Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salim Saleem's Photo'

Salim Saleem

1985 | Delhi, India

Prominent upcoming poet.

Prominent upcoming poet.

Sher of Salim Saleem

4.5K
Favorite

SORT BY

apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe

mire andar se sabhī rañg tumhāre nikle

apne jaisi koi taswir banani thi mujhe

mere andar se sabhi rang tumhaare nikle

bhare bāzār meñ baiThā huuñ liye jins-e-vajūd

shart ye hai ki mirī ḳhaak qīmat jaa.e

bhare bazar mein baiTha hun liye jins-e-wajud

shart ye hai ki meri KHak ki qimat di jae

chaTaḳh ke TuuT ga.ī hai to ban ga.ī āvāz

jo mere siine meñ ik roz ḳhāmushī huī thī

chaTaKH ke TuT gai hai to ban gai aawaz

jo mere sine mein ek roz KHamushi hui thi

maiñ ghaTtā rahā huuñ apne andar

tumheñ itnā ziyāda kar liyā hai

main ghaTta ja raha hun apne andar

tumhein itna ziyaada kar liya hai

ik barf jamī rahe dīvār-o-bām par

ik aag mere kamre ke andar lagī rahe

ek barf si jami rahe diwar-o-baam par

ek aag mere kamre ke andar lagi rahe

ye kaisī aag hai mujh meñ ki ek muddat se

tamāsha dekh rahā huuñ maiñ apne jalne

ye kaisi aag hai mujh mein ki ek muddat se

tamasha dekh raha hun main apne jalne ka

vo duur thā to bahut hasrateñ thiiñ paane

vo mil gayā hai to chāhtā hai khone ko

wo dur tha to bahut hasraten thin pane ki

wo mil gaya hai to ji chahta hai khone ko

zindagī ne jo kahīñ nahīñ rakkhā mujh ko

ab mujhe zid hai ki barbād kiyā jaa.e use

zindagi ne jo kahin ka nahin rakkha mujh ko

ab mujhe zid hai ki barbaad kiya jae use

kitnā mushkil ho gayā huuñ hijr meñ us ke so vo

mere paas aa.egā aur āsān kar degā mujhe

kitna mushkil ho gaya hun hijr mein us ke so wo

mere pas aaega aur aasan kar dega mujhe

tumhārī aag meñ ḳhud ko jalāyā thā jo ik shab

abhī tak mere kamre meñ dhuāñ phailā huā hai

tumhaari aag mein KHud ko jalaya tha jo ek shab

abhi tak mere kamre mein dhuan phaila hua hai

taras rahī thiiñ ye āñkheñ kisī sūrat ko

so ham bhī dasht meñ āb-e-ravāñ uThā laa.e

taras rahi thin ye aankhen kisi ki surat ko

so hum bhi dasht mein aab-e-rawan uTha lae

aa rahā hogā vo dāman se havā bāñdhe hue

aaj ḳhushbū ko pareshān kiyā jā.egā

aa raha hoga wo daman se hawa bandhe hue

aaj KHushbu ko pareshan kiya jaega

maiñ aap apne andheroñ meñ baiTh jaatā huuñ

phir is ke baad koī shai chamaktī rahtī hai

main aap apne andheron mein baiTh jata hun

phir is ke baad koi shai chamakti rahti hai

kaisā hangāma bapā hai ki mire shahr ke log

ḳhāmushī DhūñDhne ġhāroñ taraf jaate hue

kaisa hangama bapa hai ki mere shahr ke log

KHamushi DhunDhne ghaaron ki taraf jate hue

raas aatī nahīñ ab mere lahū ko koī ḳhaak

aisā is jism pāband-e-salāsil huā maiñ

ras aati nahin ab mere lahu ko koi KHak

aisa is jism ka paband-e-salasil hua main

merī miTTī meñ koī aag lag jaatī hai

jo bhaḌaktī hai tire chhiḌke hue paanī se

meri miTTi mein koi aag si lag jati hai

jo bhaDakti hai tere chhiDke hue pani se

