Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Irfani's Photo'

Anjum Irfani

1937 | Balrampur, India

Sher of Anjum Irfani

1.8K
Favorite

SORT BY

charāg chāñd shafaq shaam phuul jhiil sabā

churā.īñ sab ne kuchh kuchh shabāhateñ terī

charag chand shafaq sham phul jhil saba

churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri

ham fanā-nasīboñ ko aur kuchh nahīñ aatā

ḳhuuñ sharāb kar lenā jism jaam kar lenā

hum fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata

KHun sharab kar lena jism jam kar lena

koī purānā ḳhat kuchh bhūlī-bisrī yaad

zaḳhmoñ par vo lamhe marham hote haiñ

koi purana KHat kuchh bhuli-bisri yaad

zaKHmon par wo lamhe marham hote hain

safar meñ har qadam rah rah ke ye taklīf dete

bahar-sūrat hameñ in ābloñ ko phoḌ denā thā

safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete

bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha

tesha-ba-kaf ko ā.ina-gar kah diyā gayā

jo aib thā use bhī hunar kah diyā gayā

tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya

jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya

lahje ras hañsī dhanak chhoḌ kar gayā

vo jaate jaate dil meñ kasak chhoḌ kar gayā

lahje ka ras hansi ki dhanak chhoD kar gaya

wo jate jate dil mein kasak chhoD kar gaya

adā huā na kabhī mujh se ek sajda-e-shukr

maiñ kis zabāñ se karūñgā shikāyateñ terī

ada hua na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr

main kis zaban se karunga shikayaten teri

udhar sach bolne ghar se koī dīvāna niklegā

udhar maqtal meñ istiqbāl tayyāriyāñ hoñgī

udhar sach bolne ghar se koi diwana niklega

udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyariyan hongi

sar-e-rāh mil ke bichhaḌ ga.e thā bas ek pal vo hādsa

mire sehn-e-dil meñ muqīm hai vahī ek lamha azaab

sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa

mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka

is ne dekhā hai sar-e-bazm sitamgar tarah

phuul pheñkā bhī mirī samt to patthar tarah

is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah

phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah

lauT kar yaqīnan maiñ ek roz ā.ūñgā

palkoñ pe charāġhoñ ehtimām kar lenā

lauT kar yaqinan main ek roz aaunga

palkon pe charaghon ka ehtimam kar lena

ābādiyoñ meñ kaise darinde ghus aa.e haiñ

maqtal galī galī hai har ik ghar lahū lahū

aabaadiyon mein kaise darinde ghus aae hain

maqtal gali gali hai har ek ghar lahu lahu

lamhe lamhe meñ huā jaatā huuñ reza reza

vaj.h kuchh mujh se na pūchho mire rab se pūchho

lamhe lamhe mein hua jata hun reza reza

wajh kuchh mujh se na puchho mere rab se puchho

aayā thā pichhlī raat dabe paañv mere ghar

pāzeb ragoñ meñ jhanak chhoḌ kar gayā

aaya tha pichhli raat dabe panw mere ghar

pazeb ki ragon mein jhanak chhoD kar gaya

mirī nazar meñ aa gayā hai jab se ik sahīfa-ruḳh

kashish rahī na dil meñ ab kisī kitāb ke liye

meri nazar mein aa gaya hai jab se ek sahifa-ruKH

kashish rahi na dil mein ab kisi kitab ke liye

yak-ba-yak jaañ se guzarnā to hai āsāñ 'anjum'

qatra qatra ka.ī qistoñ meñ pighal kar dekheñ

yak-ba-yak jaan se guzarna to hai aasan 'anjum'

qatra qatra kai qiston mein pighal kar dekhen

baat kuchh hogī yaqīnan jo ye hote haiñ nisār

ham bhī ik roz kisī sham.a pe jal kar dekheñ

baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar

hum bhi ek roz kisi shama pe jal kar dekhen

kyā ajab hai ki ye muTThī meñ hamārī aa jaa.e

āsmāñ taraf ik baar uchhal kar dekheñ

kya ajab hai ki ye muTThi mein hamari aa jae

aasman ki taraf ek bar uchhal kar dekhen

yaad hai qissa-e-ġham mujhe har lafz abhī

haal jis dard jis rañj jab se pūchho

yaad hai qissa-e-gham ka mujhe har lafz abhi

haal jis dard ka jis ranj ka jab se puchho

muTThī se phisle jaate haiñ har phal

vasl ke lamhe tār-e-resham hote haiñ

muTThi se phisle hi jate hain har phal

wasl ke lamhe tar-e-resham hote hain

palkoñ pe jugnuoñ baserā hai vaqt-e-shām

'anjum' maiñ pāniyoñ meñ chamak chhoḌ kar gayā

palkon pe jugnuon ka basera hai waqt-e-sham

'anjum' main paniyon mein chamak chhoD kar gaya

dard-e-dil bāñTtā aayā hai zamāne ko jo ab tak 'anjum'

kuchh huā yuuñ ki vahī dard se do-chār huā chāhtā hai

dard-e-dil banTta aaya hai zamane ko jo ab tak 'anjum'

kuchh hua yun ki wahi dard se do-chaar hua chahta hai

har chehra har rañg meñ aane lagtā hai

pesh-e-nazar yādoñ ke albam hote haiñ

har chehra har rang mein aane lagta hai

pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now