SEARCH RESULTS
Showing search results for "रुलाने"
Ghazal MATCHES FOR "रुलाने"
Ghazal
ik 'umr se huu.n lazzat-e-girya se bhii mahruum
ai raahat-e-jaa.n mujh ko rulaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
ab KHushii hai na ko.ii dard rulaane vaalaa
ham ne apnaa liyaa har rang zamaane vaalaa
Nida Fazli
Ghazal
ab jo rote hai.n mire haal-e-zabuu.n par 'aKHtar'
kal yahii the mujhe ha.ns ha.ns ke rulaane vaale
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
vaqt har zaKHm kaa marham to nahii.n ban saktaa
dard kuchh hote hai.n taa-umr rulaane vaale
Sada Ambalvi
Ghazal
kyaa qayaamat hai ki rulvaa ke hame.n ai 'jauhar'
qahqahe maar ke ha.nste hai.n rulaane vaale
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
ha.ns rahaa huu.n mai.n bahut mujh ko rulaane ke liye
aa havaa mere charaaGo.n ko bujhaane ke liye
Shakeel Azmi
Ghazal
mai.n kabhii paas chalaa jaataa thaa rone ke liye
aur kabhii zehn me.n aa jaate rulaane vaale
Ahmad Tariq
Ghazal
ha.nsii mazaaq kii baate.n yahii.n pe KHatm hu.ii.n
ab is ke baa'd kahaanii rulaane vaalii hai
Azhar Abbas
Ghazal
giit rasiile bol sajiile kahaa.n sunoge ab tum
ab to kahtaa hai 'irfaan' bhii she'r rulaane vaale
Irfan Sattar
Ghazal
vo bhii apne vo bhii apne vo bhii apne the kabhii
vo jo apne the kabhii vo the rulaane ke liye
ShivKumar Bilgrami
Ghazal
baadal uThaa thaa sab ko rulaane ke vaaste
daaman bhigo gayaa kahii.n aa.nchal bhigo gayaa
Bashir Badr
Ghazal
had se Takraatii hai jo shai vo palaTtii hai zaruur
KHud bhii ro.e.nge Gariibo.n ko rulaane vaale
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
kaun qismat se 'munavvar' kabhii la.D saktaa hai
aa.e vo dekhe mirii haar rulaane aa.e
Munawwar Jahan Munawwar
Ghazal
dard-mando.n kii yuu.n hii karte hai.n hamdardii log
KHuub ha.ns ha.ns ke hame.n aap rulaane aa.e
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
ha.nste ha.nste jo hame.n chho.D gayaa hai hairaa.n
ab rulaane ke liye yaad na aayaa hotaa
Partav Rohila
Ghazal
vo baar-e-farz-e-takalluf mujhii ko Dhonaa pa.Daa
use rulaane kii KHaatir mujhe bhii ronaa pa.Daa
Pallav Mishra
Ghazal
merii aa.nkho.n ne hamesha tujhe raahat dii hai
inhii aa.nkho.n ko har ik lamha rulaane vaale