Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ijtiba Rizvi's Photo'

Ijtiba Rizvi

1908 - 1991 | Chhapra, India

Sher of Ijtiba Rizvi

1.5K
Favorite

SORT BY

afsurdagī bhī husn hai tābindagī bhī husn

ham ko ḳhizāñ ne tum ko sañvārā bahār ne

afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn

hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne

zabāñ se dil fasāna adā kiyā na gayā

ye tarjumāñ to banī thī magar banā na gayā

zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya

ye tarjuman to bani thi magar bana na gaya

hazār aarzū ho tum yaqīñ ho tum gumāñ ho tum

qafas-nasīb ruuh umīd-e-āshiyāñ ho tum

hazar aarzu ho tum yaqin ho tum guman ho tum

qafas-nasib ruh ki umid-e-ashiyan ho tum

ye kaisā mājrā hai har musavvir naqsh-e-hairat hai

tirī tasvīr jab khīñchī mirī tasvīr utar aa.ī

ye kaisa majra hai har musawwir naqsh-e-hairat hai

teri taswir jab khinchi meri taswir utar aai

aag paanī se bhaap uThtī rahī

ham samajhte rahe mohabbat hai

aag pani se bhap uThti rahi

hum samajhte rahe mohabbat hai

insān ko dil milā magar kyā

andhe ke haath meñ diyā hai

insan ko dil mila magar kya

andhe ke hath mein diya hai

ḳhuub tamāshā ham ko banāyā aap tamāshā aap hue

ham ko rusvā karne nikle kaise rusvā aap hue

KHub tamasha hum ko banaya aap tamasha aap hue

hum ko ruswa karne nikle kaise ruswa aap hue

ek din rindoñ ne masjid meñ namāz aa ke paḌhī

dūsre din use mai-ḳhāna banā kar chhoḌā

ek din rindon ne masjid mein namaz aa ke paDhi

dusre din use mai-KHana bana kar chhoDa

dil dhaḌkan jo hai madār-e-hayāt

ik zarā tez ho to aafat hai

dil ki dhaDkan jo hai madar-e-hayat

ek zara tez ho to aafat hai

huuñ vo qatra ki nahīñ yaad samundar mujh ko

magar aatī hai ik āvāz barābar mujh ko

hun wo qatra ki nahin yaad samundar mujh ko

magar aati hai ek aawaz barabar mujh ko

maiñ abhī chup huuñ to maiḳhāne meñ ḳhāmoshī hai

koī paiġhām to de ai lab-e-sāġhar mujh ko

main abhi chup hun to maiKHane mein KHamoshi hai

koi paigham to de ai lab-e-saghar mujh ko

ghūmte kaTtā hai kūche meñ tire din din

baiThe kaT jaatī hai chaukhaT pe tirī raat raat

ghumte kaTta hai kuche mein tere din ka din

baiThe kaT jati hai chaukhaT pe teri raat ki raat

mire sāz-e-nafas ḳhāmushī par ruuh kahtī hai

na aa.ī mujh ko niind aur so gayā afsāna-ḳhvāñ merā

mere saz-e-nafas ki KHamushi par ruh kahti hai

na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-KHwan mera

fitne jagā ke dahr meñ aag lagā ke shahr meñ

ke alag khaḌe hue kahne lage ki ham nahīñ

fitne jaga ke dahr mein aag laga ke shahr mein

ja ke alag khaDe hue kahne lage ki hum nahin

jiine ke liye bulvā.eñ tumheñ tum marte dam aao bhiiḌ liye

jiine tamanna kaun kare marne ko tamāshā kaun kare

jine ke liye bulwaen tumhein tum marte dam aao bhiD liye

jine ki tamanna kaun kare marne ko tamasha kaun kare

aag hai bijlī aag haiñ zarre aag hai sūraj aag haiñ taare

ham ne na thī shoḳh-nigāhī aap ne kyoñ aalam ko jalāyā

aag hai bijli aag hain zarre aag hai suraj aag hain tare

hum ne na ki thi shoKH-nigahi aap ne kyon aalam ko jalaya

ham to āshufta-sarī se na sañvarne paa.e

aap se kyoñ na sañvārā gayā gesū apnā

hum to aashufta-sari se na sanwarne pae

aap se kyon na sanwara gaya gesu apna