kyā ho gayā ki baiTh ga.ī ḳhaak bhī mirī

kyā baat hai ki apne uupar khaḌā huuñ maiñ

kya ho gaya ki baiTh gai KHak bhi meri

kya baat hai ki apne hi upar khaDa hun main

hijr ke din to hue ḳhatm baḌī dhuum ke saath

vasl raat hai kyuuñ marsiya-ḳhvānī kareñ ham

hijr ke din to hue KHatm baDi dhum ke sath

wasl ki raat hai kyun marsiya-KHwani karen hum

tamām bichhḌe huoñ ko milāo aaj raat

tamām kho.e huoñ ko ishārā kar ke laao

tamam bichhDe huon ko milao aaj ki raat

tamam khoe huon ko ishaara kar ke lao

ab is ke baad kuchh bhī nahīñ iḳhtiyār meñ

vo jabr thā ki ḳhud ko ḳhudā kar chuke haiñ ham

ab is ke baad kuchh bhi nahin iKHtiyar mein

wo jabr tha ki KHud ko KHuda kar chuke hain hum

charāġh-e-ishq badan se lagā thā kuchh aisā

maiñ bujh ke rah gayā us ko havā banāne meñ

charagh-e-ishq badan se laga tha kuchh aisa

main bujh ke rah gaya us ko hawa banane mein

kahkashā.eñ mirī miTTī taraf aatī huiiñ

mire zarrāt sitāroñ taraf jaate hue

kahkashaen meri miTTi ki taraf aati huin

mere zarraat sitaron ki taraf jate hue

na jaane kaisī girānī uThā.e phirtā huuñ

na jaane kyā mire kāñdhe pe sar rahtā hai

na jaane kaisi girani uThae phirta hun

na jaane kya mere kandhe pe sar sa rahta hai

TūTte bartan shor aur gūñgī bahrī ḳhāmushī

ham ne rakh hai bachā kar ek gahrī ḳhāmushī

TuTte bartan ka shor aur gungi bahri KHamushi

hum ne rakh li hai bacha kar ek gahri KHamushi

thake hue se badan ko liTā ke bistar par

ham apne aap se laḌte haiñ niiñd aane tak

thake hue se badan ko liTa ke bistar par

hum apne aap se laDte hain nind aane tak

bujhā rakhe haiñ ye kis ne sabhī charāġh-e-havas

zarā jhāñk ke dekheñ kahīñ havā na ho

bujha rakhe hain ye kis ne sabhi charagh-e-hawas

zara sa jhank ke dekhen kahin hawa hi na ho

juz hamāre kaun āḳhir dekhtā is kaam ko

ruuh ke andar koī kār-e-badan hotā huā

juz hamare kaun aaKHir dekhta is kaam ko

ruh ke andar koi kar-e-badan hota hua

jo ek dam meñ tamām rūhoñ ko ḳhaak kar de

badan se uḌtā huā ik aisā sharār dekhūñ

jo ek dam mein tamam ruhon ko KHak kar de

badan se uDta hua ek aisa sharar dekhun

sameTne meñ lage haiñ ham apnī sāñsoñ ko

ye jānte haiñ ki ik din bikher degā koī

sameTne mein lage hain hum apni sanson ko

ye jaante hain ki ek din bikher dega koi

so gayā vaqt dahlīz pe sar rakkhe hue

maiñ kahāñ tak safar-e-ishq meñ tanhā jaatā

so gaya waqt ki dahliz pe sar rakkhe hue

main kahan tak safar-e-ishq mein tanha jata

shāyad kuchh majbūrī baḌhtī jaatī hai

tujh se merī duurī baḌhtī jaatī hai

shayad kuchh majburi baDhti jati hai

tujh se meri duri baDhti jati hai

ye āñkheñ sūkhī paḌī haiñ lahū se nam kar luuñ

jo tum kaho to zarā tumhārā ġham kar luuñ

ye aankhen sukhi paDi hain lahu se nam kar lun

jo tum kaho to zara sa tumhaara gham kar lun

'ishq karnā bahut zarūrī hai

tum mohabbat ko 'ishq kahte ho

'ishq karna bahut zaruri hai

tum mohabbat ko 'ishq kahte ho

dekhnā tā'bīr meñ har sub.h ko sahrā pyaas

