SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarhade.n"
Ghazal MATCHES FOR "sarhade.n"
Ghazal
san.ate.n phailtii jaatii hai.n magar is ke saath
sarhade.n TuuTtii jaatii hai.n gulistaano.n kii
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
sarhade.n achchhii ki sarhad pe na ruknaa achchhaa
sochiye aadmii achchhaa ki parinda achchhaa
Irfan Siddiqi
Ghazal
amn ke parindo.n kii sarhade.n nahii.n hotii.n
ham jahaa.n Thahar jaa.e.n vo vatan hamaaraa hai
Iqbal Ashhar
Ghazal
ye sarhade.n to bahut baa'd me.n banii.n pahle
dilo.n kii tarah kushaada zamii.n banaa.ii ga.ii
Rakib Mukhtar
Ghazal
sarhade.n vo na sahii apnii hado.n se baahar
jo bhii mumkin thaa kyaa us ke sivaa kyaa karte
Tanveer Ahmad Alvi
Ghazal
sarhade.n jalva-gah-e-naaz se jis kii na mile.n
vo to ik khel hu.aa chaak-e-garebaa.n na hu.aa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ik dastaKHat se ho ga.ii.n taqsiim sarhade.n
ik dastaKHat se uzv-e-vatan le liyaa gayaa
Lucky farooqi Hasrat
Ghazal
mulk kii sarhade.n kahne lagii.n ro kar 'anjum'
shahr me.n fauj ke daste nahii.n achchhe lagte
Abdur Rauf Anjum
Ghazal
Meem Sheen Najmi
Ghazal
sarhade.n ho KHatm saarii KHatm ho sab bhed-bhaav
KHuu.n se mere aisaa ik naqsha banaate jaa.iye
Aditya Shrivastava Shafaq
Ghazal
ye sarhade.n kahaa.n hotii hai.n har kisii ke liye
idhar barasne ko baadal udhar ke aa.e hai.n
Taruna Mishra
Ghazal
sarhade.n bantii biga.D jaatii hai.n 'harshit'
jab ko.ii kaaGaz pe naqsha khii.nchtaa hai
Harshit Mishra
Ghazal
raushnii aur tiirgii kii sarhade.n thaame hu.e
darmiyaa.n din raat ke bahtaa hai dhaaraa shaam kaa
Jawed Ahmad
Ghazal
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Ghazal
KHushbu.o.n ko ko.ii taqsiim kahaa.n kar paayaa
sarhade.n to.D bhii do giit sunaatii hai havaa
Rashid Anwar Rashid
Ghazal
duur tak dard kii sarhade.n jaa chukii.n
ko.ii de do davaa saKHt mushkil me.n huu.n
Mumtaz Malik
Ghazal
sarhade.n chhuu ke lauT aataa huu.n
haq-o-baatil ke darmiyaan me.n huu.n