Sher of Habeeb Moosavi
dil meñ bharī hai ḳhaak meñ milne kī aarzū
ḳhākistarī huā hai hamārī qabā kā rañg
dil mein bhari hai KHak mein milne ki aarzu
KHakistari hua hai hamari qaba ka rang
mai-kada hai shaiḳh sāhab ye koī masjid nahīñ
aap shāyad aa.e haiñ rindoñ ke bahkā.e hue
mai-kada hai shaiKH sahab ye koi masjid nahin
aap shayad aae hain rindon ke bahkae hue
dil liyā hai to ḳhudā ke liye kah do sāhab
muskurāte ho tumhīñ par mirā shak jaatā hai
dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab
muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai
-
Tag : Dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
guloñ kā daur hai bulbul maze bahār meñ luuT
ḳhizāñ machāegī aate hī is dayār meñ luuT
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
mai-kade ko jā ke dekh aa.uuñ ye hasrat dil meñ hai
zāhid us miTTī kī ulfat merī āb-o-gil meñ hai
mai-kade ko ja ke dekh aaun ye hasrat dil mein hai
zahid us miTTi ki ulfat meri aab-o-gil mein hai
qadmoñ pe Dar ke rakh diyā sar taaki uTh na jaa.eñ
nārāz dil-lagī meñ jo vo ik zarā hue
qadmon pe Dar ke rakh diya sar taki uTh na jaen
naraaz dil-lagi mein jo wo ek zara hue
jo le lete ho yuuñ har ek kā dil bātoñ bātoñ meñ
batāo sach ye chālākī tumheñ kis ne sikhā.ī thī
jo le lete ho yun har ek ka dil baaton baaton mein
batao sach ye chaalaki tumhein kis ne sikhai thi
jā sake na masjid tak jam.a the bahut zāhid
mai-kade meñ aa baiThe jab na rāstā paayā
ja sake na masjid tak jama the bahut zahid
mai-kade mein aa baiThe jab na rasta paya
lab-e-jāñ-baḳhsh tak jā kar rahe mahrūm bosa se
ham is paanī ke pyāse the jo taḌpātā hai sāhil par
lab-e-jaan-baKHsh tak ja kar rahe mahrum bosa se
hum is pani ke pyase the jo taDpata hai sahil par
bahut dinoñ meñ vo aa.e haiñ vasl kī shab hai
mo.azzin aaj na yārab uThe azaañ ke liye
bahut dinon mein wo aae hain wasl ki shab hai
moazzin aaj na yarab uThe azan ke liye
zabāñ par tirā naam jab aa gayā
to girte ko dekhā sambhalte hue
zaban par tera nam jab aa gaya
to girte ko dekha sambhalte hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rindoñ ko va.az pand na kar fasl-e-gul meñ shaiḳh
aisā na ho sharāb uḌe ḳhānqāh meñ
rindon ko waz pand na kar fasl-e-gul mein shaiKH
aisa na ho sharab uDe KHanqah mein
dasht-o-sahrā meñ hasīñ phirte haiñ ghabrā.e hue
āj-kal ḳhāna-e-ummīd hai vīrāñ kis kā
dasht-o-sahra mein hasin phirte hain ghabrae hue
aaj-kal KHana-e-ummid hai viran kis ka
chāñdnī chhuptī hai takyoñ ke tale āñkhoñ meñ ḳhvāb
sone meñ un kā dupaTTa jo sarak jaatā hai
chandni chhupti hai takyon ke tale aankhon mein KHwab
sone mein un ka dupaTTa jo sarak jata hai
karo bāteñ haTāo aa.ina bas ban chuke gesū
inhīñ jhagḌoñ hī meñ us din bhī kitnī raat aa.ī thī
karo baaten haTao aaina bas ban chuke gesu
inhin jhagDon hi mein us din bhi kitni raat aai thi
butān-e-sarv-qāmat kī mohabbat meñ na phal paayā
riyāzat jin pe kī barsoñ vo naḳhl-e-be-samar nikle
butan-e-sarw-qamat ki mohabbat mein na phal paya
riyazat jin pe ki barson wo naKHl-e-be-samar nikle
sham.a kā shāna-e-iqbāl hai taufīq-e-karam
ġhuncha gul hote hī ḳhud sāhab-e-zar hotā hai
shama ka shana-e-iqbaal hai taufiq-e-karam
ghuncha gul hote hi KHud sahab-e-zar hota hai
ye sābit hai ki mutlaq kā ta.ayyun ho nahīñ saktā
vo sālik hī nahīñ jo chal ke tā-dair-o-haram Thahre
ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre
-
Tag : Dair-o-Haram
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fasl-e-gul aa.ī uThā abr chalī sard huā
sū-e-mai-ḳhāna akaḌte hue mai-ḳhvār chale
fasl-e-gul aai uTha abr chali sard hua
su-e-mai-KHana akaDte hue mai-KHwar chale
ḳhudā kare kahīñ mai-ḳhāne kī taraf na muḌe
vo mohtasib kī savārī fareb-e-rāh rukī
KHuda kare kahin mai-KHane ki taraf na muDe
