SEARCH RESULTS
Showing search results for "ذریعہ"
Ghazal MATCHES FOR "ذریعہ"
Ghazal
umiid-e-chashm-e-muravvat kahaa.n rahii baaqii
zariiya baato.n kaa jab sirf telephone hu.aa
Akbar Allahabadi
Ghazal
vafaa zariiya-e-iz.haar-e-Gam sahii 'naasir'
ye kaarobaar ko.ii kaarobaar bhii to nahii.n
Nasir Kazmi
Ghazal
kuchh aur jab rahaa na zariya ma.aash kaa
kaa.ndho.n pe baar-e-ishq uThaanaa pa.Daa mujhe
Sidra Sahar Imran
Ghazal
Riyaz Khairabadi
Ghazal
auro.n ke liye jo bhii ho ishq kii taqdiire.n
par mai.n ne to is ke zariye apnaa KHudaa dekhaa
Anmol Savaran Katib
Ghazal
ayaa.n hotaa hai KHaamoshii ke zariye
vahii jo vo chhupaanaa chaahtaa hai
Ameeta Parsuram Meeta
Ghazal
baam tak tere zarii'aa hai rasaa.ii kii yahii
duur se jhuk ke qadam luu.n tire darbaano.n ke
Riyaz Khairabadi
Ghazal
KHud-numaa.ii kaa zariiya huu.n mirii qadr karo
aa.ina huu.n mujhe chehro.n kii amaanat samjho
Aziz Qadri
Ghazal
iz.haar-e-haal kaa bhii zarii'aa nahii.n rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aa.nkho.n me.n nam nahii.n
Ismail Merathi
Ghazal
kyuu.nkar mai.n is ko dushman-e-hastii qaraar duu.n
paataa huu.n mudda.aa kaa zariiya qazaa ko mai.n
Ratan Pandorwi
Ghazal
yaa phir tum KHvaabo.n ke zariiye aa jaanaa
jaise bhii ho lekin milne aa jaanaa
Dheerendra Singh Faiyaz
Ghazal
KHat likho yaa phone ke zariiye pata lete raho
varna mai.n tho.De dino.n me.n laapata ho jaa.uu.ngaa
Subodh Lal Saqi
Ghazal
vahii to ik zariiya-e-najaat mere paas thaa
magar mire zamiir kaa savaab ko.ii le gayaa
Hameed Almas
Ghazal
nahii.n zariiya-e-raahat jaraahat-e-paikaa.n
vo zaKHm-e-teG hai jis ko ki dil-kushaa kahiye
Mirza Ghalib
Ghazal
Muneer Bhopali
Ghazal
ye zaKHm riste hai.n mere qalam zariiya hai
gumaan KHuun kaa honaa hii hai siyaahii pe
Navin Joshi
Ghazal
Muneer Bhopali
Ghazal
Fazal Husain Sabir
Ghazal
behtar hai bhuul jaa.uu.n mai.n us kii muKHaalifat
us se najaat kaa ko.ii zariiya to hai nahii.n