Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sakhi Lakhnvi's Photo'

Sakhi Lakhnvi

1813 - 1876

Sher of Sakhi Lakhnvi

1.1K
Favorite

SORT BY

jā.egī gulshan talak us gul aamad ḳhabar

aa.egī bulbul mire ghar meñ mubārakbād ko

jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki KHabar

aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko

hichkiyāñ aatī haiñ par lete nahīñ vo merā naam

dekhnā un farāmoshī ko merī yaad ko

hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam

dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko

baat karne meñ hoñT laḌte haiñ

aise takrār ḳhudā-hāfiz

baat karne mein honT laDte hain

aise takrar ka KHuda-hafiz

ajī pheñko raqīb naama

na ibārat bhalī na achchhā ḳhat

aji phenko raqib ka nama

na ibarat bhali na achchha KHat

barg-e-gul aa maiñ tere bose luuñ

tujh meñ hai Dhañg yaar ke lab

barg-e-gul aa main tere bose lun

tujh mein hai Dhang yar ke lab ka

tiis din yaar ab na aa.egā

is mahīne naam ḳhālī hai

tis din yar ab na aaega

is mahine ka nam KHali hai

ruḳh haath pe rakkhā na karo vaqt-e-takallum

har baat meñ qur.ān uThāyā nahīñ jaatā

ruKH hath pe rakkha na karo waqt-e-takallum

har baat mein quran uThaya nahin jata

na āshiq haiñ zamāne meñ na ma.ashūq

idhar ham rah ga.e haiñ aur udhar aap

na aashiq hain zamane mein na mashuq

idhar hum rah gae hain aur udhar aap

dekho qal.ī khulegī saaf us

ā.īna un ke muñh chaḌhā hai aaj

dekho qali khulegi saf us ki

aaina un ke munh chaDha hai aaj

zindagī tak mirī hañs lījiye aap

phir mujhe roiyegā mere ba.ad

zindagi tak meri hans lijiye aap

phir mujhe roiyega mere baad

dafn ham ho chuke to kahte haiñ

is gunahgār ḳhudā-hāfiz

dafn hum ho chuke to kahte hain

is gunahgar ka KHuda-hafiz

rahte ka.abe meñ akele kyā ham

dil lagāne ko sanam bhī to na the

rahte kabe mein akele kya hum

dil lagane ko sanam bhi to na the

maiñ tujhe phir zamīñ dikhā.ūñgā

dekh mujh se na āsmān bigaḌ

main tujhe phir zamin dikhaunga

dekh mujh se na aasman bigaD

yūñhī va.ada karo yaqīñ ho jaa.e

kyuuñ qasam luuñ qasam ke kyā ma.anī

yunhi wada karo yaqin ho jae

kyun qasam lun qasam ke kya mani

vo āshiq haiñ ki marne par hamāre

kareñge yaad ham ko umr bhar aap

wo aashiq hain ki marne par hamare

karenge yaad hum ko umr bhar aap

ḳhaal aur ruḳh se kis ko duuñ nisbat

aise taare na aisā pyārā chāñd

KHal aur ruKH se kis ko dun nisbat

aise tare na aisa pyara chand

ḳhūn-e-ushshāq hai ma.ānī meñ

shauq se paan khā.iye sāhab

KHun-e-ushshaq hai maani mein

shauq se pan khaiye sahab

siine se hamārā dil na le jaao

chhuḌvāte ho kyuuñ vatan kisī

sine se hamara dil na le jao

chhuDwate ho kyun watan kisi ka

dekheñ kahtā hai ḳhudā hashr ke din

tum ko kyā ġhair ko kyā ham ko kyā

dekhen kahta hai KHuda hashr ke din

tum ko kya ghair ko kya hum ko kya

rañgat us ruḳh gul ne paa.ī hai

aur pasīne gulāb meñ hai

rangat us ruKH ki gul ne pai hai

aur pasine ki bu gulab mein hai

ham un se aaj shikva kareñge

ukhāḌeñge vo barsoñ gaḌī baat

hum un se aaj ka shikwa karenge

ukhaDenge wo barson ki gaDi baat

bosa har vaqt ruḳh letā hai

kis qadar gesū-e-dotā hai shoḳh

bosa har waqt ruKH ka leta hai

kis qadar gesu-e-dota hai shoKH

kahnā majnūñ se ki kal terī taraf ā.ūñgā

DhūñDne jaatā huuñ farhād ko kohsār meñ aaj

kahna majnun se ki kal teri taraf aaunga

DhunDne jata hun farhad ko kohsar mein aaj

bahut ḳhvāb-e-ġhaflat meñ din chaḌh gayā

uTho sone vaalo phir aa.egī raat

bahut KHwab-e-ghaflat mein din chaDh gaya

uTho sone walo phir aaegi raat

tum na āsān ko āsāñ samho

varna mushkil mirī mushkil to nahīñ

