aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "matvaalii"
barsaat kii matvaalii ghanghor ghaTaa.o.n me.nkohsaar ke daaman kii mastaana havaa.o.n me.nyaa chaa.ndnii raato.n kii shaffaaf fazaa.o.n me.n
us ra.ng-ra.ngiilii majlis me.n vo ranDii naachne vaalii homu.nh jis kaa chaa.nd kaa Tuk.Daa ho aur aa.nkh bhii mai ke pyaalii hobad-mast ba.Dii matvaalii ho har aan bajaatii taalii homai-noshii ho behoshii ho ''bha.Dve'' kii mu.nh me.n gaalii ho
jab ahd-e-javaanii kii ThanDii ThanDii barsaate.n hotii hai.nmatvaalii umre.n hotii hai.n matvaalii raate.n hotii hai.n
aasmaa.n par chhaa rahaa hai abr-paaro.n kaa hujuum!nau-bahaaro.n kaa hujuumaah ye ra.ngiin aavaara nazaaro.n kaa hujuumkohsaaro.n kaa hujuumbadliyaa.n hai.n yaa kisii ke bhuule-bisre KHvaab hai.nbe-KHud o betaab hai.n!yaa havaa par tairtaa hai ruud-baaro.n kaa hujuumaabshaaro.n kaa hujuumphirtii hai.n aavaara matvaalii ghaTaa.e.n is tarahaur havaa.e.n is tarahjhuumtaa phirtaa ho jaise mai-gusaaro.n kaa hujuumbaada-KHvaaro.n kaa hujuumvaadii-e-ga.ngaa hai, barkhaa-rut hai, kaalii raat hairaat hai barsaat haiaur fazaa me.n tairne vaale nazaaro.n kaa hujuumnashsha-zaaro.n kaa hujuumniil-guu.n pariyaa.n ufuq me.n par hai.n phailaa.e hu.ebaal bikhraa.e hu.eyaa uma.nD aayaa hai saavan kii bahaaro.n kaa hujuumabr-paaro.n kaa hujuumnannhii nannhii buu.nde.n girtii hai.n hijaab-e-abr seyaa naqaab-e-abr sechhan rahaa hai qatre ban ban kar sitaaro.n kaa hujuumnuur-paaro.n kaa hujuumye ghaTaa.e.n hai.n ki KHvaabo.n ke safiine hai.n ravaa.nbe-qariine hai.n ravaa.nbaadbaano.n me.n chhupaa.e chashma-saaro.n kaa hujuumjuu-e-baaro.n kaa hujuumbijlii hai yaa nuur kii zanjiir lahraa.ii hu.iipech-o-KHam khaa.ii hu.iiyaa KHamiida marmarii.n phuulo.n ke haaro.n kaa hujuumaur sitaaro.n kaa hujuumye samaa.n bijlii kaa ye mahtaab kii sii vaadiyaa.nKHvaab kii sii vaadiyaa.nnashshe me.n bhiigaa hu.aa ye sabza-zaaro.n kaa hujuumkohsaaro.n me.n KHushii kii bastiyaa.n aabaad hai.nmastiyaa.n aabaad hai.nchaar-suu bikhraa pa.Daa hai sabza-zaaro.n kaa hujuummarG-zaaro.n kaa hujuumyuu.n nazar aate hai.n kohsaar-e-masuurii duur semast se maKHmuur sejuu.n samundar se jaziiro.n kii qataaro.n kaa hujuumsabza-zaaro.n kaa hujuumye safar, ye raat, ye barsaat aur phir ham-safaral-amaan o al-hazarek husn-e-yaasmii.n ra.ngii.n bahaaro.n kaa hujuummaah-paaro.n kaa hujuumye suhaane manzar aKHtar muddato.n yaad aa.e.ngemuddato.n ta.Dpaaye.ngeaah ye raat, uf ye mastaana nazaaro.n kaa hujuumye bahaaro.n kaa hujuum
aa.ii vo panghaT kii devii, vo panghaT kii raaniiduniyaa hai matvaalii jis kii aur fitrat diivaaniimaathe par sinduurii Tiikaa ra.ngiin o nuuraaniisuuraj hai aakaash me.n jis kii zau se paanii-paaniichham-chham us ke bachhve bole.n jaise gaa.e paaniiaa.ii vo panghaT kii devii vo panghaT kii raanii
is se to ek dil nahii.n KHaaliisab ke jii me.n basii hai matvaaliihai ye fitrat kii god kii paaliikaamyaabii ke pe.D kii Daalii
