Sher of Dattatriya Kaifi
tū dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid
mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid
mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta
-
Tag : Qasid
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ma.alūm hai va.ade kī haqīqat
bahlā lete haiñ apne jī ko
malum hai wade ki haqiqat
bahla lete hain apne ji ko
ishq ne jis dil pe qabza kar liyā
phir kahāñ us meñ nashāt o ġham rahe
ishq ne jis dil pe qabza kar liya
phir kahan us mein nashat o gham rahe
koī dil-lagī dil lagānā nahīñ hai
qayāmat hai ye dil kā aanā nahīñ hai
koi dil-lagi dil lagana nahin hai
qayamat hai ye dil ka aana nahin hai
-
Tag : Dil-lagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vafā par daġhā sulh meñ dushmanī hai
bhalā.ī kā hargiz zamāna nahīñ hai
wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai
dair o kaaba meñ bhaTakte phir rahe haiñ raat din
DhūñDhne se bhī to bandoñ ko ḳhudā miltā nahīñ
dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uljhā hī rahne do zulfoñ ko sanam
jo na khul jaa.eñ bharam achchhe haiñ
uljha hi rahne do zulfon ko sanam
jo na khul jaen bharam achchhe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
urdu hai jis kā naam hamārī zabān hai
duniyā kī har zabān se pyārī zabān hai
urdu hai jis ka nam hamari zaban hai
duniya ki har zaban se pyari zaban hai
ik ḳhvāb kā ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise
hai is meñ ik tilism tamannā kaheñ jise
ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise
hai is mein ek tilism tamanna kahen jise
-
Tag : Duniya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nafs ko maar kar mile jannat
ye sazā qābil-e-qayās nahīñ
nafs ko mar kar mile jannat
ye saza qabil-e-qayas nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ aao mire pahlū meñ tum ghar se nikal kar
bū aatī hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar
yun aao mere pahlu mein tum ghar se nikal kar
bu aati hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar
sach hai in donoñ kā hai ik aalam
merī tanhā.ī terī yaktā.ī
sach hai in donon ka hai ek aalam
meri tanhai teri yaktai
talḳh kahte the lo ab pī ke to bolo zāhid
haath aa.e idhar ustād mazā hai ki nahīñ
talKH kahte the lo ab pi ke to bolo zahid
hath aae idhar ustad maza hai ki nahin
vo kahā karte haiñ koThoñ chaḌhī hoñToñ niklī
dil meñ hī rakhnā jo kal raat huā koThe par
wo kaha karte hain koThon chaDhi honTon nikli
dil mein hi rakhna jo kal raat hua koThe par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahne ko to kah ga.e ho sab kuchh
ab koī javāb de to kyā ho
kahne ko to kah gae ho sab kuchh
ab koi jawab de to kya ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ dahr kā vajūd
'kaifī' ye baat vo hai muammā kaheñ jise
sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud
'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise
-
Tag : Duniya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo chashm-e-dil-rubā ke vasf meñ ash.ār likhtā huuñ
to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte haiñ
jo chashm-e-dil-ruba ke wasf mein ashaar likhta hun
to har har lafz par ahl-e-nazar ek sad karte hain
bol uThtī kabhī chiḌiyā jo tirī añgiyā kī
ḳhush-navā.ī kī na yuuñ jīt.tī bulbul paalī
bol uThti kabhi chiDiya jo teri angiya ki
KHush-nawai ki na yun jitti bulbul pali
DhūñDhne se yuuñ to is duniyā meñ kyā miltā nahīñ
sach agar pūchho to sachchā āshnā miltā nahīñ
DhunDhne se yun to is duniya mein kya milta nahin
sach agar puchho to sachcha aashna milta nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum se ab kyā kaheñ vo chiiz hai dāġh-e-ġham-e-ishq
ki chhupā.e na chhupe aur dikhā.e na bane
tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq
ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sail-e-girya kī badaulat ye huā ghar kā haal
ḳhaak tak bhī na milī bahar-e-tayammum mujh ko
sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal
KHak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rahne de zikr-e-ḳham-e-zulf-e-musalsal ko nadīm
us ke to dhyān se bhī hotā hai dil ko uljhāo
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyan se bhi hota hai dil ko uljhao
hāl-e-dil likhte na logoñ kī zabāñ meñ paḌte
vaj.h-e-añgusht-numā.ī ye qalam hai ham ko
haal-e-dil likhte na logon ki zaban mein paDte
wajh-e-angusht-numai ye qalam hai hum ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uqda-e-qismat nahīñ khultā mirā
ye bhī tirā band-e-qabā ho gayā
uqda-e-qismat nahin khulta mera
ye bhi tera band-e-qaba ho gaya
yā ilāhī mujh ko ye kyā ho gayā
dostī kā terī saudā ho gayā
ya ilahi mujh ko ye kya ho gaya
dosti ka teri sauda ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vuzū hotā hai yaañ to shaiḳh usī āb-e-gulābī se
tayammum ke liye tum ḳhaak jā kar dasht meñ phāñkoñ
wuzu hota hai yan to shaiKH usi aab-e-gulabi se
tayammum ke liye tum KHak ja kar dasht mein phankon
ḳhabar kise sub.h-o-shām kī hai ta.a.īnāt aur quyūd kaise
namāz kis kī vahāñ kisī ko ḳhayāl tak bhī nahīñ vuzū kā
KHabar kise subh-o-sham ki hai tainat aur quyud kaise
namaz kis ki wahan kisi ko KHayal tak bhi nahin wuzu ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mo.ajiza hazrat-e-īsā kā thā be-shubah durust
ki maiñ duniyā se gayā uTh jo kahā qum mujh ko
moajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust
ki main duniya se gaya uTh jo kaha qum mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dam ġhanīmat hai sāliko merā
jaras-e-daur kī sadā huuñ maiñ
dam ghanimat hai saliko mera
jaras-e-daur ki sada hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai aks-e-ā.ina dil meñ kisī bilqīs-e-sānī kā
tasavvur hai mirā ustād bahzād aur maanī kā
hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka
tasawwur hai mera ustad bahzad aur mani ka
jo dil-o-īmāñ na deñ nazrāñ butoñ ko dekh kar
yā ḳhudā vo log is duniyā meñ aa.e kis liye
jo dil-o-iman na den nazran buton ko dekh kar
ya KHuda wo log is duniya mein aae kis liye
asl vahdat kī binā hai adam-e-ġhairiyyat
us kā jab rañg jamā ġhair ko apnā jaanā
asl wahdat ki bina hai adam-e-ghairiyyat
us ka jab rang jama ghair ko apna jaana
bādbānoñ meñ bharī hai is ke kyā bād-e-nafas
kashti-e-umr-e-ravāñ ko taab lañgar kī nahīñ
baadbanon mein bhari hai is ke kya baad-e-nafas
kashti-e-umr-e-rawan ko tab langar ki nahin
sham.a-rūoñ kī mohabbat kā jo dam bharte haiñ
ek muddat vo abhī bai.at-e-parvāna kareñ
shama-ruon ki mohabbat ka jo dam bharte hain
ek muddat wo abhi baiat-e-parwana karen
vasl kā kartā huuñ jab zikr un se
ik tabassum tah-e-lab karte haiñ
wasl ka karta hun jab zikr un se
ek tabassum tah-e-lab karte hain