Sher of Khalilur Rahman Azmi
yuuñ to marne ke liye zahr sabhī piite haiñ
zindagī tere liye zahr piyā hai maiñ ne
yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
na jaane kis kī hameñ umr bhar talāsh rahī
jise qarīb se dekhā vo dūsrā niklā
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi
jise qarib se dekha wo dusra nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bhalā huā ki koī aur mil gayā tum sā
vagarna ham bhī kisī din tumheñ bhulā dete
bhala hua ki koi aur mil gaya tum sa
wagarna hum bhi kisi din tumhein bhula dete
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaane kyuuñ ik ḳhayāl sā aayā
maiñ na hūñgā to kyā kamī hogī
jaane kyun ek KHayal sa aaya
main na hunga to kya kami hogi
nikāle ga.e is ke ma.anī hazār
ajab chiiz thī ik mirī ḳhāmushī
nikale gae is ke mani hazar
ajab chiz thi ek meri KHamushi
tirī vafā meñ milī ārzū-e-maut mujhe
jo maut mil ga.ī hotī to koī baat bhī thī
teri wafa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
mirī nazar meñ vahī mohnī sī mūrat hai
ye raat hijr kī hai phir bhī ḳhūb-sūrat hai
meri nazar mein wahi mohni si murat hai
ye raat hijr ki hai phir bhi KHub-surat hai
sunā rahā huuñ unheñ jhūT-mūT ik qissa
ki ek shaḳhs mohabbat meñ kāmyāb rahā
suna raha hun unhen jhuT-muT ek qissa
ki ek shaKHs mohabbat mein kaamyab raha
ham ne to ḳhud ko bhī miTā Daalā
tum ne to sirf bevafā.ī kī
hum ne to KHud ko bhi miTa Dala
tum ne to sirf bewafai ki
dekhne vaalā koī mile to dil ke daaġh dikhā.ūñ
ye nagrī andhoñ kī nagrī kis ko kyā samjhā.ūñ
dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun
-
Tag : Shikwa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hazār tarah kī mai pī hazār tarah ke zahr
na pyaas hī bujhī apnī na hausla niklā
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr
na pyas hi bujhi apni na hausla nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī vaqt batlā ki tujh se milūñ
mirī dauḌtī bhāgtī zindagī
koi waqt batla ki tujh se milun
meri dauDti bhagti zindagi
yuuñ jī bahal gayā hai tirī yaad se magar
terā ḳhayāl tere barābar na ho sakā
yun ji bahal gaya hai teri yaad se magar
tera KHayal tere barabar na ho saka
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hotī nahīñ hai yūñhī adā ye namāz-e-ishq
yaañ shart hai ki apne lahū se vazū karo
hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq
yan shart hai ki apne lahu se wazu karo
ye tamannā nahīñ ab dād-e-hunar de koī
aa ke mujh ko mire hone kī ḳhabar de koī
ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi
aa ke mujh ko mere hone ki KHabar de koi
tum mujhe chāho na chāho lekin itnā to karo
jhuuT hī kah do ki jiine kā bahāna mil sake
tum mujhe chaho na chaho lekin itna to karo
jhuT hi kah do ki jine ka bahana mil sake
mere dushman na mujh ko bhuul sake
varna rakhtā hai kaun kis ko yaad
mere dushman na mujh ko bhul sake
warna rakhta hai kaun kis ko yaad
haa.e vo log jin ke aane kā
hashr tak intizār hotā hai
hae wo log jin ke aane ka
hashr tak intizar hota hai
ab un biite dinoñ ko soch kar to aisā lagtā hai
ki ḳhud apnī mohabbat jaise ik jhūTī kahānī ho
ab un bite dinon ko soch kar to aisa lagta hai
ki KHud apni mohabbat jaise ek jhuTi kahani ho
duniyā-dārī to kyā aatī dāman siinā siikh liyā
marne ke the laakh bahāne phir bhī jiinā siikh liyā
duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
marne ke the lakh bahane phir bhi jina sikh liya
aariz pe tere merī mohabbat kī surḳhiyāñ
merī jabīñ pe terī vafā kā ġhurūr hai
aariz pe tere meri mohabbat ki surKHiyan
meri jabin pe teri wafa ka ghurur hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ ab koī ḳhvāb aisā tirī sūrat jo dikhlā.e
bichhaḌ kar tujh se kis manzil par ham tanhā chale aa.e
nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae
bichhaD kar tujh se kis manzil par hum tanha chale aae
hañgāma-e-hayāt se jāñ-bar na ho sakā
ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakā
hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka
ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka
-
Tag : Dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hameñ to raas na aa.ī kisī kī mahfil bhī
koī ḳhudā koī ham-sāya-e-ḳhudā niklā
hamein to ras na aai kisi ki mahfil bhi
koi KHuda koi ham-saya-e-KHuda nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām yādeñ mahak rahī haiñ har ek ġhuncha khilā huā hai
zamāna biitā magar gumāñ hai ki aaj hī vo judā huā hai
tamam yaaden mahak rahi hain har ek ghuncha khila hua hai
zamana bita magar guman hai ki aaj hi wo juda hua hai
ham ne ḳhud apne-āp zamāne kī sair kī
ham ne qubūl kī na kisī rahnumā kī shart
hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki
hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