sunte sunte unheñ niiñd aa ga.ī nādāñ dil ne

shikva-e-hijr ko afsāna banā kar chhoḌā

sunte sunte unhen nind aa gai nadan dil ne

shikwa-e-hijr ko afsana bana kar chhoDa

ḳhirad ko ḳhāna-e-dil nigah-bāñ kar diyā ham ne

ye ghar ābād hotā is ko vīrāñ kar diyā ham ne

KHirad ko KHana-e-dil ka nigah-ban kar diya hum ne

ye ghar aabaad hota is ko viran kar diya hum ne

ye hamārī aap dūriyāñ ye kabhī kabhī huzūriyāñ

haiñ ajab tarah lagāvTeñ rah-o-rasm-e-dūr-o-darāz meñ

ye hamari aap ki duriyan ye kabhi kabhi ki huzuriyan

hain ajab tarah ki lagawTen rah-o-rasm-e-dur-o-daraaz mein

ghuñghaT ulTo ki tumheñ puuj ke kāfir ho jaa.e

dil-e-bad-baḳht jo īmān se bhī shaad nahīñ

ghunghaT ulTo ki tumhein puj ke kafir ho jae

dil-e-bad-baKHt jo iman se bhi shad nahin

is hirs-o-havas ke mele meñ ham jins-e-mohabbat laa.e haiñ

sab saste maal ke gāhak haiñ ye mahñgā saudā kaun kare

is hirs-o-hawas ke mele mein hum jins-e-mohabbat lae hain

sab saste mal ke gahak hain ye mahnga sauda kaun kare

ḳhirad vāloñ ko kahne do ki haiñ saat āsmāñ sar par

junūñ vaalo zarā himmat karo bas ek ziinā hai

KHirad walon ko kahne do ki hain sat aasman sar par

junun walo zara himmat karo bas ek zina hai

churāne ko churā laayā maiñ jalve rū-e-raushan se

magar ab bijliyāñ lipTī huī haiñ dil ke dāman se

churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se

magar ab bijliyan lipTi hui hain dil ke daman se

pukārte haiñ ki guuñj is pukār rah jaa.e

duā duā to kahī jā.egī asar na sahī

pukarte hain ki gunj is pukar ki rah jae

dua dua to kahi jaegi asar na sahi

aisī ābād tirī bazm hai ai jān-e-nashāt

jaisī ka.abe sahar jaisī ḳharābāt raat

aisi aabaad teri bazm hai ai jaan-e-nashat

jaisi kabe ki sahar jaisi KHarabaat ki raat

hamāre ḳhauf ḳhallāqiyāñ ḳhudā panāh

vo bijliyāñ haiñ nazar meñ jo āsmāñ meñ nahīñ

hamare KHauf ki KHallaqiyan KHuda ki panah

wo bijliyan hain nazar mein jo aasman mein nahin

ruuh guuñj banā letī hai ḳhud apnā maqām

mujh ko dekho ki huā daar bhī mimbar mujh ko

ruh ki gunj bana leti hai KHud apna maqam

mujh ko dekho ki hua dar bhi mimbar mujh ko

shaam huī jale charāġh uTh ga.e raah se faqīr

jin kahīñ koī nahīñ rah ga.e rahguzār meñ

sham hui jale charagh uTh gae rah se faqir

jin ka kahin koi nahin rah gae rahguzar mein

diyā hai ġham ki nichoḌe kabhī kabhī dil ko

zamīn-e-chashm-e-havas varna kaise tar hogī

diya hai gham ki nichoDe kabhi kabhi dil ko

zamin-e-chashm-e-hawas warna kaise tar hogi

khañDar meñ māh-e-kāmil sañvarnā is ko kahte haiñ

tum utre dil meñ jab dil ko bayābāñ kar diyā ham ne

khanDar mein mah-e-kaamil ka sanwarna is ko kahte hain

tum utre dil mein jab dil ko bayaban kar diya hum ne

likhā huā inhī zarrāt ke sahīfoñ meñ

mirā fasāna hai lekin mirī zabāñ meñ nahīñ

likha hua inhi zarraat ke sahifon mein

mera fasana hai lekin meri zaban mein nahin

raste dūkān pe rahrav ek nishānī chhoḌ chalā

jis kuuze se pyaas bujhā.ī us kuuze ko toḌ chalā

raste ki dukan pe rahraw ek nishani chhoD chala

jis kuze se pyas bujhai us kuze ko toD chala

inhī rafīqān-e-sust-rau se bure-bhale rasm-o-rāh nibhtī

magar kiyā dil ne un pīchhā jo har qadam chhoḌe rahe haiñ

inhi rafiqan-e-sust-rau se bure-bhale rasm-o-rah nibhti

magar kiya dil ne un ka pichha jo har qadam chhoDe ja rahe hain

