SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-dariyaa"
Ghazal MATCHES FOR "dil-dariyaa"
Ghazal
kidhar jaa.uu.n kahii.n rastaa nahii.n hai
kahaa.n Duubuu.n ki dil dariyaa nahii.n hai
Bimal Krishn Ashk
Ghazal
zinda murda yaade.n sabhii paar lagii.n
dil dariyaa tuGyaanii pe rakhaa hu.aa hai
Abu Leveeza Ali
Ghazal
dil-dariyaa kii thaah bataa.e.n kyaa jis me.n
saat samundar kii gahraa.ii rahtii hai
Saifuddin Saif
Ghazal
KHuun kii lahre.n motii motii palko.n par
niklaa dil-dariyaa kaa saahil aa.nkho.n me.n
Azeem Murtaza
Ghazal
vus.ate.n dil kii hai.n dariyaa kii tarah
kaun kahtaa hai ki dil dariyaa nahii.n
Guhar Khairabadi
Ghazal
mujh ko pyaasaa dekhne ke shauq me.n
tuu ne dil-dariyaa ko sahraa kar diyaa
Zaryab Hasan Taheem
Ghazal
ishaara karne lage hai.n bha.nvar ke haath hame.n
KHoshaa ki phir dil-dariyaa me.n ishti.aal aayaa
Asad Badayuni
Ghazal
kam kam bahnaa dil dariyaa ke dhaare par
ye jo Gam ke dhaare hai.n sab KHuunii.n hai.n
Baqa Baluch
Ghazal
maajhii kaa gar dil dariyaa me.n lag jaa.e
phir us ko har qatra saahil lagtaa hai
Shubham Shab
Ghazal
baarish kii rut me.n sahraa ho jaataa hai
dil-dariyaa ko jaane kyaa ho jaataa hai
Vikas Sharma Raaz
Ghazal
tumhaarii chaah ik Thahraav le aa.ii hai is me.n
ye dil dariyaa thaa pahle ab kinaara ho gayaa hai