Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Malikzaada Manzoor Ahmad's Photo'

Malikzaada Manzoor Ahmad

1929 - 2016 | Lucknow, India

Famous Urdu personality. Most well-known Mushaira compere and orator.

Famous Urdu personality. Most well-known Mushaira compere and orator.

Sher of Malikzaada Manzoor Ahmad

7.2K
Favorite

SORT BY

unheñ Thahre samundar ne Duboyā

jinheñ tūfāñ andāzā bahut thā

unhen Thahre samundar ne Duboya

jinhen tufan ka andaza bahut tha

ajiib dard rishta hai saarī duniyā meñ

kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe

ajib dard ka rishta hai sari duniya mein

kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe

daur-e-ishrat ne sañvāre haiñ ġhazal ke gesū

fikr ke pahlū magar ġham badaulat aa.e

daur-e-ishrat ne sanware hain ghazal ke gesu

fikr ke pahlu magar gham ki badaulat aae

kaash daulat-e-ġham apne paas bach rahtī

vo bhī un ko de baiThe aisī maat khaa.ī hai

kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti

wo bhi un ko de baiThe aisi mat khai hai

rasm-e-ta.azīm na rusvā ho jaa.e

itnā mat jhukiye ki sajda ho jaa.e

rasm-e-tazim na ruswa ho jae

itna mat jhukiye ki sajda ho jae

khil uThe gul khile dast-e-hinā.ī tere

har taraf hai to phir terā patā kis se kareñ

khil uThe gul ya khile dast-e-hinai tere

har taraf tu hai to phir tera pata kis se karen

chehre pe saare shahr ke gard-e-malāl hai

jo dil haal hai vahī dillī haal hai

chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai

jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai

arz-e-talab par us chup se zāhir hai inkār magar

shāyad vo kuchh soch rahā ho aisā bhī ho saktā hai

arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar

shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai

vahī qātil vahī munsif adālat us vo shāhid

bahut se faisloñ meñ ab taraf-dārī bhī hotī hai

wahi qatil wahi munsif adalat us ki wo shahid

bahut se faislon mein ab taraf-dari bhi hoti hai

zindagī meñ pahle itnī to pareshānī na thī

tañg-dāmānī thī lekin chāk-dāmānī na thī

zindagi mein pahle itni to pareshani na thi

tang-damani thi lekin chaak-damani na thi

kuchh ġham-e-jānāñ kuchh ġham-e-daurāñ donoñ merī zaat ke naam

ek ġhazal mansūb hai us se ek ġhazal hālāt ke naam

kuchh gham-e-jaanan kuchh gham-e-dauran donon meri zat ke nam

ek ghazal mansub hai us se ek ghazal haalat ke nam

raushan chehra bhīgī zulfeñ duuñ kis ko kis par tarjīh

ek qasīda dhuup likkhūñ ek ġhazal barsāt ke naam

raushan chehra bhigi zulfen dun kis ko kis par tarjih

ek qasida dhup ka likkhun ek ghazal barsat ke nam

dariyā ke talātum se to bach saktī hai kashtī

kashtī meñ talātum ho to sāhil na milegā

from the storms of the seas the ship might well survive

but if the storm is in the ship, no shore can then arrive

dariya ke talatum se to bach sakti hai kashti

kashti mein talatum ho to sahil na milega

from the storms of the seas the ship might well survive

but if the storm is in the ship, no shore can then arrive

dīvāna har ik haal meñ dīvāna rahegā

farzāna kahā jaa.e ki dīvāna kahā jaa.e

diwana har ek haal mein diwana rahega

farzana kaha jae ki diwana kaha jae

jin safīnoñ ne kabhī toḌā thā maujoñ ġhurūr

us jagah Duube jahāñ dariyā meñ tuġhyānī na thī

jin safinon ne kabhi toDa tha maujon ka ghurur

us jagah Dube jahan dariya mein tughyani na thi

hāl-e-pareshāñ sun kar merā aañkh meñ us aañsū haiñ

maiñ ne us se jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai

haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain

main ne us se jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai

ab dekh ke apnī sūrat ko ik choT dil par lagtī hai

guzre hue lamhe kahte haiñ ā.īna bhī patthar hotā hai

ab dekh ke apni surat ko ek choT si dil par lagti hai

guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hota hai

be-chehragī bhiiḌ meñ gum hai mirā vajūd

maiñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ mujhe ḳhad-o-ḳhāl de

be-chehragi ki bhiD mein gum hai mera wajud

main KHud ko DhunDhta hun mujhe KHad-o-KHal de

ḳhvāb rishta haqīqat se na joḌā jaa.e

ā.īna hai ise patthar se na toḌā jaa.e

KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae

aaina hai ise patthar se na toDa jae

kyā jāniye kaisī thī vo havā chauñkā na shajar patta na hilā

baiThā thā maiñ jis ke saa.e meñ 'manzūr' vahī dīvār girī

kya jaaniye kaisi thi wo hawa chaunka na shajar patta na hila

baiTha tha main jis ke sae mein 'manzur' wahi diwar giri

dekhoge to har moḌ pe mil jā.eñgī lāsheñ

DhūñDoge to is shahr meñ qātil na milegā

dekhoge to har moD pe mil jaengi lashen

DhunDoge to is shahr mein qatil na milega

na ḳhauf-e-barq na ḳhauf-e-sharar lage hai mujhe

ḳhud apne baaġh ke phūloñ se Dar lage hai mujhe

TRANSLATION

I fear notthe lightening or the ambers,

I am afraid of my own garden’s flowers.

Sagar Akbarabadi

na KHauf-e-barq na KHauf-e-sharar lage hai mujhe

KHud apne bagh ke phulon se Dar lage hai mujhe

TRANSLATION

I fear notthe lightening or the ambers,

I am afraid of my own garden’s flowers.

Sagar Akbarabadi

vaqt shāhid hai ki har daur meñ iisā tarah

ham salīboñ pe liye apnī sadāqat aa.e

waqt shahid hai ki har daur mein isa ki tarah

hum salibon pe liye apni sadaqat aae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now