Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Hamid Madni's Photo'

Aziz Hamid Madni

1922 - 1991 | Karachi, Pakistan

One of the stalwarts of new Urdu ghazal in Pakistan. Some of his ghazals have been put to music.

One of the stalwarts of new Urdu ghazal in Pakistan. Some of his ghazals have been put to music.

Sher of Aziz Hamid Madni

955
Favorite

SORT BY

jo baat dil meñ thī us se nahīñ kahī ham ne

vafā ke naam se vo bhī fareb khā jaatā

jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne

wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata

merī vafā hai us udāsī ek baab

muddat huī hai jis se mujhe ab mile hue

meri wafa hai us ki udasi ka ek bab

muddat hui hai jis se mujhe ab mile hue

ḳhuuñ huā dil ki pashīmān-e-sadāqat hai vafā

ḳhush huā ki chalo aaj tumhāre hue log

KHun hua dil ki pashiman-e-sadaqat hai wafa

KHush hua ji ki chalo aaj tumhaare hue log

Tilism-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā o dām-e-barda-farosh

hazār tarah ke qisse safar meñ hote haiñ

Tilism-e-KHwab-e-zuleKHa o dam-e-barda-farosh

hazar tarah ke qisse safar mein hote hain

maanā ki zindagī meñ hai zid bhī ik maqām

tum aadmī ho baat to sun lo ḳhudā nahīñ

mana ki zindagi mein hai zid ka bhi ek maqam

tum aadmi ho baat to sun lo KHuda nahin

ḳhudā shukr hai ne bhī maan mirī baat

rafū purāne dukhoñ par nahīñ kiyā jaatā

KHuda ka shukr hai tu ne bhi man li meri baat

rafu purane dukhon par nahin kiya jata

vo log jin se tirī bazm meñ the hañgāme

ga.e to kyā tirī bazm-e-ḳhayāl se bhī ga.e

wo log jin se teri bazm mein the hangame

gae to kya teri bazm-e-KHayal se bhi gae

ġham-e-hayāt o ġham-e-dost kashākash meñ

ham aise log to rañj-o-malāl se bhī ga.e

gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein

hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae

kuchh ab ke ham bhī kaheñ us dāstān-e-visāl

magar vo zulf-e-pareshāñ khule to baat chale

kuchh ab ke hum bhi kahen us ki dastan-e-visal

magar wo zulf-e-pareshan khule to baat chale

kah sakte to ahvāl-e-jahāñ tum se kahte

tum se to kisī baat pardā bhī nahīñ thā

kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte

tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha

ḳhalal-pazīr huā rabt-e-mehr-o-māh meñ vaqt

batā ye tujh se judā.ī vaqt hai ki nahīñ

KHalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt

bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin

sub.h se chalte chalte āḳhir shaam huī āvāra-e-dil

ab maiñ kis manzil meñ pahuñchā ab ghar kitnī duur rahā

subh se chalte chalte aaKHir sham hui aawara-e-dil

ab main kis manzil mein pahuncha ab ghar kitni dur raha

alag siyāsat-e-darbāñ se dil meñ hai ik baat

ye vaqt merī rasā.ī vaqt hai ki nahīñ

alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat

ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin

baiTho bojh utāreñ donoñ vaqt yahīñ milte haiñ

duur duur se aane vaale raste kahīñ kahīñ milte haiñ

baiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain

dur dur se aane wale raste kahin kahin milte hain

kāzib sahāfatoñ bujhī raakh ke tale

jhulsā huā milegā varaq-dar-varaq adab

kazib sahafaton ki bujhi rakh ke tale

jhulsa hua milega waraq-dar-waraq adab

bahār chāk-e-girebāñ meñ Thahr jaatī hai

junūñ mauj koī āstīñ meñ hotī hai

bahaar chaak-e-gireban mein Thahr jati hai

junun ki mauj koi aastin mein hoti hai

zahr jaam de zahr bhī hai āb-e-hayāt

ḳhushk-sālī to ho jaa.e talāfī saaqī

zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat

KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi

abhī to kuchh log zindagī meñ hazār sāyoñ ik shajar haiñ

unhīñ ke sāyoñ meñ qāfile kuchh Thahar ga.e be-qayām kahnā

abhi to kuchh log zindagi mein hazar sayon ka ek shajar hain

