Sher of Syed Aabid Ali Aabid
dam-e-ruḳhsat vo chup rahe 'ābid'
aañkh meñ phailtā gayā kājal
dam-e-ruKHsat wo chup rahe 'abid'
aankh mein phailta gaya kajal
ik din us ne nain milā ke sharmā ke mukh moḌā thā
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte haiñ
ek din us ne nain mila ke sharma ke mukh moDa tha
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yā kabhī āshiqī kā khel na khel
yā agar maat ho to haath na mal
ya kabhi aashiqi ka khel na khel
ya agar mat ho to hath na mal
kahte the tujhī ko jaan apnī
aur tere baġhair bhī jiye haiñ
kahte the tujhi ko jaan apni
aur tere baghair bhi jiye hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
unhīñ ko arz-e-vafā kā thā ishtiyāq bahut
unhīñ ko arz-e-vafā nā-gavār guzrī hai
unhin ko arz-e-wafa ka tha ishtiyaq bahut
unhin ko arz-e-wafa na-gawar guzri hai
-
Tag : Wafa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā jiinā hai sej kāñToñ kī
un ke marne kā naam tāj-mahal
mera jina hai sej kanTon ki
un ke marne ka nam taj-mahal
vo mujhe mashvara-e-tark-e-vafā dete the
ye mohabbat kī adā hai mujhe ma.alūm na thā
wo mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete the
ye mohabbat ki ada hai mujhe malum na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jalva-e-yār se kyā shikva-e-bejā kiije
shauq-e-dīdār kā aalam vo kahāñ hai ki jo thā
jalwa-e-yar se kya shikwa-e-beja kije
shauq-e-didar ka aalam wo kahan hai ki jo tha
vā.izo maiñ bhī tumhārī hī tarah masjid meñ
bech duuñ daulat-e-īmāñ to mazā aa jaa.e
waizo main bhi tumhaari hi tarah masjid mein
bech dun daulat-e-iman to maza aa jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sāqiyā hai tirī mahfil meñ ḳhudāoñ kā hujūm
mahfil-afroz ho insāñ to mazā aa jaa.e
saqiya hai teri mahfil mein KHudaon ka hujum
mahfil-afroz ho insan to maza aa jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh ehtirām bhī kar ġham kī vaz.a-dārī kā
girāñ hai arz-e-tamannā to baar baar na kar
kuchh ehtiram bhi kar gham ki waza-dari ka
giran hai arz-e-tamanna to bar bar na kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj aayā hai apnā dhyān hameñ
aaj dil ke nagar se guzre haiñ
aaj aaya hai apna dhyan hamein
aaj dil ke nagar se guzre hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mere jiine kā ye uslūb pata detā hai
ki abhī ishq meñ kuchh kaam haiñ karne vaale
mere jine ka ye uslub pata deta hai
ki abhi ishq mein kuchh kaam hain karne wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tere ḳhush-posh faqīroñ se vo milte to sahī
jo ye kahte haiñ vafā pairhan-e-chāk meñ hai
tere KHush-posh faqiron se wo milte to sahi
jo ye kahte hain wafa pairhan-e-chaak mein hai
koī barsā na sar-e-kisht-e-vafā
kitne bādal guhar-afshāñ guzre
koi barsa na sar-e-kisht-e-wafa
kitne baadal guhar-afshan guzre
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye hādisa bhī huā hai ki ishq-e-yār kī yaad
dayār-e-qalb se begāna-vār guzrī hai
ye hadisa bhi hua hai ki ishq-e-yar ki yaad
dayar-e-qalb se begana-war guzri hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dar-e-iḳhlās kī dahlīz par ḳham huuñ 'ābid'
ek jiine kā salīqa dil-e-bebāk meñ hai
dar-e-iKHlas ki dahliz par KHam hun 'abid'
ek jine ka saliqa dil-e-bebak mein hai
mujhe dhokā huā ki jaadū hai
paaoñ bajte haiñ tere bin chhāgal
mujhe dhoka hua ki jadu hai
paon bajte hain tere bin chhagal
ai iltifāt-e-yār mujhe sochne to de
marne kā hai maqām yā jiine kā mahal
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
marne ka hai maqam ya jine ka mahal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham ke tārīk ufuq par 'ābid'
kuchh sitāre sar-e-mizhgāñ guzre
gham ke tarik ufuq par 'abid'
kuchh sitare sar-e-mizhgan guzre
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab-e-hijrāñ kī darāzī se pareshān na thā
ye terī zulf-e-rasā hai mujhe ma.alūm na thā
shab-e-hijran ki daraazi se pareshan na tha
ye teri zulf-e-rasa hai mujhe malum na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kyā tilism hai duniyā pe baar guzrī hai
vo zindagī jo sar-e-rahguzār guzrī hai
ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai
wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī maiñ jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā to karūñ
koī javāz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
kabhi main jurat-e-izhaar-e-muddaa to karun
koi jawaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq kī tarz-e-takallum vahī chup hai ki jo thī
lab-e-ḳhush-gū-e-havas mahv-e-bayāñ hai ki jo thā
ishq ki tarz-e-takallum wahi chup hai ki jo thi
lab-e-KHush-gu-e-hawas mahw-e-bayan hai ki jo tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
subū uThā ki ye nāzuk maqām hai saaqī
na ahrman hai na yazdāñ hai dekhiye kyā ho
subu uTha ki ye nazuk maqam hai saqi
na ahrman hai na yazdan hai dekhiye kya ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shar.a-o-ā.īn kī tāzīr ke bā-vasf shabāb
lab-o-ruḳhsār kī jānib nigarāñ hai ki jo thā
shara-o-ain ki tazir ke ba-wasf shabab
lab-o-ruKHsar ki jaanib nigaran hai ki jo tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahī dil jis ko shikāyat hai girāñ-jānī kī
yahī dil kār-gah-e-shīsha-girāñ hotā hai
yahi dil jis ko shikayat hai giran-jaani ki
yahi dil kar-gah-e-shisha-giran hota hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ kā nishāñ hai ki jo thā
vasf-e-ḳhūbāñ ba-hadīs-e-digrāñ hai ki jo thā
gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
wasf-e-KHuban ba-hadis-e-digran hai ki jo tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download