SEARCH RESULTS
Showing search results for "درد_مال_غنیمت"
Ghazal MATCHES FOR "درد_مال_غنیمت"
Ghazal
amiir imaam mubaarak ho fat.h-e-ishq tumhe.n
ye dard-e-maal-e-Ganiimat hai sab tumhaaraa hu.aa
Ameer Imam
Ghazal
le jaa.e.n mujh ko maal-e-Ganiimat ke saath aduu
tum ne to Daal dii hai sipar tum ko is se kyaa
Parveen Shakir
Ghazal
lashkar kii aa.nkh maal-e-Ganiimat pe hai lagii
saalaar-e-fauj aur kisii imtihaa.n me.n hai
Parveen Shakir
Ghazal
shahzaadii ne dil haaraa aur jiitii ja.ng
maal-e-Ganiimat me.n tum shaamil shahzaade
Fauziya rabab
Ghazal
hai maal-e-Ganiimat kafan kaa ye Tuk.Daa
chalo baa.nT le.n phaa.D kar fifTy fifTy
Pagal Adilabadi
Ghazal
yahaa.n to maal-e-Ganiimat samajh rahe hai.n sabhii
qabaa bachaa.o to dastaar khii.nchtaa hai ko.ii
Shahid Kamal
Ghazal
dushman ke ta.aaqub me.n thii mushkil ba.Dii darpesh
jaanaa thaa mujhe maal-e-Ganiimat se guzar kar
Kamran Nafees
Ghazal
hame.n KHariid liyaa hogaa phir kisii ne kahii.n
kisii ko maal-e-Ganiimat me.n mil ga.e ho.nge
Misam Haidar
Ghazal
ai zinda bache shaKHs ye sab le ke palaT jaa
ham ja.ng me.n hai.n maal-e-Ganiimat se gurezaa.n
Ahmad Kamran
Ghazal
mil hii jaanii thii munaasib ko.ii qiimat mujh ko
tuu ne samjhaa hai magar maal-e-Ganiimat mujh ko
Varun Gagneja Wahid
Ghazal
Shahnawaz Ansari
Ghazal
kam ma.arka-e-ziist nahii.n jang-e-uhad se
asbaab-e-jahaa.n maal-e-Ganiimat kii tarah hai
Mohammad Aazam
Ghazal
sab ne ghar apne maal-e-Ganiimat se bhar liye
sab mustahiq hai.n is ke to in.aam kis ko de.n
Om Krishn Rahat
Ghazal
shikast o fat.h ke sab faisle hu.e kahii.n aur
misaal-e-maal-e-Ganiimat luTaa diye ga.e ham
Iftikhar Arif
Ghazal
P P Srivastava Rind
Ghazal
husuul-e-maal-e-Ganiimat kii daastaan-e-latiif
dar-asl vaadii-e-aah-o-fuGaa.n kaa qissa hai
Farooq Argali
Ghazal
mataa-o-maal jo le jaa.e to Ganiimat hai
vo apnii jaan bachaa laa.e to Ganiimat hai
Shakeel Gwaliari
Ghazal
dard ke saamne daulat nahii.n dekhii jaatii
ja.ng me.n sirf Ganiimat nahii.n dekhii jaatii