wo mohtasib ki sawari fareb-e-rah ruki
ġhurbat bas ab tarīq-e-mohabbat ko qat.a kar
muddat huī hai ahl-e-vatan se judā hue
ghurbat bas ab tariq-e-mohabbat ko qata kar
muddat hui hai ahl-e-watan se juda hue
tālib-e-bosa huuñ maiñ qāsid vo haiñ ḳhvāhān-e-jān
ye zarā sī baat hai milte hī tai ho jā.egī
talib-e-bosa hun main qasid wo hain KHwahan-e-jaan
ye zara si baat hai milte hi tai ho jaegi
hazrat-e-vā.iz na aisā vaqt haath aa.egā phir
sab haiñ be-ḳhud tum bhī pī lo kuchh agar shīshe meñ hai
hazrat-e-waiz na aisa waqt hath aaega phir
sab hain be-KHud tum bhi pi lo kuchh agar shishe mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pilā saaqī mai-e-gul-rañg phir kaalī ghaTā aa.ī
chhupāne ko gunah mastoñ ke ka.abe kī ridā aa.ī
pila saqi mai-e-gul-rang phir kali ghaTa aai
chhupane ko gunah maston ke kabe ki rida aai
thoḌī thoḌī raah meñ pī leñge gar kam hai to kyā
duur hai mai-ḳhāna ye zād-e-safar shīshe meñ hai
thoDi thoDi rah mein pi lenge gar kam hai to kya
dur hai mai-KHana ye zad-e-safar shishe mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nāseh ye va.az-o-pand hai bekār jā.egā
ham se bhī bāda-kash haiñ kahīñ pārsā hue
naseh ye waz-o-pand hai bekar jaega
hum se bhi baada-kash hain kahin parsa hue
kasī haiñ bhabtiyāñ masjid meñ rīsh-e-vā.iz par
kahīñ na merī tabī.at ḳhudā gavāh rukī
kasi hain bhabtiyan masjid mein rish-e-waiz par
kahin na meri tabiat KHuda gawah ruki
jab ki vahdat hai bā.is-e-kasrat
ek hai sab kā rāstā vaa.iz
jab ki wahdat hai bais-e-kasrat
ek hai sab ka rasta waiz
tīra-baḳhtī kī balā se yuuñ nikalnā chāhiye
jis tarah suljhā ke zulfoñ ko alag shāna huā
tira-baKHti ki bala se yun nikalna chahiye
jis tarah suljha ke zulfon ko alag shana hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
asal sābit hai vahī shar.a kā ik parda hai
daane tasbīh ke sab phirte haiñ zunnāroñ par
asal sabit hai wahi shara ka ek parda hai
dane tasbih ke sab phirte hain zunnaron par
kisī sūrat se huī kam na hamārī tashvīsh
jab baḌhī dil se to āfāq meñ phailī tashvīsh
kisi surat se hui kam na hamari tashwish
jab baDhi dil se to aafaq mein phaili tashwish
tezī-e-bāda kujā talḳhī-e-guftār kujā
kund hai nashtar-e-sāqī se sinān-e-vā.iz
tezi-e-baada kuja talKHi-e-guftar kuja
kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā huā vīrāñ kiyā gar mohtasib ne mai-kada
jam.a phir kal shaam tak har ek shai ho jā.egī
kya hua viran kiya gar mohtasib ne mai-kada
jama phir kal sham tak har ek shai ho jaegi
terā kūcha hai vo ai but ki hazāroñ zāhid
Daal ke sub.ha meñ yaañ rishta-e-zunnār chale
tera kucha hai wo ai but ki hazaron zahid
Dal ke subha mein yan rishta-e-zunnar chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ aatī haiñ ab mere tanaffus kī sadā.eñ
jis tarah se detā hai koī nauhagar āvāz
yun aati hain ab mere tanaffus ki sadaen
jis tarah se deta hai koi nauhagar aawaz
barahman shaiḳh ko kar de nigāh-e-nāz us but kī
gulū-e-zohd meñ tār-e-nazar zunnār ban jaa.e
barahman shaiKH ko kar de nigah-e-naz us but ki
gulu-e-zohd mein tar-e-nazar zunnar ban jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jalva-gar dil meñ ḳhayāl-e-āriz-e-jānāna thā
ghar kī zīnat thī ki zīnat-baḳhsh sāhab-ḳhāna thā
jalwa-gar dil mein KHayal-e-ariz-e-jaanana tha
ghar ki zinat thi ki zinat-baKHsh sahab-KHana tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
likh kar muqatta.āt meñ diiñ un ko arziyāñ
jo dā.ere the kāsa-e-dast-e-gadā hue
likh kar muqattaat mein din un ko arziyan
jo daere the kasa-e-dast-e-gada hue
mohtasib tū ne kiyā gar jām-e-sahbā paash paash
jubba-o-ammāma ham kar deñge saarā paash paash
mohtasib tu ne kiya gar jam-e-sahba pash pash
jubba-o-ammama hum kar denge sara pash pash