azal se thā vo hamāre vajūd kā hissa
vo ek shaḳhs ki jo ham pe mehrbān huā
azal se tha wo hamare wajud ka hissa
wo ek shaKHs ki jo hum pe mehrban hua
ham sā mile koī to kaheñ us se hāl-e-dil
ham ban ga.e zamāne meñ kyuuñ apnī hī misāl
hum sa mile koi to kahen us se haal-e-dil
hum ban gae zamane mein kyun apni hi misal
tere na ho sake to kisī ke na ho sake
ye kārobār-e-shauq mukarrar na ho sakā
tere na ho sake to kisi ke na ho sake
ye karobar-e-shauq mukarrar na ho saka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī to baat hogī ki karne paḌe hameñ
apne hī ḳhvāb apne hī qadmoñ se pā.emāl
koi to baat hogi ki karne paDe hamein
apne hi KHwab apne hi qadmon se paemal
yahīñ par dafn kar do is galī se ab kahāñ jā.ūñ
ki mere paas jo kuchh thā yahīñ aa kar luTāyā hai
yahin par dafn kar do is gali se ab kahan jaun
ki mere pas jo kuchh tha yahin aa kar luTaya hai
tirī sadā kā hai sadiyoñ se intizār mujhe
mire lahū ke samundar zarā pukār mujhe
teri sada ka hai sadiyon se intizar mujhe
mere lahu ke samundar zara pukar mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye sach hai aaj bhī hai mujhe zindagī aziiz
lekin jo tum milo to ye saudā girāñ nahīñ
ye sach hai aaj bhi hai mujhe zindagi aziz
lekin jo tum milo to ye sauda giran nahin
ye aur baat ki tark-e-vafā pe maa.il haiñ
tirī vafā kī hameñ aaj bhī zarūrat hai
ye aur baat ki tark-e-wafa pe mail hain
teri wafa ki hamein aaj bhi zarurat hai
maiñ kahāñ huuñ kuchh batā de zindagī ai zindagī!
phir sadā apnī sunā de zindagī ai zindagī!
main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ apne ghar ko bulandī pe chaḌh ke kyā dekhūñ
urūj-e-fan mirī dahlīz par utaar mujhe
main apne ghar ko bulandi pe chaDh ke kya dekhun
uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aur to koī batātā nahīñ us shahr kā haal
ishtihārāt hī dīvār ke paḌh kar dekheñ
aur to koi batata nahin us shahr ka haal
ishtihaaraat hi diwar ke paDh kar dekhen
'mīr' kā tarz apnāyā sab ne lekin ye andāz kahāñ
'āzmī'-sāhib aap kī ġhazleñ sun sun kar sab hairāñ haiñ
'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan
'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain
-
Tag : Self-Praise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na chāho tum to har ik gaam kitnī dīvāreñ
jo chāho tum to milan kī hazār sūrat hai
na chaho tum to har ek gam kitni diwaren
jo chaho tum to milan ki hazar surat hai
duniyā bhar kī rām-kahānī kis kis Dhañg se kah Daalī
apnī kahne jab baiThe to ek ek lafz pighaltā thā
duniya bhar ki ram-kahani kis kis Dhang se kah Dali
apni kahne jab baiThe to ek ek lafz pighalta tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre ba.ad us marg-e-javāñ ko kaun samjhegā
irāda hai ki apnā marsiya bhī aap hī likh leñ
hamare baad us marg-e-jawan ko kaun samjhega
irada hai ki apna marsiya bhi aap hi likh len
zahr pī kar bhī yahāñ kis ko milī ġham se najāt
ḳhatm hotā hai kahīñ silsila-e-raqs-e-hayāt
zahr pi kar bhi yahan kis ko mili gham se najat
KHatm hota hai kahin silsila-e-raqs-e-hayat
ham pe jo guzrī hai bas us ko raqam karte haiñ
āp-bītī kaho yā marsiya-ḳhvānī kah lo
hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain
aap-biti kaho ya marsiya-KHwani kah lo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyuuñ har ghaḌī zabāñ pe ho jurm-o-sazā kā zikr
kyuuñ har amal kī fikr meñ ḳhauf-e-ḳhudā kī shart
kyun har ghaDi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr
kyun har amal ki fikr mein KHauf-e-KHuda ki shart
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
laakh saada sahī terī ye jabīñ kī tahrīr
is se aksar mire afkār ko miltī hai zabāñ
lakh sada sahi teri ye jabin ki tahrir
is se aksar mere afkar ko milti hai zaban
aaj Duubā huā ḳhushbū meñ hai pairāhan-e-jāñ
ai sabā kis ne ye pūchhā hai tirā nām-o-nishāñ
aaj Duba hua KHushbu mein hai pairahan-e-jaan
ai saba kis ne ye puchha hai tera nam-o-nishan
terī galī se chhuT ke na jā-e-amāñ milī
ab ke to merā ghar bhī mirā ghar na ho sakā
teri gali se chhuT ke na ja-e-aman mili
ab ke to mera ghar bhi mera ghar na ho saka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haa.e us dast-e-karam hī se mile jaur-o-jafā
mujh ko āġhāz-e-mohabbat hī meñ mar jaanā thā
hae us dast-e-karam hi se mile jaur-o-jafa
mujh ko aaghaz-e-mohabbat hi mein mar jaana tha
zindagī bhī mire nāloñ kī shanāsā niklī
dil jo TuuTā to mire ghar meñ koī sham.a jalī
zindagi bhi mere nalon ki shanasa nikli
dil jo TuTa to mere ghar mein koi shama jali
bane-banā.e se rastoñ kā silsila niklā
nayā safar bhī bahut hī gurez-pā niklā
bane-banae se raston ka silsila nikla
naya safar bhi bahut hi gurez-pa nikla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download