SEARCH RESULTS
Showing search results for "بے_لطف"
Ghazal MATCHES FOR "بے_لطف"
Ghazal
be-lutf hai ye soch ki saudaa nahii.n rahaa
aa.nkhe.n nahii.n rahii.n ki tamaashaa nahii.n rahaa
Syed Amin Ashraf
Ghazal
kii qat.a abas zulf na thaa ko.ii giraftaar
tanhaa rahe be-lutf kaTii raat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Ghazal
kiijiye chaak garebaa.n ko bahaar aa.ii hai
zikr be-lutf hai yaa.n sabr o shakebaa.ii kaa
Ashraf Ali Fughan
Ghazal
be-lutf aisii ho ga.ii 'raahat' ye zindagii
jaise biga.D ga.ii ho kisii meherbaa.n ke saath
Om Krishn Rahat
Ghazal
KHud-matlabii ke raag ne be-lutf kar diyaa
varna maza KHuluus kii shahnaa.iyo.n me.n thaa
Shafique Raipuri
Ghazal
uThaa na hashr ke fitna ko chaal se naadaa.n
tire shahiid kaa be-lutf KHvaab kar degaa
Bekhud Dehlvi
Ghazal
raat be-lutf hai parhez ke saalan kii tarah
din bhikaarii ke kaTore kii tarah KHaalii hai
Shakeel Jamali
Ghazal
KHair chup rahiye maza hii na milaa bose kaa
mai.n bhii be-lutf hu.aa aap ke jhu.njhlaane se
Akbar Allahabadi
Ghazal
usii ne rakkhaa hai be-lutf haashiye pe hame.n
vo jis qabiile kii aslii zaruuriyaat hai.n ham
Faiz Khalilabadi
Ghazal
taiba se bahut duur hai.n be-lutf hai jiinaa
vo sub.h mayassar nahii.n vo shaam nahii.n hai
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
Ghazal
dekhaa hai 'ziyaa' KHud ko zamaane kii nazar se
kartaa rahaa be-lutf tamaashaa bhii bahut din
Zia Faooqui
Ghazal
'mehr' be-lutf hai bazm-e-sho.araa be-ma.ashuuq
bulbule.n chahchahe me.n hai.n ko.ii gulfaam nahii.n
Hatim Ali Mehr
Ghazal
Irfan Shah Noori
Ghazal
be-lutf ho ga.ii hai ab zindagii hamaarii
lagtaa hai bas yahii ab dil ziist se KHafaa hai
Dr. Habib ur Rehman
Ghazal
dil ke ehsaasaat me.n jis din kamii ho jaa.egii
dekhnaa be-lutf us din zindagii ho jaa.egii