naaz kyuu.n ho na tujhe kirshn dulaarii jamunaatuu to raadhaa kii sahelii banii pyaarii jamunaarutba aalii hai tiraa martaba bhaarii jamunaahar jagah faiz-e-atam rahtaa hai jaarii jamunaahai yaqii.n garm kisii din bharii mahfil hogiiraas-manDal kii vo liilaa lab-e-saahil hogiimiT gayaa lutf tiraa chhin gayaa gahnaa teraajab kanhayyaa nahii.n be-lutf hai rahnaa teraaGam uThaanaa sitam-o-jaur ko sahnaa teraapaanii ho ho ke shab-o-roz ye bahnaa teraaaatish-e-hijr kuchh is darja lagii hai tan me.ndil na mathuraa me.n bahaltaa hai na bindraaban me.nbaat big.Dii nahii.n ab bhii hai vahii baat tiriivahii jaa.Daa vahii garmii vahii barsaat tiriidin usii Dha.ng usii rang kii hai raat tiriikaun kah saktaa hai kuchh bhii nahii.n auqaat tiriikirshn sadqe hai.n to raadhaa hai.n fidaa.ii jamunaahar taraf KHalq me.n hai terii dahaa.ii jamunaasaadii saadii hai ravish vaz.a hai bholii-bhaaliihai ravaanii bhii Gazab chaal bhii hai matvaaliiniilii maujo.n se pashemaa.n hu.ii.n zulfe.n kaaliihusn-o-aaraa.ish-o-ziinat se ba.Dhii KHush-haaliiallaah-allaah re is naaz-o-adaa kii hastiitere aage nahii.n kuchh aab-e-baqaa kii hastiipuuchhe raadhaa se ko.ii qadr-e-haqiiqat teriikirshn se jaa.nche ko.ii KHuubii-e-izzat teriisaarii duniyaa me.n hai phailii hu.ii azmat teriius ko jannat milii kii jis ne bhii KHidmat teriiapnaa ham-rutba jo paayaa tujhe ga.ngaa-jii neapne pahluu me.n biThaayaa tujhe ga.ngaa-jii nebaa.is naaz hai be-shubah himaala ke liyesabab-e-faKHr-o-sharf gokul-o-mathuraa ke liyeKHaas ik nemat-e-haq vaadii-o-sahraa ke liyemuKHtasar ye hai ba.Dii chiiz hai duniyaa ke liyedil kii sar-basta kalii fart-e-KHushii se khul jaa.eus ko amrit mile jis ko tiraa paanii mil jaa.esach hai asraar-e-haqiiqat kaa KHazaana tuu haihaal-o-mustaqbil-o-maazii kaa zamaana tuu hailutf-aagii.n tarab-aamez fasaana tuu haisab hai.n begaane agar hai to yagaana tuu haisaaf aa.iine kii suurat hai safaa.ii teriibandagii kyuu.n na kare saarii KHudaa.ii teriinigah-e-fazl-o-tarahhum se ishaaraa kar dejo na ho kaam kisii se vo KHudaaraa kar deranj-o-Gam dard-o-qalaq duur hamaaraa kar depyaarii maKHluuq me.n kuchh aur bhii pyaaraa kar derahnumaa.ii tirii 'bismil' ke liye sab kuchh hainaa-KHudaa.ii tirii 'bismil' ke liye sab kuchh hai
achchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa donannhii munnii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa dogoraa goraa mukh.Daa ho aur kaalii kaalii aa.nkhe.nlambe lambe baal sunahrii mar mar jaisii baahe.nsakhiyaa.n dekhe.n dekh ke bhartii rah jaa.e.n bas aahe.nachchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa donannhii munnii pyaarii pyaarii gu.Diyaa ek banaa doniile rang kii pahnii ho naazuk sii us ne saa.Diihaatho.n me.n ho.n gajre us ke kaano.n me.n ho baaliichaal chale vo moro.n jaisii Thumak Thumak matvaaliiachchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa donannhii munnii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa doaisii gu.Diyaa ek banaa do jo bole jo gaa.ebaajaa le kar chham-chham chham-chham mujh ko naach dikhaa.enaach dikhaa kar mere man ko roz yuu.nhii bahlaa.eachchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa donannhii munnii pyaarii pyaarii gu.Diyaa ek banaa donaaz