gar aap pahle rishta-e-ulfat na toḌte

mar miT ke ham bhī ḳhair nibhāte kisī tarah

gar aap pahle rishta-e-ulfat na toDte

mar miT ke hum bhi KHair nibhate kisi tarah

nikle haiñ ghar se dekhne ko log māh-e-īd

aur dekhte haiñ abrū-e-ḳhamdār taraf

nikle hain ghar se dekhne ko log mah-e-id

aur dekhte hain abru-e-KHamdar ki taraf

kyuuñ ujāḌā zāhido but-ḳhāna-e-ābād ko

masjideñ kaafī na hotīñ kyā ḳhudā yaad ko

kyun ujaDa zahido but-KHana-e-abaad ko

masjiden kafi na hotin kya KHuda ki yaad ko

bhej to hai ġhazal dekhiye ḳhush hoñ ki na hoñ

kuchh khaTakte hue alfāz nazar aate haiñ

bhej to di hai ghazal dekhiye KHush hon ki na hon

kuchh khaTakte hue alfaz nazar aate hain

na aayā kar ke va.ada vasl iqrār thā kyā thā

kisī ke bas meñ thā majbūr thā lāchār thā kyā thā

na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha

kisi ke bas mein tha majbur tha lachaar tha kya tha

junūñ hotā hai chhā jaatī hai hairat

kamāl-e-aql ik dīvāna-pan hai

junun hota hai chha jati hai hairat

kamal-e-aql ek diwana-pan hai

dekhne vaale ye kahte haiñ kitāb-e-dahr meñ

sarāpā husn naqsha hai maiñ tasvīr-e-ishq

dekhne wale ye kahte hain kitab-e-dahr mein

tu sarapa husn ka naqsha hai main taswir-e-ishq

farq kyā maqtal meñ aur gulzār meñ

Dhaal meñ haiñ phuul phal talvār meñ

farq kya maqtal mein aur gulzar mein

Dhaal mein hain phul phal talwar mein

baal ruḳhsāroñ se jab us ne haTā.e to khulā

do farañgī sair ko nikle haiñ mulk-e-shām se

baal ruKHsaron se jab us ne haTae to khula

do farangi sair ko nikle hain mulk-e-sham se

mirī qismat likhī jaatī thī jis din maiñ agar hotā

uḌā letā dast-e-kātib-e-taqdīr se kāġhaz

meri qismat likhi jati thi jis din main agar hota

uDa hi leta dast-e-katib-e-taqdir se kaghaz

Thahr jaao bose lene do na toḌo silsila

ek ko kyā vāsta hai dūsre ke kaam se

Thahr jao bose lene do na toDo silsila

ek ko kya wasta hai dusre ke kaam se

ik adnā parda hai ik adnā tafāvut

maḳhlūq meñ ma.abūd meñ bande meñ ḳhudā meñ

ek adna sa parda hai ek adna sa tafawut

maKHluq mein mabud mein bande mein KHuda mein

vaa.iz ko la.an-ta.an fursat hai kis tarah

puurī abhī ḳhudā taraf lau lagī nahīñ

waiz ko lan-tan ki fursat hai kis tarah

puri abhi KHuda ki taraf lau lagi nahin

bad-qismatoñ ko gar ho mayassar shab-e-visāl

sūraj ġhurūb hote zāhir ho nūr-e-sub.h

bad-qismaton ko gar ho mayassar shab-e-visal

suraj ghurub hote hi zahir ho nur-e-subh

kisī ke sañg-e-dar se ek muddat sar nahīñ uTThā

mohabbat meñ adā haiñ namāzeñ be-vuzū barsoñ

kisi ke sang-e-dar se ek muddat sar nahin uTTha

mohabbat mein ada ki hain namazen be-wuzu barson

muddat se ishtiyāq hai bos-o-kanār

gar hukm ho shurūa kare apnā kaam hirs

muddat se ishtiyaq hai bos-o-kanar ka

gar hukm ho shurua kare apna kaam hirs

hotī na sharī.at meñ parastish kabhī mamnua

gar pahle bhī but-ḳhānoñ meñ hote sanam aise

hoti na shariat mein parastish kabhi mamnua

gar pahle bhi but-KHanon mein hote sanam aise

ahl-e-duniyā bāvle haiñ bāvloñ na sun

niiñd uḌātā ho jo afsāna us afsāna se bhaag

ahl-e-duniya bawle hain bawlon ki tu na sun

