Sher of Joshish Azimabadi
dhyān meñ us ke fanā ho kar koī muñh dekh le
dil vo ā.īna nahīñ jo har koī muñh dekh le
dhyan mein us ke fana ho kar koi munh dekh le
dil wo aaina nahin jo har koi munh dekh le
ahvāl dekh kar mirī chashm-e-pur-āb kā
dariyā se aaj TuuT gayā dil habāb kā
ahwal dekh kar meri chashm-e-pur-ab ka
dariya se aaj TuT gaya dil habab ka
us ke ruḳhsār par kahāñ hai zulf
shola-e-husn kā dhuāñ hai zulf
us ke ruKHsar par kahan hai zulf
shola-e-husn ka dhuan hai zulf
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahīñ
hogā ġhazab jo paḌ ga.ī us kī nazar kahīñ
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahin
hoga ghazab jo paD gai us ki nazar kahin
kis tarah tujh se mulāqāt mayassar hove
ye duā-go tirā ne zor na zar rakhtā hai
kis tarah tujh se mulaqat mayassar howe
ye dua-go tera ne zor na zar rakhta hai
tujh se ham-bazm hoñ nasīb kahāñ
tū kahāñ aur maiñ ġharīb kahāñ
tujh se ham-bazm hon nasib kahan
tu kahan aur main gharib kahan
bhuul jaatā huuñ maiñ ḳhudā.ī ko
us se jab raam raam hotī hai
bhul jata hun main KHudai ko
us se jab ram ram hoti hai
ye sach hai ki auroñ hī ko tum yaad karoge
mere dil-e-nāshād ko kab shaad karoge
ye sach hai ki auron hi ko tum yaad karoge
mere dil-e-nashad ko kab shad karoge
allāh tā-qayāmat tujh ko rakhe salāmat
kyā kyā sitam na dekhe ham ne tire karam se
allah ta-qayamat tujh ko rakhe salamat
kya kya sitam na dekhe hum ne tere karam se
husn aur ishq kā mazkūr na hove jab tak
mujh ko bhātā nahīñ sunñā kisī afsāne kā
husn aur ishq ka mazkur na howe jab tak
mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka
jo āñkhoñ meñ phirtā hai phire āñkhoñ ke aage
āsān ḳhudā kar de ye dushvār mohabbat
jo aankhon mein phirta hai phire aankhon ke aage
aasan KHuda kar de ye dushwar mohabbat
phirte haiñ ka.ī qais se hairān o pareshān
is ishq kī sarkār meñ bahbūd nahīñ hai
phirte hain kai qais se hairan o pareshan
is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai zulf-e-yār tujh se bhī āshufta-tar huuñ maiñ
mujh sā na koī hogā pareshān-e-rozgār
ai zulf-e-yar tujh se bhi aashufta-tar hun main
mujh sa na koi hoga pareshan-e-rozgar
dāġh-e-jigar kā apne ahvāl kyā sunā.ūñ
bharte haiñ us ke aage sham-o-charāġh paanī
dagh-e-jigar ka apne ahwal kya sunaun
bharte hain us ke aage sham-o-charagh pani
hamāre sher ko sun kar sukūt ḳhuub nahīñ
bayān kījiye is meñ jo kuchh ta.ammul ho
hamare sher ko sun kar sukut KHub nahin
bayan kijiye is mein jo kuchh tammul ho
sajda jise kareñ haiñ vo har-sū hai jalva-gar
jīdhar tirā mizāj ho ūdhar namāz kar
sajda jise karen hain wo har-su hai jalwa-gar
jidhar tera mizaj ho udhar namaz kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kufr par mat ta.an kar ai shaiḳh mere rū-ba-rū
mujh ko hai ma.alūm kaifiyyat tire islām kī
kufr par mat tan kar ai shaiKH mere ru-ba-ru
mujh ko hai malum kaifiyyat tere islam ki
ta.ana-zan kufr pe hotā hai abas ai zāhid
but-parastī hai tire zohd-e-riyā se behtar
tana-zan kufr pe hota hai abas ai zahid
but-parasti hai tere zohd-e-riya se behtar
ham ko to yaad nahīñ ham pe jo guzrī tujh bin
tere aage kahe jis ko ye kahānī aa.e
hum ko to yaad nahin hum pe jo guzri tujh bin
tere aage kahe jis ko ye kahani aae
shart andāz hai agar aa.e
baat chhoTī ho yā baḌī muñh par
shart andaz hai agar aae
baat chhoTi ho ya baDi munh par
bas kar ye ḳhayāl-āfrīnī
us ke hī ḳhayāl meñ rahā kar
bas kar ye KHayal-afrini
us ke hi KHayal mein raha kar
zulf aur ruḳh kī parastish shart hai
kufr ho ai shaiḳh yā islām ho
zulf aur ruKH ki parastish shart hai
kufr ho ai shaiKH ya islam ho
jo tire sāmne aa.e haiñ so kam Thahre haiñ
ye hamārā hī kaleja hai ki ham Thahre haiñ
jo tere samne aae hain so kam Thahre hain
ye hamara hi kaleja hai ki hum Thahre hain
tirā sher 'joshish' tujhe hai pasand