tum na aasan ko aasan samho

warna mushkil meri mushkil to nahin

is taraf bazm meñ ham the vo the

us taraf sham.a thī parvāna thā

is taraf bazm mein hum the wo the

us taraf shama thi parwana tha

dil kaleje dimāġh siina o chashm

in ke rahne ke haiñ makān bahut

dil kaleje dimagh sina o chashm

in ke rahne ke hain makan bahut

āñkhoñ se pā-e-yār lagāne hai havas

halqa hamāre chashm us rikāb ho

aankhon se pa-e-yar lagane ki hai hawas

halqa hamare chashm ka us ki rikab ho

dard ko gurda taḌapne ko jigar

hijr meñ sab haiñ magar dil to nahīñ

dard ko gurda taDapne ko jigar

hijr mein sab hain magar dil to nahin

thā hinā se jo shoḳh merā ḳhuuñ

bole ye laal laal hai kuchh aur

tha hina se jo shoKH mera KHun

bole ye lal lal hai kuchh aur

'saḳhī' baiThiye haT ke kuchh us ke dar se

baḌī bhiiḌ hogī kuchal jā.iyegā

'saKHi' baiThiye haT ke kuchh us ke dar se

baDi bhiD hogi kuchal jaiyega

na chhoḌā hijr meñ bhī ḳhāna-e-tan

ragaḌvā.egī kab tak eḌiyāñ ruuh

na chhoDa hijr mein bhi KHana-e-tan

ragaDwaegi kab tak eDiyan ruh

tasvīr-e-chashm-e-yār ḳhvāhāñ hai bāġhbāñ

ījād hogī nargis-e-bīmār jagah

taswir-e-chashm-e-yar ka KHwahan hai baghban

ijad hogi nargis-e-bimar ki jagah

charḳh par badr jis ko kahte haiñ

yaar sāġhar-e-sifālī hai

charKH par badr jis ko kahte hain

yar ka saghar-e-sifali hai

kabhī pahuñchegā dil un uñgliyoñ tak

nagīne tarah ḳhātim meñ jaḌ ke

kabhi pahunchega dil un ungliyon tak

nagine ki tarah KHatim mein jaD ke

shaiḳh-jī but burā.ī kiije

apne allāh se bharpā.iyegā

shaiKH-ji but ki burai kije

apne allah se bharpaiyega

naza.a ke dam bhī unheñ hichkī na aa.egī kabhī

yūñhī gar bhūle raheñge vo 'saḳhī' yaad ko

naza ke dam bhi unhen hichki na aaegi kabhi

yunhi gar bhule rahenge wo 'saKHi' ki yaad ko

hama-tan ho ga.e haiñ ā.īna

ḳhud-numā.ī ḳhud-numā.ī hai

hama-tan ho gae hain aaina

KHud-numai si KHud-numai hai

qāfila jaatā hai sāġhar taraf rindoñ

hai magar qulqul-e-mīnā jaras-e-jām-e-sharāb

qafila jata hai saghar ki taraf rindon ka

hai magar qulqul-e-mina jaras-e-jam-e-sharab

ḳhudā ke paas kyā jā.eñge zāhid

gunah-gāroñ se jab ye baar paa.eñ

KHuda ke pas kya jaenge zahid

gunah-garon se jab ye bar paen

kyuuñ hasīnoñ āñkhoñ se na laḌe

merī putlī mardumī to hai

kyun hasinon ki aankhon se na laDe

meri putli ki mardumi hi to hai

pūjnā but hai ye kyā mazmūn

aur tavāf-e-haram ke kyā ma.anī

pujna but ka hai ye kya mazmun

aur tawaf-e-haram ke kya mani

zabāñ us jo muñh meñ ho gayā zauq-e-nabāt

uñgliyāñ chūsīñ to zauq-e-naishakar paidā huā

li zaban us ki jo munh mein ho gaya zauq-e-nabaat

ungliyan chusin to zauq-e-naishakar paida hua

ka.abe meñ saḳht-kalāmī sun

but-kade meñ na kabhī ā.iyegā

kabe mein saKHt-kalami sun li

but-kade mein na kabhi aaiyega

mire lāshe ko kāñdhā de ke bole

chalo turbat meñ ab tum ko sulā.eñ

mere lashe ko kandha de ke bole

chalo turbat mein ab tum ko sulaen

jīteñge na ham se bāzi-e-ishq

aġhyār ke piT paḌeñge pāñse

jitenge na hum se bazi-e-ishq

aghyar ke piT paDenge panse

ḳhitābat ko gar ḳhudā samjhā

banda bhī āḳhir aadmī to hai

ki KHitabat ko gar KHuda samjha

banda bhi aaKHir aadmi hi to hai

jis ke ghar jaate na the hazrat-e-dil

vaañ lage phāñd ne dīvār ye kyā

jis ke ghar jate na the hazrat-e-dil

wan lage phand ne diwar ye kya

naqd-e-dil baḌā taqāzā hai

goyā un zamīñ jote haiñ

naqd-e-dil ka baDa taqaza hai

goya un ki zamin jote hain

ek do tiin chaar pāñch chhe saat

yūñhī gin leñge kam ke kyā ma.anī

ek do tin chaar panch chhe sat

yunhi gin lenge kam ke kya mani

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now