uThaa.uu.ngii mai.n us ke dekhuu.ngii mai.n naKHreKHuub karuu.ngii minnat us kii ruuThegii jab mujh seaur pakaa kar duu.ngii us ko miiThe miiThe khaaneachchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa donannhii munnii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa doab na kabhii aapaa se mai.n jhag.Duu.ngii pyaarii ammiiab na kabhii mai.n munne ko piiTuu.ngii pyaarii ammiiaap kaa har ik kahnaa mai.n maanuu.ngii pyaarii ammiinannhii munnii pyaarii gu.Diyaa ek banaa doachchhii ammii pyaarii ammii gu.Diyaa ek banaa do
saavan kii vo matvaalii raate.n aur raato.n kii tanhaa.ii taubajab kaalii ghaTaa.e.n uThtii hai.n letii hu.ii a.ng.Daa.ii taubaaise me.n tirii yaad aatii haiyaad aane vaale ye to bataa kyaa mai.n bhii tujhe yaad aataa huu.n
barbat-e-nashv-o-numaa kii ek matvaalii tarangguu.njte aa'saab khiltaa rang bajte ang anggarm mausam kaa nikhaar
vo dekh ki mauje.n raqs-kunaa.n hai.n sat.h-e-zamii.n par ga.ngaa kiinau-vaarid aariya hairat me.n hai.n dekh ke shaan is dariyaa kiiga.ngotarii se aatii hai chalii, aThkheliyaa.n kartii dhaar is kiiaazaadii hai tevar se ayaa.n matvaalii hai raftaar is kii
suruur-e-justajuu maGrib kii matvaalii havaa.o.n kaasabhii paayaa magar darmaan-e-dard bebasii mushkilye ik aasuudgii chehre pe ye Thahraav aa.nkho.n me.nye ashko.n se bharii chhaagal ye be-parda-o-KHud-sar dilchaTaane.n dahr kii aatish ko chhuu kar bhii nahii.n pighlii.nna jaane kaun se ajzaa hai.n is uftaad me.n shaamil
chauraahe par board lagaa haibeTii bachaa.o beTii pa.Dhaa.olekin Thiik usii ke aagechand darinde kha.De hu.e hai.naatii jaatii har titlii ke par ko takterang se KHaa.ifchaahte hai.n ki har titlii ke par ko noche.nrang u.Daa de.nshaayad un ko 'ilm nahii.n kirang ye saaremaa.n aur baap kii barso.n kii mehnat kaa samrabarso.n kii kaavish kaa natiija hote hai.nlekin ye ehsaas hii kab hai darindo.n kokaise maa.n aur baap ne rang chune hai.n saarenaqsh banaa.eaur ‘ilm-o-daanish kii raaho.n par chho.Daa haiapnii chanchal aur matvaalii titlii kopar phailaanetaaki un ke rang tamaam nikharte jaa.e.nphir bhii aksar Dar lagtaa haiye ‘ilm-o-daanish ke rastekis darja pur-KHauf-o-KHatar hai.nhar lamha luTne kaa Dar haihaalaa.nki chauraahe par hai.n chand muhaafiznazar jamaa.ehalf uThaa.edhaak biThaa.elekin phir bhii Dar lagtaa haishaam Dhale chauraahe ke ye chand muhaafizmerii chanchal titlii ke ye kaTe phaTe paru.De hu.e rangmere darvaaze ke aage Daal na jaa.e.n
aslii jaapaanii do naaliinaanaa kii banduuq niraaliikanda is kaa maT-mailaa saaruup Daraavnaa suurat kaaliinaanaa jii is ke rasiyaa thenaanii thii is kii matvaaliilete the is se jo nishaanajaataa thaa vo aksar KHaaliichi.Diyo.n kaa jiinaa duubhar thaachhuptii thii.n vo Daalii Daaliinaanaa jii ik roz ga.e thedekhne jab mela vaishaaliinaanii ko samjhaa ke ga.e thekarnii thii is kii rakhvaaliisaarii raat guzaarii baaharmele kii thii shaan niraaliighar par raat ko Daaku aa.eto.D ke raushan-daan kii jaaliinaanii ko pistaul dikhaa karle bhaage banduuq kamaaliishor machaatii piichhe dau.Dii.nvo thii.n diler ba.Dii dil vaaliihallaa sun kar log bhii dau.Dele kar ballam aur bhujaaliichor hu.e tab nau do gyaarahchho.D ga.e banduuq misaaliinaanaa ke ghar isii KHushii me.nagle roz manii diivaaliinaanii jii ne isii KHushii me.nghar ghar bhejii khiir kii thaalii