tū muhtāj hai kis kī tā.īd kā
tera sher 'joshish' tujhe hai pasand
tu muhtaj hai kis ki taid ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rakhte haiñ dahānoñ pe sadā mohr-e-ḳhamoshī
ve log jinheñ aatī hai guftār-e-mohabbat
rakhte hain dahanon pe sada mohr-e-KHamoshi
we log jinhen aati hai guftar-e-mohabbat
ai charḳh be-kasī pe hamārī nazar na kar
jo kuchh ki tujh se ho sake tū dar-guzar na kar
ai charKH be-kasi pe hamari nazar na kar
jo kuchh ki tujh se ho sake tu dar-guzar na kar
chashm-e-vahdat se gar koī dekhe
but-parastī bhī haq-parastī hai
chashm-e-wahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sabā bhī duur khaḌī apne haath maltī hai
tirī galī meñ kisī kā guzar nahīñ hargiz
saba bhi dur khaDi apne hath malti hai
teri gali mein kisi ka guzar nahin hargiz
jo hai ka.aba vo hī but-ḳhāna hai shaiḳh o barhaman
is kī nāhaq karte ho takrār donoñ ek haiñ
jo hai kaba wo hi but-KHana hai shaiKH o barhaman
is ki nahaq karte ho takrar donon ek hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-gunah kahtā phire hai aap ko
shaiḳh nasl-e-hazrat-e-ādam nahīñ
be-gunah kahta phire hai aap ko
shaiKH nasl-e-hazrat-e-adam nahin
nāḳhun-e-yār se bhī khul na sakī
dāna-e-ashk kī girah ai chashm
naKHun-e-yar se bhi khul na saki
dana-e-ashk ki girah ai chashm
zāhid na rahne pā.eñge ābād mai-kade
jab tak na Dhā.iyegā tirī ḳhānqāh ko
zahid na rahne paenge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaiyega teri KHanqah ko
dīvāne chāhtā hai agar vasl-e-yār ho
terā baḌā raqīb hai dil is se raah rakh
diwane chahta hai agar wasl-e-yar ho
tera baDa raqib hai dil is se rah rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mūnis-e-tāza haiñ ye dard-o-alam
muddatoñ kā rafīq hai ġham to
munis-e-taza hain ye dard-o-alam
muddaton ka rafiq hai gham to
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnā dushman ho agar kuchh hai shu.ūr
intizār-e-vāda-e-fardā na kar
apna dushman ho agar kuchh hai shuur
intizar-e-wada-e-farda na kar
vo maah bhar ke jām-e-mai-nāb le gayā
ik dam meñ āftāb ko mahtāb le gayā
wo mah bhar ke jam-e-mai-nab le gaya
ek dam mein aaftab ko mahtab le gaya
haiñ dair-o-haram meñ to bhare shaiḳh-o-barahman
juz ḳhāna-e-dil kījiye phir qasd kidhar kā
hain dair-o-haram mein to bhare shaiKH-o-barahman
juz KHana-e-dil kijiye phir qasd kidhar ka
tanik ūdhar hī rah ai hirs-e-duniyā
na de taklīf is gosha-nashīñ ko
tanik udhar hi rah ai hirs-e-duniya
na de taklif is gosha-nashin ko
aisī mire ḳhazāna-e-dil meñ bharī hai aag
favvāra chhūTtā hai mizha se sharār kā
aisi mere KHazana-e-dil mein bhari hai aag
fawwara chhuTta hai mizha se sharar ka
insān to hai sūrat-e-haq ka.abe meñ kyā hai
ai shaiḳh bhalā kyuuñ na karūñ sajde butāñ ko
insan to hai surat-e-haq kabe mein kya hai
ai shaiKH bhala kyun na karun sajde butan ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ziist tarf-e-dil hī meñ yā-rab tamām ho
kāfir huuñ gar irāda-e-bait-ul-harām ho
ye zist tarf-e-dil hi mein ya-rab tamam ho
kafir hun gar irada-e-bait-ul-haram ho
yaañ tak rahe judā ki hamāre mazāq meñ
āḳhir ki zahr-e-hijr bhī tiryāk ho gayā
yan tak rahe juda ki hamare mazaq mein
aaKHir ki zahr-e-hijr bhi tiryak ho gaya
ḳhār-zār-e-ishq ko kyā ho gayā
paañv meñ kāñTe chubhotā hī nahīñ
KHar-zar-e-ishq ko kya ho gaya
panw mein kanTe chubhota hi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gulzār-e-mohabbat meñ na phūle na phale ham
mānind-e-chinār aag meñ apnī hī jale ham
gulzar-e-mohabbat mein na phule na phale hum
manind-e-chinar aag mein apni hi jale hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mar ga.e 'joshish' isī daryāft meñ
kyā kaheñ hai kaun sī shai zindagī
mar gae 'joshish' isi daryaft mein
kya kahen hai kaun si shai zindagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download