Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saleem Ahmed's Photo'

Saleem Ahmed

1927 - 1983 | Karachi, Pakistan

One of the most prominent modern Urdu critics. Famous for his promotion of the Anti-ghazal trend of poetry and anti-modernism views.

One of the most prominent modern Urdu critics. Famous for his promotion of the Anti-ghazal trend of poetry and anti-modernism views.

Sher of Saleem Ahmed

10.9K
Favorite

SORT BY

qurb-e-badan se kam na hue dil ke fāsle

ik umr kaT ga.ī kisī nā-āshnā ke saath

qurb-e-badan se kam na hue dil ke fasle

ek umr kaT gai kisi na-ashna ke sath

itnī kāvish bhī na kar merī asīrī ke liye

kahīñ merā giraftār na samjhā jaa.e

itni kawish bhi na kar meri asiri ke liye

tu kahin mera giraftar na samjha jae

yaad ne aa kar yakāyak parda khīñchā duur tak

maiñ bharī mahfil meñ baiThā thā ki tanhā ho gayā

yaad ne aa kar yakayak parda khincha dur tak

main bhari mahfil mein baiTha tha ki tanha ho gaya

kisī ko kyā batā.ūñ kaun huuñ maiñ

ki apnī dāstāñ bhūlā huā huuñ

kisi ko kya bataun kaun hun main

ki apni dastan bhula hua hun

ham ne shikva kabhī kiyā na kareñ

shikva hai e'tirāf nākāmī

hum ne shikwa kabhi kiya na karen

shikwa hai e'tiraf nakaami

chalī hai mauj meñ kāġhaz kashtī

use dariyā andāza nahīñ hai

chali hai mauj mein kaghaz ki kashti

use dariya ka andaza nahin hai

safar meñ ishq ke ik aisā marhala aayā

vo DhūñDtā thā mujhe aur kho gayā thā maiñ

safar mein ishq ke ek aisa marhala aaya

wo DhunDta tha mujhe aur kho gaya tha main

kaun hai kaun maiñ kaisī vafā

hāsil-e-hastī haiñ kuchh rusvā.iyāñ

kaun tu hai kaun main kaisi wafa

hasil-e-hasti hain kuchh ruswaiyan

ghaas meñ jazb hue hoñge zamīñ ke aañsū

paañv rakhtā huuñ to halkī namī lagtī hai

ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu

panw rakhta hun to halki si nami lagti hai

nikal ga.e haiñ jo bādal barasne vaale the

ye shahr aab ko tarsegā chashm-e-tar ke baġhair

nikal gae hain jo baadal barasne wale the

ye shahr aab ko tarsega chashm-e-tar ke baghair

le chale ho mujhe us bazm meñ yaaro lekin

kuchh mirā haal bhī pahle se sunā rakkhā hai

le chale ho mujhe us bazm mein yaro lekin

kuchh mera haal bhi pahle se suna rakkha hai

dil jo is bazm meñ aatā hai to jaatā nahīñ

ek din dekhnā dīvāna huā rakkhā hai

dil jo is bazm mein aata hai to jata hi nahin

ek din dekhna diwana hua rakkha hai

nahīñ rahā maiñ tire rāste patthar bhī

vo din bhī the tire ehsās meñ ḳhudā thā maiñ

nahin raha main tere raste ka patthar bhi

wo din bhi the tere ehsas mein KHuda tha main

ḳhush-numā lafzoñ rishvat de ke raazī kījiye

ruuh tauhīn par āmāda rahtā hai badan

KHush-numa lafzon ki rishwat de ke raazi kijiye

ruh ki tauhin par aamada rahta hai badan

ḳhamoshī ke haiñ āñgan aur sannāTe dīvāreñ

ye kaise log haiñ jin ko gharoñ se Dar nahīñ lagtā

KHamoshi ke hain aangan aur sannaTe ki diwaren

ye kaise log hain jin ko gharon se Dar nahin lagta

kaise qisse the ki chhiḌ jaa.eñ to uḌ jaatī thī niiñd

