Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ghulam Husain Sajid's Photo'

Ghulam Husain Sajid

1952 | Multan, Pakistan

Sher of Ghulam Husain Sajid

2.3K
Favorite

SORT BY

is añdhere meñ charāġh-e-ḳhvāb ḳhvāhish nahīñ

ye bhī kyā kam hai ki thoḌī der so jaatā huuñ maiñ

is andhere mein charagh-e-KHwab ki KHwahish nahin

ye bhi kya kam hai ki thoDi der so jata hun main

rukā huuñ kis ke vahm meñ mire gumān meñ nahīñ

charāġh jal rahā hai aur koī makān meñ nahīñ

ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin

charagh jal raha hai aur koi makan mein nahin

ham musāfir haiñ gard-e-safar haiñ magar ai shab-e-hijr ham koī bachche nahīñ

jo abhī āñ.suoñ meñ nahā kar ga.e aur abhī muskurāte palaT ā.eñge

hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin

jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge

agar hai insān muqaddar ḳhud apnī miTTī rizq honā

to phir zamīñ par ye āsmāñ vajūd kis qahr ke liye hai

agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona

to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai

ek ḳhvāhish hai jo shāyad umr bhar puurī na ho

ek sapne se hamesha pyaar karnā hai mujhe

ek KHwahish hai jo shayad umr bhar puri na ho

ek sapne se hamesha pyar karna hai mujhe

us ke hone se huī hai apne hone ḳhabar

koī dushman se ziyāda lā.eq-e-izzat nahīñ

us ke hone se hui hai apne hone ki KHabar

koi dushman se ziyaada laeq-e-izzat nahin

DhūñD laayā huuñ ḳhushī chhāñv jis ke vāste

ek ġham se bhī use do-chār karnā hai mujhe

DhunD laya hun KHushi ki chhanw jis ke waste

ek gham se bhi use do-chaar karna hai mujhe

ishq par faa.ez huuñ auroñ tarah lekin mujhe

vasl lapkā nahīñ hai hijr se vahshat nahīñ

ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe

wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin

mil nahīñ paatī ḳhud apne-āp se fursat mujhe

mujh se bhī mahrūm rahtī hai kabhī mahfil mirī

mil nahin pati KHud apne-ap se fursat mujhe

mujh se bhi mahrum rahti hai kabhi mahfil meri

ishq dastaras meñ kuchh bhī nahīñ

jān-e-man! mere bas meñ kuchh bhī nahīñ

ishq ki dastaras mein kuchh bhi nahin

jaan-e-man! mere bas mein kuchh bhi nahin

kisī yaad se dil añdherā aur baḌhtā hai

ye ghar mere sulagne se munavvar ho nahīñ saktā

kisi ki yaad se dil ka andhera aur baDhta hai

ye ghar mere sulagne se munawwar ho nahin sakta

kabhī mohabbat se baaz rahne dhyān aa.e to sochtā huuñ

ye zahr itne dinoñ se mere vajūd meñ kaise pal rahā hai

kabhi mohabbat se baz rahne ka dhyan aae to sochta hun

ye zahr itne dinon se mere wajud mein kaise pal raha hai

merī qismat hai ye āvāra-ḳhirāmī 'sājid'

dasht ko raah nikaltī hai na ghar aatā hai

meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'

dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai

sitār-e-ḳhvāb se bhī baḌh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne

charāġh aur aa.ine ko apne vajūd rāz-dāñ kiyā hai

sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne

charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai

hikāyat-e-ishq se bhī dil ilaaj mumkin nahīñ ki ab bhī

firāq talḳhiyāñ vahī haiñ visāl aarzū vahī hai

hikayat-e-ishq se bhi dil ka ilaj mumkin nahin ki ab bhi

firaq ki talKHiyan wahi hain visal ki aarzu wahi hai

sharm aa.ī hai mujhe apne qad-o-qāmat par

maañ ke jab hoñTh na pahoñche mirī peshānī tak

sharm aai hai mujhe apne qad-o-qamat par

man ke jab honTh na pahonche meri peshani tak

meñ aatā hai ki duniyā ko badalnā chāhiye

aur apne aap se māyūs ho jaatā huuñ maiñ

ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye

aur apne aap se mayus ho jata hun main

aaj khulā dushman ke pīchhe dushman the

aur vo lashkar is lashkar oT meñ thā

aaj khula dushman ke pichhe dushman the

aur wo lashkar is lashkar ki oT mein tha

mire māyūs rahne par agar vo shādmāñ hai

to kyuuñ ḳhud ko maiñ us ke vāste barbād kar duuñ

mere mayus rahne par agar wo shadman hai

to kyun KHud ko main us ke waste barbaad kar dun

raas aa.ī hai na aa.egī ye duniyā lekin

rok rakkhā hai mujhe kuuch tayyārī ne

ras aai hai na aaegi ye duniya lekin

rok rakkha hai mujhe kuch ki tayyari ne

raas aatī nahīñ jab pyaar shiddat mujhe

ik kamī apnī mohabbat meñ kahīñ rakkhūñgā maiñ

ras aati hi nahin jab pyar ki shiddat mujhe

ek kami apni mohabbat mein kahin rakkhunga main

maiñ rizq-e-ḳhvāb ho ke bhī usī ḳhayāl meñ rahā

vo kaun hai jo zindagī ke imtihān meñ nahīñ

main rizq-e-KHwab ho ke bhi usi KHayal mein raha

wo kaun hai jo zindagi ke imtihan mein nahin

lauT jaane ijāzat nahīñ dūñgā us ko

koī ab mere ta.āqub meñ agar aatā hai

lauT jaane ki ijazat nahin dunga us ko

koi ab mere taaqub mein agar aata hai

maiñ huuñ magar aaj us galī ke sabhī darīche khule hue haiñ

ki ab maiñ āzād ho chukā huuñ tamām ā.ankhoñ ke dā.eroñ se

main hun magar aaj us gali ke sabhi dariche khule hue hain

ki ab main aazad ho chuka hun tamam aaankhon ke daeron se

ishq par iḳhtiyār hai kis

fā.eda pesh-o-pas meñ kuchh bhī nahīñ

ishq par iKHtiyar hai kis ka

faeda pesh-o-pas mein kuchh bhi nahin

nashāt-e-iz.hār par agarche ravā nahīñ e'tibār karnā

magar ye sach hai ki aadmī surāġh miltā hai guftugū se

nashat-e-izhaar par agarche rawa nahin e'tibar karna

magar ye sach hai ki aadmi ka suragh milta hai guftugu se

mirī virāsat meñ jo bhī kuchh hai vo sab isī dahr ke liye hai

ye rañg ik ḳhvāb ke liye hai ye aag ik shahr ke liye hai

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

ye rang ek KHwab ke liye hai ye aag ek shahr ke liye hai

ye sach hai mil baiThne had tak to kaam aa.ī hai ḳhush-gumānī

magar diloñ meñ ye dostī numūd hai rāhat-e-bayāñ se

ye sach hai mil baiThne ki had tak to kaam aai hai KHush-gumani

magar dilon mein ye dosti ki numud hai rahat-e-bayan se

ye āb-o-tāb isī marhale pe ḳhatm nahīñ

koī charāġh hai is aa.ine se bāhar bhī

ye aab-o-tab isi marhale pe KHatm nahin

koi charagh hai is aaine se bahar bhi

maiñ ek muddat se is jahāñ asiir huuñ aur sochtā huuñ

ye ḳhvāb TūTegā kis qadam par ye rañg chhūTegā kab lahū se

main ek muddat se is jahan ka asir hun aur sochta hun

ye KHwab TuTega kis qadam par ye rang chhuTega kab lahu se

taḌap uThī hai kisī nagar meñ qayām karne se ruuh merī

sulag rahā hai kisī masāfat be-kalī se dimāġh merā

taDap uThi hai kisi nagar mein qayam karne se ruh meri

sulag raha hai kisi masafat ki be-kali se dimagh mera

kisī ne faqr se apne ḳhazāne bhar liye lekin

kisī ne shahryāroñ se bhī sīm-o-zar nahīñ paa.e

kisi ne faqr se apne KHazane bhar liye lekin

kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae

jis qadar mahmez kartā huuñ maiñ 'sājid' vaqt ko

us qadar be-sabr rahne use aadat nahīñ

jis qadar mahmez karta hun main 'sajid' waqt ko

us qadar be-sabr rahne ki use aadat nahin

ye sach hai merī sadā ne raushan kiye haiñ mehrāb par sitāre

magar mirī be-qarār āñkhoñ ne aa.ine ziyāñ kiyā hai

ye sach hai meri sada ne raushan kiye hain mehrab par sitare

magar meri be-qarar aankhon ne aaine ka ziyan kiya hai

matā-e-barg-o-samar vahī hai shabāhat-e-rañg-o-bū vahī hai

khulā ki is baar bhī chaman par giraft-e-dast-e-numū vahī hai

mata-e-barg-o-samar wahi hai shabahat-e-rang-o-bu wahi hai

khula ki is bar bhi chaman par giraft-e-dast-e-numu wahi hai

Recitation

Speak Now