Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majrooh Sultanpuri's Photo'

Majrooh Sultanpuri

1919 - 2000 | Mumbai, India

One of the most lyrical of ghazal poets associated with progressive movement. Outstanding film lyricist. Recipient of Dada Sahab Phalke award.

One of the most lyrical of ghazal poets associated with progressive movement. Outstanding film lyricist. Recipient of Dada Sahab Phalke award.

Sher of Majrooh Sultanpuri

57.7K
Favorite

SORT BY

maiñ akelā chalā thā jānib-e-manzil magar

log saath aate ga.e aur kārvāñ bantā gayā

main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar

log sath aate gae aur karwan banta gaya

aise hañs hañs ke na dekhā karo sab jānib

log aisī adāoñ pe fidā hote haiñ

aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib

log aisi hi adaon pe fida hote hain

koī ham-dam na rahā koī sahārā na rahā

ham kisī ke na rahe koī hamārā na rahā

koi ham-dam na raha koi sahaara na raha

hum kisi ke na rahe koi hamara na raha

dekh zindāñ se pare rañg-e-chaman josh-e-bahār

raqs karnā hai to phir paañv zanjīr na dekh

dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

shab-e-intizār kashmakash meñ na pūchh kaise sahar huī

kabhī ik charāġh jalā diyā kabhī ik charāġh bujhā diyā

shab-e-intizar ki kashmakash mein na puchh kaise sahar hui

kabhi ek charagh jala diya kabhi ek charagh bujha diya

jafā ke zikr pe tum kyuuñ sambhal ke baiTh ga.e

tumhārī baat nahīñ baat hai zamāne

jafa ke zikr pe tum kyun sambhal ke baiTh gae

tumhaari baat nahin baat hai zamane ki

ġham-e-hayāt ne āvāra kar diyā varna

thī aarzū ki tire dar pe sub.h o shaam kareñ

gham-e-hayat ne aawara kar diya warna

thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen

rahte the kabhī jin ke dil meñ ham jaan se bhī pyāroñ tarah

baiThe haiñ unhīñ ke kūche meñ ham aaj gunahgāroñ tarah

rahte the kabhi jin ke dil mein hum jaan se bhi pyaron ki tarah

baiThe hain unhin ke kuche mein hum aaj gunahgaron ki tarah

bahāne aur bhī hote jo zindagī ke liye

ham ek baar tirī aarzū bhī kho dete

bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye

hum ek bar teri aarzu bhi kho dete

bachā liyā mujhe tūfāñ mauj ne varna

kināre vaale safīna mirā Dubo dete

bacha liya mujhe tufan ki mauj ne warna

kinare wale safina mera Dubo dete

zabāñ hamārī na samjhā yahāñ koī 'majrūh'

ham ajnabī tarah apne vatan meñ rahe

zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'

hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe

ab sochte haiñ lā.eñge tujh kahāñ se ham

uThne ko uTh to aa.e tire āstāñ se ham

ab sochte hain laenge tujh sa kahan se hum

uThne ko uTh to aae tere aastan se hum

tire sivā bhī kahīñ thī panāh bhuul ga.e

nikal ke ham tirī mahfil se raah bhuul ga.e

tere siwa bhi kahin thi panah bhul gae

nikal ke hum teri mahfil se rah bhul gae

alag baiThe the phir bhī aañkh saaqī paḌī ham par

agar hai tishnagī kāmil to paimāne bhī ā.eñge

alag baiThe the phir bhi aankh saqi ki paDi hum par

agar hai tishnagi kaamil to paimane bhi aaenge

sutūn-e-dār pe rakhte chalo saroñ ke charāġh

jahāñ talak ye sitam siyāh raat chale

sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh

jahan talak ye sitam ki siyah raat chale

dil tamannā thī mastī meñ manzil se bhī duur nikalte

apnā bhī koī sāthī hotā ham bhī bahakte chalte chalte

dil ki tamanna thi masti mein manzil se bhi dur nikalte

apna bhi koi sathi hota hum bhi bahakte chalte chalte

mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai

maz.hab to bas mazhab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai

mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai

rok saktā hameñ zindān-e-balā kyā 'majrūh'

ham to āvāz haiñ dīvār se chhan jaate haiñ

rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh'

hum to aawaz hain diwar se chhan jate hain

'majrūh' qāfile mire dāstāñ ye hai

rahbar ne mil ke luuT liyā rāhzan ke saath

'majruh' qafile ki mere dastan ye hai

rahbar ne mil ke luT liya rahzan ke sath

ham haiñ ka.aba ham haiñ but-ḳhāna hamīñ haiñ kā.enāt

ho sake to ḳhud ko bhī ik baar sajda kījiye

hum hain kaba hum hain but-KHana hamin hain kaenat

ho sake to KHud ko bhi ek bar sajda kijiye

ham ko junūñ kyā sikhlāte ho ham the pareshāñ tum se ziyāda

chaak kiye haiñ ham ne azīzo chaar garebāñ tum se ziyāda

EXPLANATION

You teach me passion? I was distressed more than you,

O my friends I have torn,my far more collars than you.

Sagar Akbarabadi

hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada

chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada

EXPLANATION

You teach me passion? I was distressed more than you,

O my friends I have torn,my far more collars than you.