kyā ḳhabar thī vo bhī harf-e-muḳhtasar ho jā.eñge

kaise qisse the ki chhiD jaen to uD jati thi nind

kya KHabar thi wo bhi harf-e-muKHtasar ho jaenge

āñsuoñ se hai ḳhālī dard se aarī huuñ maiñ

terī āñkheñ kāñch haiñ merā dil patthar hai

aansuon se tu hai KHali dard se aari hun main

teri aankhen kanch ki hain mera dil patthar ka hai

dasht o dar ḳhair manā.eñ ki abhī vahshat meñ

ishq ne pahlā qadam nām-e-ḳhudā rakkhā hai

dasht o dar KHair manaen ki abhi wahshat mein

ishq ne pahla qadam nam-e-KHuda rakkha hai

ḳhud apnī diid se andhī haiñ āñkheñ

ḳhud apnī guuñj se bahrā huā huuñ

KHud apni did se andhi hain aankhen

KHud apni gunj se bahra hua hun

sach to kah duuñ magar is daur ke insānoñ ko

baat jo dil se nikaltī hai burī lagtī hai

sach to kah dun magar is daur ke insanon ko

baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai

zamīñ yaḳh-basta ho jaatī hai jab jāḌoñ rātoñ meñ

maiñ apne dil ko sulgātā huuñ añgāre banātā huuñ

zamin yaKH-basta ho jati hai jab jaDon ki raaton mein

main apne dil ko sulgata hun angare banata hun

shīsha bane ki sañg kuchh ban

andar se magar gudāz ho

tu shisha bane ki sang kuchh ban

andar se magar gudaz ho ja

mujhe harf-e-ġhalat samjhā thā ne

so maiñ ma.anī daftar ho gayā huuñ

mujhe harf-e-ghalat samjha tha tu ne

so main mani ka daftar ho gaya hun

ik patiñge ne ye apne raqs-e-āḳhir meñ kahā

raushnī ke saath rahiye raushnī ban jā.iye

ek patinge ne ye apne raqs-e-aKHir mein kaha

raushni ke sath rahiye raushni ban jaiye

rasm-e-jahāñ na chhūT sakī tark-e-ishq se

jab mil ga.e to pursish-e-hālāt ho ga.ī

rasm-e-jahan na chhuT saki tark-e-ishq se

jab mil gae to pursish-e-haalat ho gai

merā shor-e-ġharqābī ḳhatm ho gayā āḳhir

aur rah gayā baaqī sirf shor dariyā

mera shor-e-gharqabi KHatm ho gaya aaKHir

aur rah gaya baqi sirf shor dariya ka

libās-e-dard bhī ham ne utārā

ye kapḌe ab purāne ho chuke haiñ

libas-e-dard bhi hum ne utara

ye kapDe ab purane ho chuke hain

burā lagā mire saaqī ko zikr-e-tishna-labī

ki ye savāl mirī bazm meñ kahāñ se uThā

bura laga mere saqi ko zikr-e-tishna-labi

ki ye sawal meri bazm mein kahan se uTha

roz kāġhaz pe banātā huuñ maiñ qadmoñ ke nuqūsh

koī chaltā nahīñ aur ham-safarī lagtī hai

roz kaghaz pe banata hun main qadmon ke nuqush

koi chalta nahin aur ham-safari lagti hai

maiñ us ko bhuul gayā thā vo yaad aayā

zamīñ hilī to maiñ samjhā ki zalzala aayā

main us ko bhul gaya tha wo yaad sa aaya

zamin hili to main samjha ki zalzala aaya

maiñ vo ma.anī-e-ġham-e-ishq huuñ jise harf harf likhā gayā

kabhī āñsuoñ bayāz meñ kabhī dil se le ke kitāb tak

main wo mani-e-gham-e-ishq hun jise harf harf likha gaya

kabhi aansuon ki bayaz mein kabhi dil se le ke kitab tak

us ek chehre meñ ābād the ka.ī chehre

us ek shaḳhs meñ kis kis ko dekhtā thā maiñ

us ek chehre mein aabaad the kai chehre

us ek shaKHs mein kis kis ko dekhta tha main

saa.e ko saa.e meñ gum hote to dekhā hogā

