Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anand Narayan Mulla's Photo'

Anand Narayan Mulla

1901 - 1997 | Allahabad, India

A leading Judge of the Allahabad High Court. Member of the 4th Lok Sabha

A leading Judge of the Allahabad High Court. Member of the 4th Lok Sabha

Sher of Anand Narayan Mulla

7.8K
Favorite

SORT BY

rone vaale tujhe rone salīqa nahīñ

ashk piine ke liye haiñ ki bahāne ke liye

rone wale tujhe rone ka saliqa hi nahin

ashk pine ke liye hain ki bahane ke liye

vo kaun haiñ jinheñ tauba mil ga.ī fursat

hameñ gunāh bhī karne ko zindagī kam hai

who are those that seem to find the time for to repent

for us this life is too short to sin to heart's content

wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat

hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai

who are those that seem to find the time for to repent

for us this life is too short to sin to heart's content

sar-e-mahshar yahī pūchhūñgā ḳhudā se pahle

ne rokā bhī thā bande ko ḳhatā se pahle

TRANSLATION

On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,

Before he commited crime, any criminal did you stop?

Sagar Akbarabadi

sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle

TRANSLATION

On the Judgement Day, I’ll enquire this from God,

Before he commited crime, any criminal did you stop?

Sagar Akbarabadi

ab aur is ke sivā chāhte ho kyā 'mullā'

ye kam hai us ne tumheñ muskurā ke dekh liyā

ab aur is ke siwa chahte ho kya 'mulla'

ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya

ham ne bhī thiiñ koshisheñ ham na tumheñ bhulā sake

koī kamī hamīñ meñ thī yaad tumheñ na aa sake

hum ne bhi ki thin koshishen hum na tumhein bhula sake

koi kami hamin mein thi yaad tumhein na aa sake

'mullā' banā diyā hai ise bhī mahāz-e-jañg

ik sulh payām thī urdu zabāñ kabhī

'mulla' bana diya hai ise bhi mahaz-e-jang

ek sulh ka payam thi urdu zaban kabhi

ishq kartā hai to phir ishq tauhīn na kar

to behosh na ho, ho to na phir hosh meñ aa

ishq karta hai to phir ishq ki tauhin na kar

ya to behosh na ho, ho to na phir hosh mein aa

mujhe kar ke chup koī kahtā hai hañs kar

unheñ baat karne aadat nahīñ hai

mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar

unhen baat karne ki aadat nahin hai

ishq meñ vo bhī ek vaqt hai jab

be-gunāhī gunāh hai pyāre

ishq mein wo bhi ek waqt hai jab

be-gunahi gunah hai pyare

jis ke ḳhayāl meñ huuñ gum us ko bhī kuchh ḳhayāl hai

mere liye yahī savāl sab se baḌā savāl hai

jis ke KHayal mein hun gum us ko bhi kuchh KHayal hai

mere liye yahi sawal sab se baDa sawal hai

had-e-takmīl ko pahuñchī tirī ra.anā.ī-e-husn

jo kasar thī vo miTā tirī añgḌā.ī ne

had-e-takmil ko pahunchi teri ranai-e-husn

jo kasar thi wo miTa di teri angDai ne

maiñ faqat insān huuñ hindū musalmāñ kuchh nahīñ

mere dil ke dard meñ tafrīq-e-īmāñ kuchh nahīñ

main faqat insan hun hindu musalman kuchh nahin

mere dil ke dard mein tafriq-e-iman kuchh nahin

nazar jis taraf kar ke nigāheñ pher lete ho

qayāmat tak phir us dil pareshānī nahīñ jaatī

nazar jis ki taraf kar ke nigahen pher lete ho

qayamat tak phir us dil ki pareshani nahin jati

kahne ko lafz do haiñ ummīd aur hasrat

in meñ nihāñ magar ik duniyā dāstāñ hai

kahne ko lafz do hain ummid aur hasrat

in mein nihan magar ek duniya ki dastan hai

tum jis ko samajhte ho ki hai husn tumhārā

mujh ko to vo apnī mohabbat nazar aa.ī

tum jis ko samajhte ho ki hai husn tumhaara

mujh ko to wo apni hi mohabbat nazar aai

ā.īna-e-rañgīn jigar kuchh bhī nahīñ kyā

kyā husn sab kuchh hai nazar kuchh bhī nahīñ kyā

aaina-e-rangin jigar kuchh bhi nahin kya

kya husn hi sab kuchh hai nazar kuchh bhi nahin kya

us ik nazar ke bazm meñ qisse bane hazār

utnā samajh sakā jise jitnā shu.ūr thā

us ek nazar ke bazm mein qisse bane hazar

utna samajh saka jise jitna shuur tha

ab ban ke falak-zād dikhāte haiñ hameñ aañkh

zarre vahī kal jin ko uchhālā thā hamīñ ne

ab ban ke falak-zad dikhate hain hamein aankh

zarre wahi kal jin ko uchhaala tha hamin ne

husn ke jalve nahīñ muhtāj-e-chashm-e-ārzū

sham.a jaltī hai ijāzat le ke parvāne se kyā

husn ke jalwe nahin muhtaj-e-chashm-e-arzu

shama jalti hai ijazat le ke parwane se kya

tirī jafā ko jafā maiñ to kah nahīñ saktā

sitam sitam nahīñ hai jo dil ko raas aa.e

teri jafa ko jafa main to kah nahin sakta

sitam sitam hi nahin hai jo dil ko ras aae

aql ke bhaTke ho.uuñ ko raah dikhlāte hue

ham ne kaaTī zindagī dīvāna kahlāte hue

aql ke bhaTke houn ko rah dikhlate hue

hum ne kaTi zindagi diwana kahlate hue

ek ik lamhe meñ jab sadiyoñ sadiyāñ kaT ga.iiñ

aisī kuchh rāteñ bhī guzrī haiñ mirī tere baġhair

ek ek lamhe mein jab sadiyon ki sadiyan kaT gain

aisi kuchh raaten bhi guzri hain meri tere baghair

nizām-e-mai-kada saaqī badalne zarūrat hai

hazāroñ haiñ safeñ jin meñ na mai aa.ī na jaam aayā

nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai

hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya

dil-e-betāb andāz-e-bayāñ hai varna

shukr meñ kaun shai hai jo shikāyat meñ nahīñ

dil-e-betab ka andaz-e-bayan hai warna

shukr mein kaun si shai hai jo shikayat mein nahin

ḳhūn-e-jigar ke qatre aur ashk ban ke Tapkeñ

kis kaam ke liye the kis kaam aa rahe haiñ

KHun-e-jigar ke qatre aur ashk ban ke Tapken

kis kaam ke liye the kis kaam aa rahe hain

ne pherī laakh narmī se nazar

dil ke ā.īne meñ baal aa gayā

tu ne pheri lakh narmi se nazar

dil ke aaine mein baal aa hi gaya

ḳhudā jaane duā thī shikāyat lab pe bismil ke

nazar sū-e-falak thī haath meñ dāmān-e-qātil thā

KHuda jaane dua thi ya shikayat lab pe bismil ke

nazar su-e-falak thi hath mein daman-e-qatil tha

dayār-e-ishq hai ye zarf-e-dil jāñch hotī hai

yahāñ poshāk se andāza insāñ nahīñ hotā

dayar-e-ishq hai ye zarf-e-dil ki jaanch hoti hai

yahan poshak se andaza insan ka nahin hota

muḳhtasar apnī hadīs-e-zīst ye hai ishq meñ

pahle thoḌā hañse phir umr bhar royā kiye

muKHtasar apni hadis-e-zist ye hai ishq mein

pahle thoDa sa hanse phir umr bhar roya kiye

ashk-e-ġham-e-ulfat meñ ik rāz-e-nihānī hai

jaao to amrit hai bah jaa.e to paanī hai

ashk-e-gham-e-ulfat mein ek raaz-e-nihani hai

pi jao to amrit hai bah jae to pani hai

sham.a ik mom ke paikar ke sivā kuchh bhī na thī

aag jab tan meñ lagā.ī hai to jaan aa.ī hai

shama ek mom ke paikar ke siwa kuchh bhi na thi

aag jab tan mein lagai hai to jaan aai hai

na jaane kitnī sham.eñ gul huiiñ kitne bujhe taare

tab ik ḳhurshīd itrātā huā bālā-e-bām aayā

na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare

tab ek KHurshid itraata hua baala-e-baam aaya

mohabbat farq kho detī hai a.alā aur adnā

ruḳh-e-ḳhurshīd meñ zarre ham tanvīr dekheñge

mohabbat farq kho deti hai aala aur adna ka

ruKH-e-KHurshid mein zarre ki hum tanwir dekhenge

ġham-e-hayāt sharīk-e-ġham-e-mohabbat hai

milā diye haiñ kuchh aañsū mirī sharāb ke saath

gham-e-hayat sharik-e-gham-e-mohabbat hai

mila diye hain kuchh aansu meri sharab ke sath

farq jo kuchh hai vo mutrib meñ hai aur saaz meñ hai

varna naġhma vahī har parda-e-āvāz meñ hai

farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai

warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai

gale lagā ke kiyā nazr-e-sho.ala-e-ātish

qafas se chhūT ke phir āshiyāñ mile na mile

gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish

qafas se chhuT ke phir aashiyan mile na mile

har ik sūrat pe dhokā khā rahī haiñ terī sūrat

abhī aatā nahīñ nazroñ ko tā-hadd-e-nazar jaanā

har ek surat pe dhoka kha rahi hain teri surat ka

abhi aata nahin nazron ko ta-hadd-e-nazar jaana

Recitation

Speak Now