Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarvat Husain's Photo'

Sarvat Husain

1949 - 1996 | Karachi, Pakistan

Prominent among New Wave poets in Pakistan who died in a train accident.

Prominent among New Wave poets in Pakistan who died in a train accident.

Sher of Sarvat Husain

16K
Favorite

SORT BY

sūrmā jis ke kināroñ se palaT aate haiñ

maiñ ne kashtī ko utārā hai usī paanī meñ

surma jis ke kinaron se palaT aate hain

main ne kashti ko utara hai usi pani mein

jise anjām tum samajhtī ho

ibtidā hai kisī kahānī

jise anjam tum samajhti ho

ibtida hai kisi kahani ki

bhar jā.eñge jab zaḳhm to ā.ūñgā dobārā

maiñ haar gayā jañg magar dil nahīñ haarā

bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara

main haar gaya jang magar dil nahin haara

maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'

log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ

maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'

log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein

miTTī pe numūdār haiñ paanī ke zaḳhīre

in meñ koī aurat se ziyāda nahīñ gahrā

miTTi pe numudar hain pani ke zaKHire

in mein koi aurat se ziyaada nahin gahra

paañv sākit ho ga.e 'sarvat' kisī ko dekh kar

ik kashish mahtāb jaisī chehra-e-dilbar meñ thī

panw sakit ho gae 'sarwat' kisi ko dekh kar

ek kashish mahtab jaisi chehra-e-dilbar mein thi

sochtā huuñ ki us se bach niklūñ

bach nikalne ke ba.ad kyā hogā

sochta hun ki us se bach niklun

bach nikalne ke baad kya hoga

milnā aur bichhaḌ jaanā kisī raste par

ik yahī qissa ādamiyoñ ke saath rahā

milna aur bichhaD jaana kisi raste par

ek yahi qissa aadamiyon ke sath raha

do chīzeñ is dhartī meñ dekhne vaalī haiñ

miTTī sundartā dekho aur mujhe dekho

do hi chizen is dharti mein dekhne wali hain

miTTi ki sundarta dekho aur mujhe dekho

'sarvat' tum apne logoñ se yuuñ milte ho

jaise un logoñ se milnā phir nahīñ hogā

'sarwat' tum apne logon se yun milte ho

jaise un logon se milna phir nahin hoga

ye jo raushnī hai kalām meñ ki baras rahī hai tamām meñ

mujhe sabr ne ye samar diyā mujhe zabt ne ye hunar diyā

ye jo raushni hai kalam mein ki baras rahi hai tamam mein

mujhe sabr ne ye samar diya mujhe zabt ne ye hunar diya

bujhī ruuh pyaas lekin saḳhī

mire saath merā badan bhī to hai

bujhi ruh ki pyas lekin saKHi

mere sath mera badan bhi to hai

ḳhush-libāsī hai baḌī chiiz magar kyā kiije

kaam is pal hai tire jism uryānī se

KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kije

kaam is pal hai tere jism ki uryani se

maiñ aag dekhtā thā aag se judā kar ke

balā rañg thā rañgīni-e-qabā se udhar

main aag dekhta tha aag se juda kar ke

bala ka rang tha rangini-e-qaba se udhar

shahzādī tujhe kaun batā.e tere charāg-kade tak

kitnī mehrābeñ paḌtī haiñ kitne dar aate haiñ

shahzadi tujhe kaun batae tere charag-kade tak

kitni mehraben paDti hain kitne dar aate hain

har sub.h nikalnā kisī dīvār-e-tarab se

har shaam kisī manzil-e-ġhamnāk pe honā

har subh nikalna kisi diwar-e-tarab se

har sham kisi manzil-e-ghamnak pe hona

āñkhoñ meñ damak uTThī hai tasvīr-e-dar-o-bām

ye kaun gayā mere barābar se nikal kar

aankhon mein damak uTThi hai taswir-e-dar-o-baam

ye kaun gaya mere barabar se nikal kar

apne apne ghar kar sukh niiñd so jaa.eñ

nahīñ ḳhasāre meñ maiñ nahīñ ḳhasāre meñ

apne apne ghar ja kar sukh ki nind so jaen

tu nahin KHasare mein main nahin KHasare mein

ik dāstān ab bhī sunāte haiñ farsh o baam

vo kaun thī jo raqs ke aalam meñ mar ga.ī

ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam

wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai

maiñ kitāb-e-ḳhāk kholūñ to khule

kyā nahīñ maujūd kyā maujūd hai

main kitab-e-KHak kholun to khule

kya nahin maujud kya maujud hai

kyuuñ girafta-dil nazar aatī hai ai shām-e-firāq

ham jo tere naaz uThāne ke liye maujūd haiñ

kyun girafta-dil nazar aati hai ai sham-e-firaq

