Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ambareen Haseeb ambar's Photo'

Ambareen Haseeb ambar

1981 | Karachi, Pakistan

A very popular poet of Mushairas from Pakistan

A very popular poet of Mushairas from Pakistan

Sher of Ambareen Haseeb ambar

3.3K
Favorite

SORT BY

duniyā to ham se haath milāne ko aa.ī thī

ham ne e.atibār dobāra nahīñ kiyā

duniya to hum se hath milane ko aai thi

hum ne hi eatibar dobara nahin kiya

faisla bichhaḌne kar liyā hai jab tum ne

phir mirī tamannā kyā phir mirī ijāzat kyuuñ

faisla bichhaDne ka kar liya hai jab tum ne

phir meri tamanna kya phir meri ijazat kyun

ta.alluq jo bhī rakkho soch lenā

ki ham rishta nibhānā jānte haiñ

talluq jo bhi rakkho soch lena

ki hum rishta nibhana jaante hain

ab ke ham ne bhī diyā tark-e-ta.alluq javāb

hoñT ḳhāmosh rahe aañkh ne bārish nahīñ

ab ke hum ne bhi diya tark-e-talluq ka jawab

honT KHamosh rahe aankh ne barish nahin ki

mujh meñ ab maiñ nahīñ rahī baaqī

maiñ ne chāhā hai is qadar tum ko

mujh mein ab main nahin rahi baqi

main ne chaha hai is qadar tum ko

uḌ ga.e saare parinde mausamoñ chaah meñ

intizār un magar būḌhe shajar karte rahe

uD gae sare parinde mausamon ki chah mein

intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe

is aarzī duniyā meñ har baat adhūrī hai

har jiit hai lā-hāsil har maat adhūrī hai

is aarzi duniya mein har baat adhuri hai

har jit hai la-hasil har mat adhuri hai

umr-bhar ke sajdoñ se mil nahīñ sakī jannat

ḳhuld se nikalne ko ik gunāh kaafī hai

umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat

KHuld se nikalne ko ek gunah kafi hai

ham to sunte the ki mil jaate haiñ bichhḌe hue log

jo bichhḌā hai to kyā vaqt ne gardish nahīñ

hum to sunte the ki mil jate hain bichhDe hue log

tu jo bichhDa hai to kya waqt ne gardish nahin ki

tum ne kis kaifiyat meñ muḳhātab kiyā

kaif detā rahā lafz-e-'tū' der tak

tum ne kis kaifiyat mein muKHatab kiya

kaif deta raha lafz-e-'tu' der tak

dhyān meñ aa kar baiTh ga.e ho tum bhī naañ

mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhī naañ

dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan

mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan

ban ke hañsī hoñToñ par bhī rahte ho

ashkoñ meñ bhī tum bahte ho tum bhī naañ

ban ke hansi honTon par bhi rahte ho

ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan

mohabbat aur qurbānī meñ ta.amīr muzmar hai

dar-o-dīvār se ban jaa.e ghar aisā nahīñ hotā

mohabbat aur qurbani mein hi tamir muzmar hai

dar-o-diwar se ban jae ghar aisa nahin hota

kyā jāniye kyā soch ke afsurda huā dil

maiñ ne to koī baat purānī nahīñ likkhī

kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil

main ne to koi baat purani nahin likkhi

jo tum ho to ye kaise maan luuñ maiñ

ki jo kuchh hai yahāñ bas ik gumāñ hai

jo tum ho to ye kaise man lun main

ki jo kuchh hai yahan bas ek guman hai

bhuul jote haiñ musāfir rasta

log kahte haiñ kahānī phir bhī

bhul jote hain musafir rasta

log kahte hain kahani phir bhi

dil jin ko DhūñDhtā hai na-jāne kahāñ ga.e

ḳhvāb-o-ḳhayāl se vo zamāne kahāñ ga.e

dil jin ko DhunDhta hai na-jaane kahan gae

KHwab-o-KHayal se wo zamane kahan gae

vo jañg jis meñ muqābil rahe zamīr mirā

mujhe vo jiit bhī 'amabar' na hogī haar se kam

wo jang jis mein muqabil rahe zamir mera

mujhe wo jit bhi 'amabar' na hogi haar se kam

zindagī meñ kabhī kisī ko bhī

maiñ ne chāhā nahīñ magar tum ko

zindagi mein kabhi kisi ko bhi

main ne chaha nahin magar tum ko

kyā ḳhuub tamāsha hai ye kār-gah-e-hastī

har jism salāmat hai har zaat adhūrī hai

kya KHub tamasha hai ye kar-gah-e-hasti

har jism salamat hai har zat adhuri hai

tire firāq meñ dil ajiib aalam hai

na kuchh ḳhumār se baḌh kar na kuchh ḳhumār se kam

tere firaq mein dil ka ajib aalam hai

na kuchh KHumar se baDh kar na kuchh KHumar se kam

ik hasīñ ḳhvāb ki āñkhoñ se nikaltā nahīñ

ek vahshat hai ki ta.abīr huī jaatī hai

ek hasin KHwab ki aankhon se nikalta hi nahin

ek wahshat hai ki tabir hui jati hai

tash.hīr to maqsūd nahīñ qissa-e-dil

so tujh ko likhā terī nishānī nahīñ likkhī

tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki

so tujh ko likha teri nishani nahin likkhi

ayaañ donoñ se takmīl-e-jahāñ hai

zamīñ gum ho to phir kyā āsmāñ hai

ayan donon se takmil-e-jahan hai

zamin gum ho to phir kya aasman hai

lafz hurmat muqaddam hai dil-o-jāñ se mujhe

sach ta.āruf hai mire har sher har tahrīr

lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe

sach taaruf hai mere har sher har tahrir ka

mānūs bām-o-dar se nazar pūchhtī rahī

un meñ base vo log purāne kahāñ ga.e

manus baam-o-dar se nazar puchhti rahi

un mein base wo log purane kahan gae

ai āsmāñ kis liye is darja barhamī

ham ne to tirī samt ishārā nahīñ kiyā

ai aasman kis liye is darja barhami

hum ne to teri samt ishaara nahin kiya

pairvī se mumkin hai kab rasā.ī manzil tak

naqsh-e-pā miTāne ko gard-e-rāh kaafī hai

pairwi se mumkin hai kab rasai manzil tak

naqsh-e-pa miTane ko gard-e-rah kafi hai

hazār ḳhauf musallat rahe haiñ insāñ par

magar hameñ to hamī se Darā diyā gayā hai

hazar KHauf musallat rahe hain insan par

magar hamein to hami se Dara diya gaya hai

tumhārī yaad chehra hamāre dard rang

nikhar ga.e haiñ sabhī ashk-bār hone se

tumhaari yaad ka chehra hamare dard ka rang

nikhar gae hain sabhi ashk-bar hone se

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now