kabhī is samt ko bhī bahr-e-tamāshā niklo

dil hairat-kada aisā koī vīrāñ bhī nahīñ

kabhi is samt ko bhi bahr-e-tamasha niklo

dil ka hairat-kada aisa koi viran bhi nahin

tajallī be-naqāb aur kor āñkheñ kyā qayāmat hai

ki sūraj sāmne hai aur siyah-baḳhtī nahīñ jaatī

tajalli be-naqab aur kor aankhen kya qayamat hai

ki suraj samne hai aur siyah-baKHti nahin jati

ma.anī-o-sūrat vahdat-o-kasrat zarra-o-sahrā aap hue

aap to kuchh hote nahīñ the kahiye kyā kyā aap hue

mani-o-surat wahdat-o-kasrat zarra-o-sahra aap hue

aap to kuchh hote hi nahin the kahiye kya kya aap hue

apnī tasvīr-e-majāzī koī rakh do ki kahīñ

kārvān-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jaa.e

apni taswir-e-majazi koi rakh do ki kahin

karwan-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jae

hosh-o-ḳhirad meñ aag lagā ḳhirman-e-kaif-o-kam ko jalāyā

sho.ala bane aur siine se lipTe aap jale aur ham ko jalāyā

hosh-o-KHirad mein aag laga di KHirman-e-kaif-o-kam ko jalaya

shoala bane aur sine se lipTe aap jale aur hum ko jalaya

ḳhudā-parastī biij bo kar ḳhudī dil meñ faroġh dekho

yahīñ se jhūTe ḳhudā uge haiñ baḌī ḳhatarnāk ye zamīñ hai

KHuda-parasti ka bij bo kar KHudi ka dil mein farogh dekho

yahin se jhuTe KHuda uge hain baDi KHatarnak ye zamin hai

kyoñ haiñ tūfān zad meñ haram-o-dair-o-kunisht

in mazāroñ pe to muddat se charāġhāñ bhī nahīñ

kyon hain tufan ki zad mein haram-o-dair-o-kunisht

in mazaron pe to muddat se charaghan bhi nahin

rah na sake ḳhudī meñ mast ho na sake ḳhudā meñ jazb

muft hue zalīl-o-ḳhvār kūcha-e-e’tibār meñ

rah na sake KHudi mein mast ho na sake KHuda mein jazb

muft hue zalil-o-KHwar kucha-e-e’tibar mein

ye kibr-o-nāz ab kyā jab sar-e-bāzār tum nikle

magar haañ ye kaho bahutoñ ne dekhā kam ne pahchānā

ye kibr-o-naz ab kya jab sar-e-bazar tum nikle

magar han ye kaho bahuton ne dekha kam ne pahchana

zohd āstīñ TaTol dekh kahāñ sanam nahīñ

sang-e-siyāh nā-guzīr varna haram haram nahīñ

zohd ki aastin TaTol dekh kahan sanam nahin

sang-e-siyah na-guzir warna haram haram nahin

roz-e-azal se aap merī kaisī rasm-o-rāh nibhī

avval avval ham hue shaidā āḳhir shaidā aap hue

roz-e-azal se aap ki meri kaisi rasm-o-rah nibhi

awwal awwal hum hue shaida aaKHir shaida aap hue

ujaaḌ ho bhī chukā mirā dil magar abhī dāġhdār bhī hai

yahī ḳhizāñ thī bahār-dushman jo yādgār-e-bahār bhī hai

ujaD ho bhi chuka mera dil magar abhi daghdar bhi hai

yahi KHizan thi bahaar-dushman jo yaadgar-e-bahaar bhi hai

hosh-o-ḳhirad meñ aag lagā ḳhirman-e-kaif-o-kam ko jalāyā

sho'la bane aur siine se lipTe aap jale aur ham ko jalāyā

hosh-o-KHirad mein aag laga di KHirman-e-kaif-o-kam ko jalaya

sho'la bane aur sine se lipTe aap jale aur hum ko jalaya

jalve bhiik de ke vo haTne lage the ḳhud

dāman pakaḌ liyā nigah-e-e'tibār ne

jalwe ki bhik de ke wo haTne lage the KHud

daman pakaD liya nigah-e-e'tibar ne

pukārtī rah ga.ī haqīqat paḌā rahā justujū sahrā

Thahar ga.e ham ḳhudā masjid banā ke kū-e-butāñ se aage

pukarti rah gai haqiqat paDa raha justuju ka sahra

Thahar gae hum KHuda ki masjid bana ke ku-e-butan se aage

sajda vo hai ba-rabb-e-ka.aba

jis ko qaid-e-haram nahīñ hai

sajda wo hai ba-rabb-e-kaba

jis ko qaid-e-haram nahin hai

Recitation

Speak Now