ai chaa.ndii kii matvaalii kirno pechiida yahaa.n kii hai.n raahe.ndo haath kafan miltaa bhii nahii.n ghabraa ke jo marnaa bhii chaahe.npuurii ujrat paatii bhii nahii.n shal ho ke Gariibo.n kii baahe.nbevaa.o.n ke aa.nsuu be-qiimat be-kaar yatiimo.n kii aahe.n
ik siimii.n-badan ik tauba-shikan hai mahv-e-KHiraam station parmaah-e-taabaa.n maah-e-raushan maah-e-kaamil maah-e-anvariThlaatii hu.ii bal khaatii hu.ii aa.nchal pak.De mu.nh ko mo.Dekuchh se bhi.Dtii kuchh se kaTtii kuchh dil jo.De kuchh dil to.Demadfuun hazaaro.n ke armaa.n ubhre hu.e gore shaano.n me.nmajruuh pa.De ho.nge kitne in pardesii insaano.n me.nkaalii matvaalii aa.nkho.n me.n pinhaa.n be-rut kii barsaate.nbebaak nazar kii shoKHii me.n KHvaabiida gunaaho.n kii raate.nfitrat kaa sunahraa tohfa hai ye husn-o-ishq ke aalam me.nyaa tasviiro.n kii malika hai ruumaan ke rangii.n album me.nvo rafta-rafta ab merii nazro.n se chhuptii jaatii haiab station ke us jaanib rahgiiro.n ko bahkaatii haipurvaa ke ik jho.nke kii tarah guzrii dil kii aabaadii sekaliyo.n ko be-mahkaa.e hu.e chal dii hasrat kii vaadii sedariyaa kii ik mauj-e-siimii.n saahil se Takraa kar chal diibarsaat ke dhu.ndle baadal me.n ik barq sii lahraa kar chal diiin chalte-phirte saayo.n se ulfat kii tamanna kaun karejo apne bas se baahar ho.n phir un kii parvaa kaun karelekin haa.n itnii KHvaahish hai ai kaash jo puurii ho jaa.eallaah kare vo doshiiza ik baar Tahaltii phir aa.e
rangat us kii kaalii kaaliichaal ba.Dii us kii matvaalii
har dar pe pahu.nch kar ro denaa dukh peT kaa sab se kah jaanaajab saamne aa jaataa hai ko.ii phailaa kar haath ko rah jaanaafaaqo.n se hai be-hoshii sii har gaam pe chakkar aate hai.npaivand-bharii kohna sii ridaa paivand bhii udh.De jaate hai.nmatvaalii rasiilii aa.nkho.n ke andaaz badalte rahte hai.nkuchh makkhiyaa.n bhin bhin kartii hai.n kuchh aa.nsuu chalte rahte hai.nmu.nh pher ke aa.nsuu po.nchhtii hai ashko.n me.n ubaal aa jaataa hairah rah ke malaal aa jaataa hai kuchh dil me.n KHayaal aa jaataa haijab dil kii dha.Dkan ba.Dhtii hai kuchh aur bhii ghabraa jaatii haipachhtaa pachhtaa kar maa.ngtii hai aur maa.ng ke pachhtaa jaatii haihai dard-bharii aavaaz me.n ik tarkiib na.ii andaaz nayaaphuuTii hu.ii qismat chhe.D rahii hai TuuTe dil kaa saaz nayaadetaa hai agar kuchh bhiik ko.ii lete hu.e kyaa sharmaatii haiGairat kaa to sar jhuk jaataa hai muhtaajii haath ba.Dhaatii haibuniyaad-e-Guruur-o-kibr-o-anaa ko Thokar se Dhaa detii haitadbiir kii aaKHir naakaamii taqdiir ko manvaa detii haikahtii hai ki dekh ai ahl-e-duval muhtaajii kii tasviir huu.n mai.njis KHvaab ko tuu hai dekh rahaa us KHvaab kii ik ta.abiir huu.n mai.n
ek shajarphuulo.n kii KHushbuubhiinii bhiiniishahad ke phalraushan aa.nkhe.ncha.Dhii kamaane.ntauba kii Daaliimatvaalii
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books