Sagar Akbarabadi

'majrūh' likh rahe haiñ vo ahl-e-vafā naam

ham bhī khaḌe hue haiñ gunahgār tarah

'majruh' likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka nam

hum bhi khaDe hue hain gunahgar ki tarah

kuchh batā nasheman patā

maiñ to ai bād-e-sabā bhuul gayā

kuchh bata tu hi nasheman ka pata

main to ai baad-e-saba bhul gaya

mujhe ye fikr sab pyaas apnī pyaas hai saaqī

tujhe ye zid ki ḳhālī hai mirā paimāna barsoñ se

mujhe ye fikr sab ki pyas apni pyas hai saqi

tujhe ye zid ki KHali hai mera paimana barson se

tujhe na maane koī tujh ko is se kyā majrūh

chal apnī raah bhaTakne de nukta-chīnoñ ko

tujhe na mane koi tujh ko is se kya majruh

chal apni rah bhaTakne de nukta-chinon ko

sar par havā-e-zulm chale sau jatan ke saath

apnī kulāh kaj hai usī bāñkpan ke saath

sar par hawa-e-zulm chale sau jatan ke sath

apni kulah kaj hai usi bankpan ke sath

jalā ke mish.al-e-jāñ ham junūñ-sifāt chale

jo ghar ko aag lagā.e hamāre saath chale

jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

jo ghar ko aag lagae hamare sath chale

fareb-e-sāqi-e-mahfil na pūchhiye 'majrūh'

sharāb ek hai badle hue haiñ paimāne

fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'

sharab ek hai badle hue hain paimane

vo aa rahe haiñ sambhal sambhal kar nazāra be-ḳhud fazā javāñ hai

jhukī jhukī haiñ nashīlī āñkheñ rukā rukā daur-e-āsmāñ hai

wo aa rahe hain sambhal sambhal kar nazara be-KHud faza jawan hai

jhuki jhuki hain nashili aankhen ruka ruka daur-e-asman hai

sair-e-sāhil kar chuke ai mauj-e-sāhil sar na maar

tujh se kyā bahleñge tūfānoñ ke bahlā.e hue

sair-e-sahil kar chuke ai mauj-e-sahil sar na mar

tujh se kya bahlenge tufanon ke bahlae hue

baḌhā.ī mai jo mohabbat se aaj saaqī ne

ye kāñpe haath ki sāġhar bhī ham uThā na sake

baDhai mai jo mohabbat se aaj saqi ne

ye kanpe hath ki saghar bhi hum uTha na sake

tishnagī tishnagī hai kis ko kahiye mai-kada

lab lab ham ne to dekhe kis ko paimāna kaheñ

tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada

lab hi lab hum ne to dekhe kis ko paimana kahen

dast-e-pur-ḳhūñ ko kaf-e-dast-e-nigārāñ samjhe

qatl-gah thī jise ham mahfil-e-yārāñ samjhe

dast-e-pur-KHun ko kaf-e-dast-e-nigaran samjhe

qatl-gah thi jise hum mahfil-e-yaran samjhe

ab kārgah-e-dahr meñ lagtā hai bahut dil

ai dost kahīñ ye bhī tirā ġham to nahīñ hai

ab kargah-e-dahr mein lagta hai bahut dil

ai dost kahin ye bhi tera gham to nahin hai

sunte haiñ ki kāñTe se gul tak haiñ raah meñ lākhoñ vīrāne

kahtā hai magar ye azm-e-junūñ sahrā se gulistāñ duur nahīñ

sunte hain ki kanTe se gul tak hain rah mein lakhon virane

kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan dur nahin

mere sañg-o-ḳhisht se ta.amīr-e-bām-o-dar

mere ghar ko shahr meñ shāmil kahā na jaa.e

mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar

mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae

guloñ se bhī na huā jo mirā patā dete

sabā uḌātī phirī ḳhaak āshiyāne

gulon se bhi na hua jo mera pata dete

saba uDati phiri KHak aashiyane ki

pāra-e-dil hai vatan sarzamīñ mushkil ye hai

shahr ko vīrān is dil ko vīrāna kaheñ

para-e-dil hai watan ki sarzamin mushkil ye hai

shahr ko viran ya is dil ko virana kahen

maiñ ki ek mehnat-kash maiñ ki tīrgī-dushman

sub.h-e-nau ibārat hai mere muskurāne se

main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman

subh-e-nau ibarat hai mere muskurane se

ashkoñ meñ rañg-o-bū-e-chaman duur tak mile

jis dam asiir ho ke chale gulsitāñ se ham

ashkon mein rang-o-bu-e-chaman dur tak mile

jis dam asir ho ke chale gulsitan se hum

kahāñ bach kar chalī ai fasl-e-gul mujh ābla-pā se

mire qadmoñ gul-kārī bayābāñ se chaman tak hai

kahan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-pa se

mere qadmon ki gul-kari bayaban se chaman tak hai

haT ke rū-e-yār se taz.īn-e-ālam kar ga.iiñ

vo nigāheñ jin ko ab tak rā.egāñ samjhā thā maiñ

haT ke ru-e-yar se tazin-e-alam kar gain

wo nigahen jin ko ab tak raegan samjha tha main

be-tesha-e-nazar na chalo rāh-e-raftagāñ

har naqsh-e-pā buland hai dīvār tarah

be-tesha-e-nazar na chalo rah-e-raftagan

har naqsh-e-pa buland hai diwar ki tarah

phir aa.ī fasl ki mānind barg-e-āvāra

hamāre naam guloñ ke murāslāt chale

phir aai fasl ki manind barg-e-awara

hamare nam gulon ke muraslat chale

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now