Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kaifi Azmi's Photo'

Kaifi Azmi

1918 - 2002 | Mumbai, India

One of prominent progressive poets with popular appeal. Also film lyricist famous for his lyrics in films like Heer Ranjha, Kaghaz ke Phool etc.

One of prominent progressive poets with popular appeal. Also film lyricist famous for his lyrics in films like Heer Ranjha, Kaghaz ke Phool etc.

Sher of Kaifi Azmi

52.4K
Favorite

SORT BY

bas ik jhijak hai yahī hāl-e-dil sunāne meñ

ki terā zikr bhī aa.egā is fasāne meñ

bas ek jhijak hai yahi haal-e-dil sunane mein

ki tera zikr bhi aaega is fasane mein

jhukī jhukī nazar be-qarār hai ki nahīñ

dabā dabā sahī dil meñ pyaar hai ki nahīñ

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin

daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin

insāñ ḳhvāhishoñ koī intihā nahīñ

do gaz zamīñ bhī chāhiye do gaz kafan ke baad

insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin

do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad

bastī meñ apnī hindū musalmāñ jo bas ga.e

insāñ shakl dekhne ko ham taras ga.e

basti mein apni hindu musalman jo bas gae

insan ki shakl dekhne ko hum taras gae

rahne ko sadā dahr meñ aatā nahīñ koī

tum jaise ga.e aise bhī jaatā nahīñ koī

rahne ko sada dahr mein aata nahin koi

tum jaise gae aise bhi jata nahin koi

tum itnā jo muskurā rahe ho

kyā ġham hai jis ko chhupā rahe ho

tum itna jo muskura rahe ho

kya gham hai jis ko chhupa rahe ho

ab jis taraf se chāhe guzar jaa.e kārvāñ

vīrāniyāñ to sab mire dil meñ utar ga.iiñ

ab jis taraf se chahe guzar jae karwan

viraniyan to sab mere dil mein utar gain

merā bachpan bhī saath le aayā

gaañv se jab bhī aa gayā koī

mera bachpan bhi sath le aaya

ganw se jab bhi aa gaya koi

muddat ke ba.ad us ne jo lutf nigāh

ḳhush to ho gayā magar aañsū nikal paḌe

muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah

ji KHush to ho gaya magar aansu nikal paDe

peḌ ke kāTne vāloñ ko ye mālūm to thā

jism jal jā.eñge jab sar pe na saaya hogā

peD ke kaTne walon ko ye malum to tha

jism jal jaenge jab sar pe na saya hoga

gar Dūbnā apnā muqaddar hai to suno

Dūbeñge ham zarūr magar nāḳhudā ke saath

gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno

Dubenge hum zarur magar naKHuda ke sath

koī to suud chukā.e koī to zimma le

us inqalāb jo aaj tak udhār hai

koi to sud chukae koi to zimma le

us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai

jis tarah hañs rahā huuñ maiñ ke garm ashk

yuuñ dūsrā hañse to kaleja nikal paḌe

jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk

yun dusra hanse to kaleja nikal paDe

roz baḌhtā huuñ jahāñ se aage

phir vahīñ lauT ke aa jaatā huuñ

roz baDhta hun jahan se aage

phir wahin lauT ke aa jata hun

koī kahtā thā samundar huuñ maiñ

aur mirī jeb meñ qatra bhī nahīñ

koi kahta tha samundar hun main

aur meri jeb mein qatra bhi nahin

bahār aa.e to merā salām kah denā

mujhe to aaj talab kar liyā hai sahrā ne

bahaar aae to mera salam kah dena

mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne

belche laao kholo zamīñ taheñ

maiñ kahāñ dafn huuñ kuchh patā to chale

belche lao kholo zamin ki tahen

main kahan dafn hun kuchh pata to chale

ġhurbat ThanDī chhāñv meñ yaad aa.ī us dhuup

qadr-e-vatan huī hameñ tark-e-vatan ke baad

ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup

qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad

itnā to zindagī meñ kisī ke ḳhalal paḌe

hañsne se ho sukūn na rone se kal paḌe

itna to zindagi mein kisi ke KHalal paDe

hansne se ho sukun na rone se kal paDe

jo ik ḳhudā nahīñ miltā to itnā mātam kyuuñ

yahāñ to koī mirā ham-zabāñ nahīñ miltā

jo ek KHuda nahin milta to itna matam kyun

yahan to koi mera ham-zaban nahin milta

hai koī hasīn ḳhatā har ḳhatā ke saath

thoḌā pyaar bhī mujhe de do sazā ke saath

TRANSLATION

Some beautiful mistake I always made, along with another,

Together with punishment, do grant me a bit of love, my dear.

Sagar Akbarabadi

ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath

thoDa sa pyar bhi mujhe de do saza ke sath

TRANSLATION

Some beautiful mistake I always made, along with another,

Together with punishment, do grant me a bit of love, my dear.

Sagar Akbarabadi

roz baste haiñ ka.ī shahr na.e

roz dhartī meñ samā jaate haiñ

roz baste hain kai shahr nae

roz dharti mein sama jate hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now