raat ko phir apne ḳhvāboñ meñ samundar dekhnā

dekhna ta'bir mein har subh ko sahra ki pyas

raat ko phir apne KHwabon mein samundar dekhna

sunā hai chāñd ko uljhā liyā hai shāḳhoñ ne

so ab charāġh darīchoñ pe rakh diye jaa.eñ

suna hai chand ko uljha liya hai shaKHon ne

so ab charagh darichon pe rakh diye jaen

aur kab tak zindagī nāz-bardārī kareñ

dosto aao chalo marne tayyārī kareñ

aur kab tak zindagi ki naz-bardari karen

dosto aao chalo marne ki tayyari karen

kitne bekār ḳhudāoñ ibādat hai

āḳhirī baar kisī but se shikāyat hai

kitne bekar KHudaon ki ibaadat ki hai

aaKHiri bar kisi but se shikayat ki hai

maiñ zaḳhm-e-dar-badarī khā ke lauT aa.uuñ jab

mire jale hue siine pe haat rakh denā

main zaKHm-e-dar-badari kha ke lauT aaun jab

mere jale hue sine pe hat rakh dena

ye jism utrā huā hai merā ki ruuh se ḳhud ko Dhāñpnā hai

koī na aa.e zarā yahāñ par abhī maiñ kapḌe badal rahā huuñ

ye jism utra hua hai mera ki ruh se KHud ko Dhanpna hai

koi na aae zara yahan par abhi main kapDe badal raha hun

maiñ āsmān-o-zamīñ ke jhagḌe meñ yūñhī be-vaj.h paḌ gayā thā

koī bulātā hai paas apne kisī ke hamrāh chal rahā huuñ

main aasman-o-zamin ke jhagDe mein yunhi be-wajh paD gaya tha

koi bulata hai pas apne kisi ke hamrah chal raha hun

tai kar liyā hai maiñ ne sarāboñ bharā safar

ai dasht ab mujhe mirā in.aam chāhiye

tai kar liya hai main ne sarabon bhara safar

ai dasht ab mujhe mera inam chahiye

ek zamāna Thahrā huā hai

merī naql-e-makānī meñ

ek zamana Thahra hua hai

meri naql-e-makani mein

bhed bhare is paanī meñ

Duub gayā hairānī meñ

bhed bhare is pani mein

Dub gaya hairani mein

kisī aur dar ke nishān merī jabīñ pe haiñ

bahut dinoñ se mirā ḳhudā nahīñ ho rahā

kisi aur dar ke nishan meri jabin pe hain

tu bahut dinon se mera KHuda nahin ho raha

ḳhud apne aap ko vaise bhī DhūñDhnā hogā

sadā.eñ de ke mujhe yuuñ bhī chhup rahegā koī

KHud apne aap ko waise bhi DhunDhna hoga

sadaen de ke mujhe yun bhi chhup rahega koi

bas ek chīḳh ubhregī ḳhāna-e-dil se

phir is ke baa'd mirī ḳhāmushī sunegā koī

bas ek chiKH si ubhregi KHana-e-dil se

phir is ke ba'd meri KHamushi sunega koi

is dil meñ chubhā rahtā thā kāñTe tarah vo

ik roz use maiñ ne mohabbat se nikālā

is dil mein chubha rahta tha kanTe ki tarah wo

ek roz use main ne mohabbat se nikala

mujhī se hue ye raste tamām jaate haiñ us ke dar tak

maiñ aa rahā huuñ usī ke dar par ki apne andar nikal rahā huuñ

mujhi se hue ye raste tamam jate hain us ke dar tak

main aa raha hun usi ke dar par ki apne andar nikal raha hun

kitnī āñkheñ dar-o-dīvār se chipkī huī haiñ

rāsta bhūle hue shaḳhs kabhī ghar bhī to aa

kitni aankhen dar-o-diwar se chipki hui hain

rasta bhule hue shaKHs kabhi ghar bhi to aa

jo huī sub.h to dekhe na.e qadmoñ ke nishāñ

aaj raat ko lauTe the safar se apne

jo hui subh to dekhe nae qadmon ke nishan

aaj hi raat ko lauTe the safar se apne

Recitation

Speak Now