SEARCH RESULTS
Showing search results for "नामा-ए-आमाल"
Ghazal MATCHES FOR "नामा-ए-आमाल"
Ghazal
siyaah naama-e-a.amaal ik bahaana thaa
kisii tariiqe se maqsad mujhe jalaanaa thaa
Badiuzzaman Khawar
Ghazal
haa.n kaatibaan-e-naama-e-a.amaal ko thii kad
kuchh aur merii fard me.n tahriir kar ga.e
Sahba Waheed
Ghazal
din judaa.ii kaa qayaamat se nahii.n kam har-chand
biim-e-pursish na Gam-e-naama-e-aamaal hai aaj
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
siyaah baKHt ko chamkaanaa hai agar manzuur
phir apne naama-e-a.amaal ko siyah kiije
Hayat Madrasi
Ghazal
saude me.n tirii zulf ke likhte hai.n jo ash.aar
hotaa hai siyah naama-e-a.amaal hamaaraa
Hatim Ali Mehr
Ghazal
jab nazar naama-e-a.amaal ke daftar pe pa.Dii
nekiyo.n par mujhe ubhrii nazar aa.ii duniyaa
Faiz Khalilabadi
Ghazal
yuu.n apnaa naama-e-a.amaal kar liyaa taqsiim
gunaah merii taraf hai.n savaab us kii taraf
Fani Jodhpuri
Ghazal
baat rah jaa.e mirii us ke gunahgaaro.n me.n
na bache naama-e-a.amaal se isyaa.n ko.ii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
ye naama-e-a.amaal zaraa der mu.aKHKHar
thak-haar ke karne abhii aaraam lage hai.n
Masood Ahmad
Ghazal
shumaar ho na sakaa hashr me.n ye KHuub hu.aa
hamaaraa naama-e-a.amaal be-hisaab rahaa
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
ziinat-e-dosh tiraa naama-e-a.amaal na ho
terii dastaar se vaa.iz ye laTaktaa kyaa hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
idhar se naama-e-a.amaal mai.n chaluu.n le kar
udhar se rahmat-e-parvardigaar aa jaa.e
Qadeer Piyarepuri
Ghazal
official a.amaal-naama kii na hogii kuchh sanad
hashr me.n to naama-e-a.amaal dekhaa jaa.egaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
apnii qismat kaa navishta jo dikhaayaa ham ne
hashr ke roz Galat naama-e-a.amaal hu.aa