unhin ke sayon mein qafile kuchh Thahar gae be-qayam kahna

do gaz zamīñ fareb-e-vatan ke liye milī

vaise to āsmāñ bhī bahut haiñ zamīñ bahut

do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili

waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut

shahr jin ke naam se zinda thā vo sab uTh ga.e

ik ishāre se talab kartā hai vīrāna mujhe

shahr jin ke nam se zinda tha wo sab uTh gae

ek ishaare se talab karta hai virana mujhe

gahre surḳh gulāb andhā bulbul saañp ko kyā dekhegā

paas ugtī nāg-phanī thī saare phuul vahīñ milte haiñ

gahre surKH gulab ka andha bulbul sanp ko kya dekhega

pas hi ugti nag-phani thi sare phul wahin milte hain

diloñ uqda-kushā.ī vaqt hai ki nahīñ

ye aadmī ḳhudā.ī vaqt hai ki nahīñ

dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin

ye aadmi ki KHudai ka waqt hai ki nahin

khulā ye dil pe ki tāmīr-e-bām-o-dar hai fareb

bagūle qālib-e-dīvār-o-dar meñ hote haiñ

khula ye dil pe ki tamir-e-baam-o-dar hai fareb

bagule qalib-e-diwar-o-dar mein hote hain

husn shart-e-vafā jo Thahrī tesha o sañg-e-girāñ baat

ham hoñ farhād ho āḳhir āshiq to mazdūr rahā

husn ki shart-e-wafa jo Thahri tesha o sang-e-giran ki baat

hum hon ya farhad ho aaKHir aashiq to mazdur raha

sulag rahā hai ufuq bujh rahī hai ātish-e-mahr

rumūz-e-rabt-e-gurezāñ khule to baat chale

sulag raha hai ufuq bujh rahi hai aatish-e-mahr

rumuz-e-rabt-e-gurezan khule to baat chale

narmī havā mauj-e-tarab-ḳhez abhī se hai

ai ham-safīr ātish-e-gul tez abhī se hai

narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai

ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai

mahak meñ zahr ik lahr bhī ḳhvābīda rahtī hai

zideñ aapas meñ Takrātī haiñ farq-e-mār-o-sandal kar

mahak mein zahr ki ek lahr bhi KHwabida rahti hai

ziden aapas mein Takraati hain farq-e-mar-o-sandal kar

vaqt vo ḳhat-e-fāsil hai ki ai ham-nafaso

duur hai mauj-e-balā aur kināre hue log

waqt hi wo KHat-e-fasil hai ki ai ham-nafaso

dur hai mauj-e-bala aur kinare hue log

un ko ai narm havā ḳhvāb-e-junūñ se na jagā

raat mai-ḳhāne aa.e haiñ guzāre hue log

un ko ai narm hawa KHwab-e-junun se na jaga

raat mai-KHane ki aae hain guzare hue log

tilism-e-sheva-e-yārāñ khulā to kuchh na huā

kabhī ye habs-e-dil-o-jāñ khule to baat chale

tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua

kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale

sadiyoñ meñ ke bantā hai āḳhir mizāj-e-dahr

'madnī' koī taġhayyur-e-ālam hai be-sabab

sadiyon mein ja ke banta hai aaKHir mizaj-e-dahr

'madni' koi taghayyur-e-alam hai be-sabab

aisī koī ḳhabar to nahīñ sākinān-e-shahr

dariyā mohabbatoñ ke jo bahte the tham ga.e

aisi koi KHabar to nahin sakinan-e-shahr

dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae

mub.ham se ek ḳhvāb ta.abīr hai shauq

nīndoñ meñ bādaloñ safar tez abhī se hai

mubham se ek KHwab ki tabir ka hai shauq

nindon mein baadalon ka safar tez abhi se hai

vafā raat koī ittifāq thī lekin

pukārte haiñ musāfir ko sā.ebāñ kyā kyā

wafa ki raat koi ittifaq thi lekin

pukarte hain musafir ko saeban kya kya

mirā chāk-e-girebāñ chāk-e-dil se milne vaalā hai

magar ye hādse bhī besh o kam hote rahte haiñ

mera chaak-e-gireban chaak-e-dil se milne wala hai

magar ye hadse bhi besh o kam hote hi rahte hain

jab aa.ī sā.at-e-be-tāb terī be-libāsī

to ā.īne meñ jitne zāviye the rah ga.e jal kar

jab aai saat-e-be-tab teri be-libasi ki

to aaine mein jitne zawiye the rah gae jal kar

ek taraf rū-e-jānāñ thā jaltī aañkh meñ ek taraf

sayyāroñ raakh meñ miltī raat thī ik bedārī

ek taraf ru-e-jaanan tha jalti aankh mein ek taraf

sayyaron ki rakh mein milti raat thi ek bedari ki

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now