hum jo tere naz uThane ke liye maujud hain

husn-e-bahār mujh ko mukammal nahīñ lagā

maiñ ne tarāsh hai ḳhizāñ apne haath se

husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga

main ne tarash li hai KHizan apne hath se

sochtā huuñ dayār-e-be-parvā

kyuuñ mirā ehtirām karne lagā

sochta hun dayar-e-be-parwa

kyun mera ehtiram karne laga

mire siine meñ dil hai koī shahzāda-e-ḳhud-sar

kisī din us ko tāj-o-taḳht se mahrūm kar dekhūñ

mere sine mein dil hai ya koi shahzada-e-KHud-sar

kisi din us ko taj-o-taKHt se mahrum kar dekhun

vo ik sūraj sub.h talak mire pahlū meñ

apnī sab nārāzgiyoñ ke saath rahā

wo ek suraj subh talak mere pahlu mein

apni sab naraazgiyon ke sath raha

apne liye tajvīz shamshīr-e-barhana

aur us ke liye shāḳh se ik phuul utārā

apne liye tajwiz ki shamshir-e-barhana

aur us ke liye shaKH se ek phul utara

na.ī na.ī aag hai phir kaun hai vo

piile phūloñ gahre surḳh libādoñ vaalī

nai nai si aag hai ya phir kaun hai wo

pile phulon gahre surKH libaadon wali

dasht chhoḌā to kyā milā 'sarvat'

ghar badalne ke ba.ad kyā hogā

dasht chhoDa to kya mila 'sarwat'

ghar badalne ke baad kya hoga

le aa.egā ik roz gul o barg bhī 'sarvat'

bārāñ musalsal ḳhas-o-ḳhāshāk pe honā

le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat'

baran ka musalsal KHas-o-KHashak pe hona

maiñ so rahā thā aur mirī ḳhvāb-gāh meñ

ik azhdahā charāġh lau ko nigal gayā

main so raha tha aur meri KHwab-gah mein

ek azhdaha charagh ki lau ko nigal gaya

kabhī teġh-e-tez supurd kabhī tohfa-e-gul-e-tar diyā

kisī shāh-zādī ke ishq ne mirā dil sitāroñ se bhar diyā

kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

kisi shah-zadi ke ishq ne mera dil sitaron se bhar diya

terī āshufta-mizājī ai dil

kyā ḳhabar kaun nagar le jaa.e

teri aashufta-mizaji ai dil

kya KHabar kaun nagar le jae

umr koh-e-girāñ aur shab-o-roz mire

ye vo patthar hai jo kaTtā nahīñ āsānī se

umr ka koh-e-giran aur shab-o-roz mere

ye wo patthar hai jo kaTta nahin aasani se

maiñ apnī pyaas ke hamrāh mashkīza uThā.e

ki in sairāb logoñ meñ koī pyāsā milegā

main apni pyas ke hamrah mashkiza uThae

ki in sairab logon mein koi pyasa milega

qindīl-e-mah-o-mehr aflāk pe honā

kuchh is se ziyāda hai mirā ḳhaak pe honā

qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona

kuchh is se ziyaada hai mera KHak pe hona

siyāhī phertī jaatī haiñ rāteñ bahr o bar pe

inhī tārīkiyoñ se mujh ko bhī hissa milegā

siyahi pherti jati hain raaten bahr o bar pe

inhi tarikiyon se mujh ko bhi hissa milega

saya-e-abr se pūchho 'sarvat'

apne hamrāh agar le jaa.e

saya-e-abr se puchho 'sarwat'

apne hamrah agar le jae

bahut musir the ḳhudāyān-e-sābit-o-sayyār

so maiñ ne aa.ina o āsmāñ pasand kiye

bahut musir the KHudayan-e-sabit-o-sayyar

so main ne aaina o aasman pasand kiye

āñkheñ haiñ aur dhuul bharā sannāTā hai

guzar ga.ī hai ajab savārī yādoñ vaalī

aankhen hain aur dhul bhara sannaTa hai

guzar gai hai ajab sawari yaadon wali

ye intihā-e-masarrat shahr hai 'sarvat'

yahāñ to har dar-o-dīvār ik samundar hai

ye intiha-e-masarrat ka shahr hai 'sarwat'

yahan to har dar-o-diwar ek samundar hai

ḳhush-libāsī hai baḌī chiiz magar kyā kījiye

kaam is pal hai tire jism uryānī se

KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kijiye

kaam is pal hai tere jism ki uryani se

sub.h ke shahr meñ ik shor hai shādābī

gil-e-dīvār zarā bosa-numā ho jaanā

subh ke shahr mein ek shor hai shadabi ka

gil-e-diwar zara bosa-numa ho jaana

ye kaun utrā pa.e-gasht apnī masnad se

aur intizām-e-makān o sirā badalne lagā

ye kaun utra pae-gasht apni masnad se

aur intizam-e-makan o sira badalne laga

use bhī yaad rakhnā bād-bānī sā.atoñ meñ

vo sayyāra kanār-e-sub.h-e-fardā aa milegā

use bhi yaad rakhna baad-bani saaton mein

wo sayyara kanar-e-subh-e-farda aa milega

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now