nind uData ho jo afsana us afsana se bhag

havā meñ jab uḌā parda to ik bijlī kaundī thī

ḳhudā jaane tumhārā partav-e-ruḳhsār thā kyā thā

hawa mein jab uDa parda to ek bijli si kaundi thi

KHuda jaane tumhaara partaw-e-ruKHsar tha kya tha

kuchh to kamī ho roz-e-jazā ke azaab meñ

ab se piyā kareñge milā kar gulāb meñ

kuchh to kami ho roz-e-jaza ke azab mein

ab se piya karenge mila kar gulab mein

kis tarah kar diyā dil-e-nāzuk ko chūr-chūr

is vāqi.a ḳhaak hai patthar ko ittilā.a

kis tarah kar diya dil-e-nazuk ko chur-chur

is waqia ki KHak hai patthar ko ittilaa

dilvā.iye bosa dhyān bhī hai

is qarza-e-vājib-ul-adā

dilwaiye bosa dhyan bhi hai

is qarza-e-wajib-ul-ada ka

ai sabā chaltī hai kyuuñ is darja itrā.ī huī

uḌ ga.ī kāfūr ban ban kar hayā aa.ī huī

ai saba chalti hai kyun is darja itrai hui

uD gai kafur ban ban kar haya aai hui

mujhe jab maar Daalā to ab donoñ barābar haiñ

uḌaao ḳhaak sarsar ban ke bād-e-sabā ban kar

mujhe jab mar hi Dala to ab donon barabar hain

uDao KHak sarsar ban ke ya baad-e-saba ban kar

sunte sunte vā.izoñ se hajv-e-mai

zo.af kuchh aa gayā īmān meñ

sunte sunte waizon se hajw-e-mai

zoaf sa kuchh aa gaya iman mein

diye jā.eñge kab tak shaiḳh-sāhib kufr ke fatve

raheñgī un ke sanduqcha meñ diiñ kunjiyāñ kab tak

diye jaenge kab tak shaiKH-sahib kufr ke fatwe

rahengi un ke sanduqcha mein din ki kunjiyan kab tak

usī din se mujhe donoñ barbādī ḳhatra thā

mukammal ho chuke the jis ghaḌī arz-o-samā ban kar

usi din se mujhe donon ki barbaadi ka KHatra tha

mukammal ho chuke the jis ghaDi arz-o-sama ban kar

chubheñge zīra-hā-e-shīsha-e-dil dast-e-nāzuk meñ

sambhal kar haath Daalā kījiye mere garebāñ par

chubhenge zira-ha-e-shisha-e-dil dast-e-nazuk mein

sambhal kar hath Dala kijiye mere gareban par

mar chukā maiñ to nahīñ is se mujhe kuchh hāsil

barse gir paanī āb-e-baqā mere ba.ad

mar chuka main to nahin is se mujhe kuchh hasil

barse gir pani ki ja aab-e-baqa mere baad

kabhī na jā.egā āshiq se dekh-bhāl rog

pilāo laakh use bad-maza davā-e-firāq

kabhi na jaega aashiq se dekh-bhaal ka rog

pilao lakh use bad-maza dawa-e-firaq

agar lohe ke gumbad meñ rakheñge aqrabā un ko

vahīñ pahuñchā.egā āshiq kisī tadbīr se kāġhaz

agar lohe ke gumbad mein rakhenge aqraba un ko

wahin pahunchaega aashiq kisi tadbir se kaghaz

jaañ ghul chukī hai ġham meñ ik tan hai vo bhī mohmal

ma.anī nahīñ haiñ bilkul mujh meñ agar bayāñ huuñ

jaan ghul chuki hai gham mein ek tan hai wo bhi mohmal

mani nahin hain bilkul mujh mein agar bayan hun

bāda-e-ahmar to ye kahne lagā gul-rū

maiñ surḳh huuñ tum surḳh zamīñ surḳh zamāñ surḳh

pi baada-e-ahmar to ye kahne laga gul-ru

main surKH hun tum surKH zamin surKH zaman surKH

pūchh le 'parvīñ' se qais se daryāft kar

shahr meñ mash.hūr hai tere fidā.ī ishq

puchh le 'parwin' se ya qais se daryaft kar

shahr mein mashhur hai tere fidai ka ishq

pau phaTte 'riyāz' jahāñ ḳhuld ban gayā

ġhilmān-e-mahr saath liye aa.ī hūr-e-sub.h

pau phaTte hi 'riyaz' jahan KHuld ban gaya

ghilman-e-mahr sath liye aai hur-e-subh

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now