ye bhī dekho ki tumheñ ham ne bhulāyā kaise

sae ko sae mein gum hote to dekha hoga

ye bhi dekho ki tumhein hum ne bhulaya kaise

hāl-e-dil kaun sunā.e use fursat kis ko

sab ko is aañkh ne bātoñ meñ lagā rakkhā hai

haal-e-dil kaun sunae use fursat kis ko

sab ko is aankh ne baaton mein laga rakkha hai

bār-hā yuuñ bhī huā terī mohabbat qasam

jaan kar ham ne tujhe ḳhud se ḳhafā rakkhā hai

bar-ha yun bhi hua teri mohabbat ki qasam

jaan kar hum ne tujhe KHud se KHafa rakkha hai

jitnā aañkh se kam dekhūñ

utnī duur dikhā.ī de

jitna aankh se kam dekhun

utni dur dikhai de

devtā banñe hasrat meñ muallaq ho ga.e

ab zarā nīche utariye aadmī ban jā.iye

dewta banne ki hasrat mein muallaq ho gae

ab zara niche utariye aadmi ban jaiye

qissa chheḌā mehr o vafā avval-e-shab un ā.ankhoñ ne

raat kaTī aur umr guzārī phir bhī baat adhūrī thī

qissa chheDa mehr o wafa ka awwal-e-shab un aaankhon ne

raat kaTi aur umr guzari phir bhi baat adhuri thi

vo junūñ ko baḌhā.e jā.eñge

un shohrat hai merī rusvā.ī

wo junun ko baDhae jaenge

un ki shohrat hai meri ruswai

haal mat pūchh mohabbat havā hai kuchh aur

ke kis ne ye sar-e-rāh diyā rakkhā hai

haal mat puchh mohabbat ka hawa hai kuchh aur

la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai

dil husn ko daan de rahā huuñ

gāhak ko dukān de rahā huuñ

dil husn ko dan de raha hun

gahak ko dukan de raha hun

vo be-ḳhudī thī mohabbat be-ruḳhī to na thī

pe us ko tark-e-ta.alluq ko ik bahāna huā

wo be-KHudi thi mohabbat ki be-ruKHi to na thi

pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua

shāyad koī banda-e-ḳhudā aa.e

sahrā meñ azaan de rahā huuñ

shayad koi banda-e-KHuda aae

sahra mein azan de raha hun

ye chāhā thā ki patthar ban ke luuñ

so andar se pighaltā rahā huuñ

ye chaha tha ki patthar ban ke ji lun

so andar se pighalta ja raha hun

badan aag ko kahte haiñ log jhūTī aag

magar us aag ne dil ko mire gudāz kiyā

badan ki aag ko kahte hain log jhuTi aag

magar us aag ne dil ko mere gudaz kiya

mohalle vaale mere kār-e-be-masraf pe hañste haiñ

maiñ bachchoñ ke liye galiyoñ meñ ġhubbāre banātā huuñ

mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain

main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun

ye nahīñ hai ki navāze na ga.e hoñ ham log

ham ko sarkār se tamġha milā rusvā.ī

ye nahin hai ki nawaze na gae hon hum log

hum ko sarkar se tamgha mila ruswai ka

bahut tavīl mirī dāstān-e-ġham thī magar

ġhazal se kaam liyā muḳhtasar banāne

bahut tawil meri dastan-e-gham thi magar

ghazal se kaam liya muKHtasar banane ka

un ko jalvat havas mahfil meñ tanhā kar ga.ī

jo kabhī hote the apnī zaat se ik anjuman

un ko jalwat ki hawas mahfil mein tanha kar gai

jo kabhi hote the apni zat se ek anjuman

manzil patā hai na kisī rāhguzar

bas ek thakan hai ki jo hāsil hai safar

manzil ka pata hai na kisi rahguzar ka

bas ek thakan hai ki jo hasil hai safar ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now